News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 64
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 49
Total: 49

Recent posts

#61
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah K...
Last post by Bilal - September 02, 2016, 10:58:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Allah ke rasty mein kisi cheez ka aik (1) jora kharch kiya (maslan do (2) rupy, do (2) kapry, do (2) ghory Allah ke rasty mein diye) to usy Jannat ke darwazun se bulaya jyega ke Aye Allah ke bandy! Idhar aa, ye darwazah behtar ha pas jo shaks Nimazi hoga usy Nimaz ke darwazy se bulaya jyega, jo shaks mujahid hoga usy Jihad ke darwazy se bulaya jyega aur jo shaks roza-daar hoga usy siyam aur riyaan (seraabi) ke darwazy se bulaya jyega. Hazrat Abu Bakar ne arz kiya jis shaks ko in tamam hi darwazun se bulaya jyega to usy kisi kism ka khof baqi nhi rhy ga aur poocha kya koi shaks aisa bhi hoga jisy in tamam darwazun se bulaya jye Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haan aur Mujhy umeed ha ke Tum (Hazrat Abu Bakar) bhi inhein mein se hogy Aye Abu Bakkar. [3666: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#62
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat ...
Last post by Bilal - September 01, 2016, 11:34:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager Apni ummat ke kisi fard ko apna jani dost bana skta to Hazrat Abu bakkar ko banata lakin wo Mery deeni bhai aur Mery dost hein. [3656: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Abbas]
#63
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se ...
Last post by Bilal - August 31, 2016, 11:40:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany hi mein jab hamein Sahaba ke darmayan intikhab ke lye kaha jata to sab mein afzal aur behtar ham Hazrat Abu Bakkar ko qarar dety, phir Hazrat Umer bin Khitab ko phir Usman bin Afan ko. [3655: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#64
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qasam K...
Last post by Bilal - August 30, 2016, 10:54:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Behtareen zamana Mera zamana ha, phir un logun ka jo is zamany ke baad ayen gy phir un logun ka jo uske baad ayengy. Is ke baad aik (1) aisi qoam paida hogi ke gawahi deny se pehly qasam unki zuban per aa jaya kery gi aur qasam khany se pehly gawahi unki zuban per aa jaya kerygi. [3651: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#65
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tumhary...
Last post by Bilal - August 29, 2016, 10:46:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhary baad aik (1) aisi qoam paida hogi jo baghair kahy gawahi deny ke lye tiyar ho jaya krygi aur unmein khayanat aur chori itni aam ho jyegi ke in per kisi qisam ka bharosa baqi nhi rhyga, aur nazrain manein gy lakin inhein pura nhi kareingy (haram kha kha ker) in per motapa aam ho jyega. [3650: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hisseen]
#66
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghory K...
Last post by Bilal - August 28, 2016, 08:23:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghory (Horse) ki peshani ke sath khair-o-bhalai Qiyamat tak ke lye bandh di gai ha. [3644: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#67
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jo Alla...
Last post by Bilal - August 27, 2016, 10:15:25 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri Ummat mein hamesha aik (1) garoh aisa majood rhy ga jo Allah ki shariyat per qaim rhy ga, unhein zaleel kerny ki koshish kerny waly aur isi tarhan unki mukhalfat kerny waly unhein koi nuqsan na pohancha sakeingy yahan tak ke Qiyamat aa jyegi aur wo isi halat per rahein gy. [3641: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mu'awiah bin Abi Sufyan]
#68
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chand K...
Last post by Bilal - August 26, 2016, 10:50:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany mein chand ke phat ker do (2) tukry ho gye thy aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya tha ke logo is per gawah rehna. [3636: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#69
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat ...
Last post by Bilal - August 25, 2016, 11:16:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Hazrat Hasan ko aik (1) din sath le ker bahir tashreef laye aur minmber per unko le ker char gye, phir farmaya, Mera ye beta Syed ha aur umeed ha ke Allah Is ke zarye Musalmanun ki do (2) jamatun mein milap kra dega. [3629: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki ye peshan-goi puri hui; Hazrat Hassan ne wo kaam kiya ke hazarun musalmanu ki jaan bach gai. Hazrat Ameer Ma'wiah se larna pasand na kiya; Khilafat un hi ko de di; Halanke sattar hazar (70,000) aadmiyun ne aapke sath jaan deny per bait ki thi.
#70
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mareez ...
Last post by Bilal - August 24, 2016, 11:46:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab bhi kisi mareez ki ayadat ke lye tashreef le jaty to farmaty koi harj nhi, In Sha Allah ye bukhar gunahun ko dho dega. [3616: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abas]
Powered by EzPortal