News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 68
Total: 68
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#991
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nikah Ki Shartein)
April 21, 2013, 11:14:38 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tamam shartun mein wo shartein sab se zyada puri ki jany ke laiq hein jin ke zarya tum ne sharam gahun ko halal kiya ha. Yani nikah ki shartein zarur puri kerni hongi. [5151: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Uqbah]
#992
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad Gumani)
April 20, 2013, 11:31:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad gumani se bachty raho kyunke bad gumani sab se jhooti baat ha (aur logun ke razun ki) khod kuraid na kiya karo aur na (logun ki nijji guftagun ko) kaan lga ker suno, apas mein dushmani na paida karo bal ke bhai bhai ban ker raho. [5143: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#993
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya ha ke Ham (Sahaba) kisi ke bhao per bhao lgayein aur kisi shaks ko apny kisi (Deeni) bhai ke pegham nikah per pegham na bhejna chahye, yahn tak ke pegham bhejny wala apna irada badal de ya usy pegham nikah bhejny ki ijazat de de to jaiz ha. [5142: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#994
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bewah aorat ka nikah us waqat tak na kiya jye jab tak uski ijazat na li jye aur kanwari aorat ka nikah us waqat tak na kiya jye jab tak uski ijazat na mil jye. Sahaba ne arz kya ke Ya Rasool Allah (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam)! Kanwari aorat az'n kyun ker de gi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us ki surat ye ha ke wo khamosh reh jye. Ye khamoshi uska az'n samjhi jyegi. [5136: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#995
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shig'aar)
April 17, 2013, 08:53:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne "Shig'aar" se mana farmaya ha. Shig'aar ye ha ke koi shaks apni larki ya behan ka nikah is shart ke sath kery ke wo dosra shaks apni (beti ya behan) usko bayah de aur kuch mehar na tehry. [5112: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#996
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi aorat ko uski phuppi ya uski khala ke sath nikah mein jama na kiya jye. [5109: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#997
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aoratun Ka Fitna)
April 15, 2013, 09:47:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne Apny baad mardun ke lye aoratun ke fitna se barh ker nuqsan deny wala aur koi fitna nhi chora ha. [5096: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#998
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager nahusat kisi cheez mein ho to aorat mein, ghar mein aur ghory mein ho skti ha. [5095: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#999
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Behtareen Orat)
April 13, 2013, 09:16:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Oont per sawar hony wali (Arab) oratun mein behtreen orat Quraish ki saleh orat hoti ha jo apny bachy se bohat zyada mohabbat kerny wali aur apny shohar ke maal asbab mein uski bohat umdah nighban-o-nigran sabit hoti ha. [5082: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1000
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Ayesha! Mujhy Khwab mein do (2) martaba Tum (Hazrat Ayesha) dikhai gaein. Aik shaks (Hazrat Jibrail) Tumhari surat hareer ke aik tukry mein uthay huy ha aur kehta ha ke ye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Bivi hein, Mein ne jo us kapry ko khola to us mein Tum (Hazrat Ayesha) thein. Mein ne khayal kiya ke agr ye Khawab Allah ki taraf se ha to Wo (Allah) usy zarur pura ker ke rhyga. [5078: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1001
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khawahish-e-Nafsani)
April 11, 2013, 10:15:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke sath (Sahaba) Jihad kiya kerty thy aur hamary sath biviyan nhi thein. Is lye ham ne kaha ke Ya Rasool Allah! Ham apny aap ko khassi kyun na ker lein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein is se mana farmaya. [5071: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Masood]
#1002
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Niyyat Ka Daromadar)
April 10, 2013, 09:57:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Amal ka daro madar niyyat per ha aur her shaks ko whi milta ha jis ki wo niyyat kery. Is lye jis ki Hijrat Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Raza hasil kerny ke lye ho, uys Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Raza hasil hogi, lakin jis ki Hijrat dunya hasil kerny ki niyyat se ya kisi aorat se shadi kerny ke irady se ho, uski Hijrat usi ke lye ha jis ke lye usne Hijrat ki. [5070: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Khitab]
#1003
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye nojawano! Tum mein jo bhi shadi ki taqat rakhta ho usy nikah ker lena chahye aur jo taqat na rakhta ho usy roza rakhna chahye kyun ke ye khwahish nafsani ko tor deta ha. [5065: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Alqama bin Qais]
#1004
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qur'an Majeed us waqat tak parho jab tak us mein dil lgy, jab jee uchaat hony lgy to parhna band ker do. [5060: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jandab bin Abdullah]
#1005
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Momin ki misaal jo Qur'an Majeed parhta ha aur us per amal bhi kerta ha meethy leemun ki si ha jis ka maza bhi lazzat dar aur khusbu bhi achi aur wo Momin jo Qur'an parhta to nhi lakin us per amal kerta ha uski misaal khajoor ki ha jis ka maza to umdah ha lakin khusbu ke baghair aur us munafiq ki misaal jo Qur'an parhta ha rehaan ki si ha jis ki khusbu to achi hoti ha lakin maza karwa hota ha aur us munafiq ki misaal jo Qur'an bhi nhi parhta andrain ke phal ki si ha jis ka maza bhi karwa hota ha aur uski bu bhi kharab hoti ha. [5059: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
Powered by EzPortal