News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 149
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 68
Total: 68
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#931
Aik (1) chuha (rat) ghee mein par ker mar gya to  Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se iska hukam pocha gya. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Salam ne farmaya ke chuhy ko aur uske charun taraf se ghee ko phaink do aur baqi ghee ko khao. [5538: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Memoona]
#932
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik aur bury dost ki misal mushk sath rakhny waly aur bhatti dhonkny waly ki si ha (jis ke pas mushk ha aur tum uski mohabbat mein ho) wo is mein se ya tumhein kuch tohfa ke tor pe dega ya tum us se khareed sakogy ya (kam az kam) tum us ki umdah khushbu se to mehfooz ho hi sakogy aur bhatti dhonkny wala ya tumhary kapry (bhatti ki aag se) jala dega ya tumhein uske pas se aik nagawar badbudar dhuaan pohanchy ga. [5534: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#933
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo zakhmi bhi Allah ke rasty mein zakhmi hua usy Qiyamat ke din usi halat mein uthaya jyega ke uske zakham se jo khoon jari hoga uska rang to khoon jaisa hi hoga magr usmein mushq jaisi khushbu hogi. [5533: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#934
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kutta Palna)
June 22, 2013, 09:09:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne aisa kutta pala jo na maweshi ki hifazat ke lye ha aur na shikaar kerny ke lye to rozana uski naikyun mein se do (2) qeerat ki kami ho jati ha. [5480: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#935
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aqeeqa' Kerna)
June 21, 2013, 11:50:38 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Larky ke sath uska aqeeqa' lga hua ha iski taraf se janwar zeebah karo aur us se baal door karo. [5472: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salman bin Amir]
#936
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Aur Khana)
June 20, 2013, 09:58:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab raat ka khana samny rakh diya gya ho aur Nimaz bhi khari ho gai ho to pehly khana khao. [5463: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#937
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein kisi shaks ka khadim uska khana laye to agr wo usy apny sath nhi bhita skta to kam az kam aik (1) ya do (2) luqma us khany mein se usy khila de, kyun ke us ne (pakaty waqat) uski garmi aur tayari ki moshaqat bardasht ki ha. [5460: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#938
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks khana khaye to hath chatny ya kisi ko chatany se pehly hath na ponchy. [5456: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#939
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko taza khajoor kakri ke sath khaty daikha ha. [5440: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin ja'far Abi Talib]
#940
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kaddu)
June 16, 2013, 11:59:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein shorba laya gya. Is mein kaddu aur sukhy ghosht ke tukry thy, phir mein ne daikha ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is mein se kaddu ke qatly talash ker ke kha rhy thy. [5437: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#941
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Meetha Aur Shehad)
June 15, 2013, 10:55:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meethi cheez aur shehad pasand kiya kerty thy. [5431: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#942
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Safar)
June 14, 2013, 09:51:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safar azab ka aik tukra ha, jo insanun ko sony aur khany se rok deta ha. Pas jab kisi shaks ki safri zarurat hasb-e-mansha puri ho jye to usy jald hi ghar wapis aa jana chahye. [5429: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#943
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us momin ki misal jo Qur'an parhta ho sangtary jaisi ha jis ki khusbu bhi pakiza ha aur maza bhi pakiza ha aur us momin ki missal jo Qur'an nhi parhta khajoor jaisi ha jis mein koi khushbu nhi hoti lakin maza meetha hota ha aur munafiq ki missal jo Qur'an parhta ho, rehana (phool) jaisi ha jiski khushbu to achi hoti ha lakin maza karwa hota ha aur jo munafiq Qur'an bhi nhi parhta uski missal andarain jaisi ha jis mein koi khusbu nhi hoti aur jis ka maza bhi karwa hota ha. [5427: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#944
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Auratun Mein Kamil)
June 12, 2013, 09:08:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mardun mein to bohat se kamil huy lakin aoratun mein Hazrat Maryam bint-e-Imran aur fir'on ki bivi Hazrat Asia ke siwa aur koi kamil nhi hua aur Hazrat Ayesha ki fazilat tamam aoratun per aisi ha jaisy tamam khanun per "Sareed" ki fazilat ha. [5418: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#945
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi kisi khany mein koi aib nhi nikala. Agr pasand hua to kha lya aur agr napasand hua to chor dya. [5409: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
Powered by EzPortal