News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 11
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 62
Total: 62

Recent posts

#91
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat ...
Last post by Bilal - May 03, 2016, 07:50:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat ke aath (8) darwazy hein. In mein aik (1) darwazy ka naam Riyan ha. Jis se dakhil hony waly sirf rozydar hongy. [3257: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#92
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Janati ...
Last post by Bilal - May 02, 2016, 10:48:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Janati log apny se buland kamry walun ko upper usi tarhan dakhein gy jaisy chamakty sitary ko jo subha ke waqat reh gya ho, aasman ke kinary purab ya pacham mein dakhty hein. In mein aik (1), dosry se afzal hoga. Logun ne arz kya Ya Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Ye to Anbia ke mehal hongy jinhein unke siwa aur koi na pa skyga. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke nhi, Us Zaat (Allah) ki qasam! Jis ke Haath Meri Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Jaan ha, ye un logun ke lye hongy jo Allah per Imaan laye aur Anbia ki tasdeeq ki. [3256: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#93
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat ...
Last post by Bilal - May 01, 2016, 09:42:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein aik (1) darakht ha jis ke saaye mein aik (1) sawar so (100) saal tak chal skta ha aur phir bhi isko teh na ker skyga. [3251: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#94
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat ...
Last post by Bilal - April 30, 2016, 11:11:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein aik kurry ki jagah dunya se aur jo kuch dunya mein ha, sab se behtar ha. [3250: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#95
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat ...
Last post by Bilal - April 29, 2016, 10:14:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri Ummat mein se sattar hazar (70,000) ya (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke) saat lakh (Seven Lac) ki aik (1) jamat Jannat mein aik (1) hi waqat mein dakhil hogi aur un sab ke chehry aisy chamkein gy jaisy choudhwein ka chand chamakta ha. [3247: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#96
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat ...
Last post by Bilal - April 28, 2016, 09:56:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein dakhil hony waly sab se pehly garoh ke chehry aisy roshan hongy jaisy chudwein ka chand roshan hota ha. Na us mein thukein gy, na unki naak se koi aalaish ayegi aur na peshab, pekhana krngy. Un ke bartan sony ke hongy. Khanghy sony chandi ke hongy. Ingethyun ka endhan oud ka hoga. Pasina mushk jaisa khusbudar hoga aur her shaks ki do (2) bivian hongi. Jin ka husan aisa hoga ke pindliun ka guda gosht ke upper se dikhai dega. Na jannatiun mein apas mein koi ikhtilaf hoga aur na bughz-o-anad. Unke dil aik hongy aur wo subha-o-shaam Allah Paak ki tasbeeh-o-tehlil mein mashgul rha krngy. [3245: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#97
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ankhun ...
Last post by Bilal - April 26, 2016, 10:37:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ka irshad ha ke Mein ne Apny bandun ke lye wo cheezain tayar ker rakhi hein, jinhein na ankhun ne dakha, na kanun ne suna na kisi insan ke dil mein unka kabhi khyal guzra ha. Agr jee chahye to ye Ayat parh lo "Pas koi shaks nhi janta ke uski ankhun ki thandak ke lye kya kya chezain chupa ker rakhi gaein hein. [3244: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#98
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannati...
Last post by Bilal - April 25, 2016, 11:33:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannatiun ka khema kya ha? Aik moti ha kholdar jis ki bulandi upper tees (30) meel (mile) tak ha. Is ke her kinary per momin ki aik bivi hogi jisy dosry na dakh sakein gy. [3243: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakar bin Abdullah bin Qais Ash'ara]
#99
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khwab M...
Last post by Bilal - April 24, 2016, 10:59:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne khwab mein Jannat daikhi, Mein ne is mein aik (1) aorat ko daikha jo aik (1) mehal ke kinary wazu ker rhi thi, Mein ne poocha ke ye mehal kis ka ha? To Farishtun ne bataya ke ye Umar bin Khitab ka mehal ha. Mujhy unki ghairat yaad aai aur Mein wahan se foran lot aya. Ye sun ker Hazrat Umar ro diye aur kehny lgy, Ya Rasool Allah! Kiya mein Aap ke sath bhi ghairat karunga? [3242: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#100
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jab Koi...
Last post by Bilal - April 22, 2016, 11:12:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks marta ha to (rozana) subha-o-shaam dono waqat uska thikana (jahan wo aakhrat mein rhyga) usy dikhlaya jata ha. Agr wo jannati ha to Jannat mein agr wo dozakhi ha to dozakh mein. [3240: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
Powered by EzPortal