News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 91
Total: 91
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#976
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein Jannat ke darwazah per khara hua to usmein dakhil hony walun ki aksiryat ghareebun ki thi. Maaldar (Jannat ke darwazy per hisab ke lye) rok liye gye thy, albata jahanum walun ko jahanum mein jany ka hukam de diya gya tha aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) jahanum ke darwazy per khara hua to usme dakhil hony wali zyada aoratein thein. [5196: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usama]
#977
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aorat ke lye jaiz nhi ke apny shohar ki majudgi mein uski ijazat ke bagheir (nafli) Roza rakhy aur aorat kisi ko uske ghar mein uski marzi ke bagheir any ki ijazat na de aur aorat jo kuch bhi apny shohar ke maal mein se uski sareeh ijazat ke bagheir kharch ker dy to usy bhi us ka aadha sawab mily ga. [5195: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#978
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab shohar apni bivi ko apny bister per bulaye aur wo any se (narazgi ki waja se) inkar ker dy to Farishty subha tak us per la'nat bhejty hien. [5193: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#979
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager shohar ghar per majood ha to koi aorat uski ijazat ke baghair (nafli) Roza na rakhy. [5192: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#980
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her aik (1) hakim ha aur her aik (1) se (us ki rai'yat ke bary mein) sawal hoga. Pas Imam hakim ha, us se sawal hoga. Mard apni bevi bachun ka hakim ha aur us se sawal hoga. Aorat apny shohar ke ghar ki hakim ha aur us se sawal hoga. Ghulam apny sardar ke maal ka hakim ha aur us se sawal hoga, haan pas tum mein se her aik (1) hakim ha aur her aik (1) se sawal hoga. [5188: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#981
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aorat)
May 01, 2013, 09:27:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aorat mis'l pasli ke ha, ager tum isy seedha kerna chahogy to tor logy aur ager is se faida hasil kerna chahogy to iski tairrh ke sath hi faida hasil karogy. [5184: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#982
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasweer Sazi)
April 30, 2013, 09:13:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tasweerun ke (banany walun ko) Qiyamat ke din azab diya jyega aur unse kaha jyega ke jo tum ne tasweer sazi ki ha isy zinda bhi karo, jin ke gharun mein tasweerain hein un mein (Rehmat ke) Farishty nhi aty. [5181: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#983
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aoratun aur bachun ko kisi shadi se aty huy daikha to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam khushi ke mary jaldi se khary ho gye aur farmaya! Allah! (Tu gawah reh) tum log sab logun se zyada Mujh ko mehboob ho. [5180: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#984
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Walima Ka Khana)
April 28, 2013, 10:01:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Walima ka wo khana bad-tareen khana ha jis mein sirf maaldarun ko uski taraf dawat di jye aur mohtajun ko na khilaya jye aur jis ne walima ki dawat qabool kerny se inkaar kiya us ne Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki nafarmani ki. [5177: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#985
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein saat (7) kamun ka hukam diya aur saat (7) kamun se mana farmaya. Hamein, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne bemar ki ayadat, jinazah ke peechy chalny, cheekny waly ke jawab deny, qasam ko pura kerny, mazloom ki madad kerny, sab ko salam kerny aur dawat kerny waly ki dawat qabool kerny ka hukam diya tha aur hamein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sony ki anghoti pehan'ny, chandi ke bartan istimal kerny, reshmi gaddy, qisya (reshmi kapra), astabraq (mota reshmi kapra), aur debaaj (reshmi kapra) ke istimal se mana farmaya ha. [5175: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bara' bin aazib]
#986
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bemar Ki Ayadat)
April 26, 2013, 10:12:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qaidi ko churao, dawat kerny waly ki dawat qabool karo aur bemar ki ayadat kro. [5174: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#987
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dawat-e-Walima)
April 25, 2013, 09:47:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se kisi ko dawat walima per bulaya jye to usy ana chahye. [5173: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#988
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hambistari Ki Dua)
April 24, 2013, 09:06:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks apni bivi ke pas ham-bistari ke lye jab aye to ye Dua parhy "Allah ke naam se shurow kerta hun, Aye Allah! Shetan ko mujhse door rakh aur shetan ko us cheez se bhi door rakh jo (olaad) hamein Tu (Allah) ata kery, phir is arsa mein unke lye koi olad nasib ho to usy shetan kabhi zarar na pohancha skyga". [5165: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#989
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Guzishta Anbia mein se aik (1) Nabi (Hazrat Yush'a ya Hazrat Daood) ne Ghazwah kiya aur (Ghazwah se pehly) apni qoam se kaha ke Mery sath koi aisa shaks na chaly jis ne kisi nai aorat se shadi ki ho aur uske sath sohbat kerny ka irada rakhta ho aur abhi sohbat na ki ho. [5157: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#990
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi aorat ke lye jaiz nhi ke apni kisi (sokan) behan ki talaq ki shart is lye lgaye ta ke uske hissy ka pyala bhi khud undail le kyun ke usy whi milyga jo uske moqaddar mein hoga. [5152: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal