News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 11
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 101
Total: 101

Recent posts

#71
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat...
Last post by Bilal - August 23, 2016, 10:16:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak do (2) jamatein apas mein jang na ker lein. Dono mein bari bhari jang hogi, halanke dono ka dawa aik (1) hi hoga aur Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab taqreban tees (30) jhoty dajjal paida na ho lein. Un mein her aik (1) ka yhi guman hoga ke wo Allah ka Nabi ha. [3609: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi:  Hazrat Abu Hurairah]
#72
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat...
Last post by Bilal - August 22, 2016, 10:33:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak do (2) jamatein (musalmanu ki) apas mein jang na ker lein aur dono ka dawa aik (1) hoga (ke wo Haq per hein). [3608: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#73
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mery Ba...
Last post by Bilal - August 21, 2016, 08:22:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery baad tum per aik (1) aisa zamana ayega jis mein tum per dosrun ko muqadam kiya jyega aur aisi batein samny ayengi jin ko tum bura samjhogy, logun ne arz kiya Ya Rasool Allah! Us waqat hamein Aap kiya hukam farmaty hein? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo haqooq tum per dosrun ke wajib houn unhein ada kerty rehna aur apny haqooq Allah hi se mangna (yani sabar kro aur apna haq leny ke lye Khalifa aur hakim-waqat se baghawat na kerna). [3603: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#74
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimazun...
Last post by Bilal - August 20, 2016, 10:20:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nimazun mein aik (1) aisi Nimaz ha ke jis se wo choot jaye goya uska ghar bahar sab barbad ho gye. (aur wo Asar ki Nimaz ha). [3602: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Shahab]
#75
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Fitnun ...
Last post by Bilal - August 19, 2016, 10:52:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Fitnun ka dor jab ayega to us mein bhetny wala khara rehny waly se behtar hoga. Khara rehny wala chalny waly se behtar hoga aur chalny wala dorny waly se behtar hoga jo is mein jhanky ga fitna bhi usy uchak le ga aur us waqat jisy jahan bhi panha mil jye bas wahein panha pakar le ta ke apny deen ko fitnun se bacha saky. [3601: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#76
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gharun ...
Last post by Bilal - August 15, 2016, 10:51:19 PM
Aik (1) martaba Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Madina ke aik (1) buland teela per charhy aur farmaya! Jo kuch Mein dakh rha hun kya tumhein bhi nazar aa rha ha? Mein fitnun ko dakh rha hun ke tumhary gharun mein wo is tarhn gir rhy hein jaisy barish ki bondein gira kerti hein. [3597: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usama bin Zaid]
#77
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ungliun...
Last post by Bilal - August 07, 2016, 08:12:42 PM
Aik (1) martaba ham (Sahaba) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke sath aik (1) safar mein thy aur pani taqreban khatam hogya. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jo kuch bhi pani bach gya ho usy talash karo. Chunache log aik (1) bartan mein thora sa pani laye. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne apna Hath Mubarak bartan mein daal diya aur farmaya, Barkat wala pani pee lo aur Barkat to Allah hi ki taraf se hoti ha. Mein ne daikha ke Rasool Allah ki Ungliyun ke darmyan mein se pani fowary ki tarhan phoot rha tha aur ham to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany mein khaty waqat khany mein tasbeeh sunty thy. [3579: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#78
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ungliun...
Last post by Bilal - August 06, 2016, 08:33:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein aik (1) bartan hazir kiya gya (pani ka). Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam us waqat (Madinah ke nazdeek) muqam-e-zora' mein tashreef rakhty thy. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne us bartan mein Hath Mubarak rakha to us mein se pani Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Ungliun ke darmyan mein se phootny lga aur usi pani se puri jamat ne wazu kiya. Qatadah ne kaha ke mein ne Hazrat Anas se poocha, aap log kitni ta'dad mein thy? Unhun ne farmaya ke teen so (300) hongy ya teen so (300) se zyada. [3572: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#79
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tehar T...
Last post by Bilal - August 04, 2016, 11:22:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is qadar tehar tehar ker batein kerty ke agr koi shaks (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke ilfaz) gin lena chahta to gin skta tha. [3567: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#80
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua Ke ...
Last post by Bilal - August 03, 2016, 10:53:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Dua Istasqa ke siwa kisi Dua mein (zyada unchy) haath nhi uthaty thy. Is Dua mein Aap Sallahlah Ho Alaihe Wa Sallam itny unchy haath uthaty ke Baghal Mubarak ki safaidi dikhai deti thi. [3565: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
Powered by EzPortal