News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 124
Total: 124
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#91
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghory Ki Peeshani)
February 28, 2016, 10:26:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat tak Ghorry ki peshani ke sath khair-o-barkat wabasta rhy gi. (kyun ke is se Jihaad mein kaam liya jata rhy ga). [2849: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#92
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne Allah ke rasty mein aik (1) (jora: pair) (kisi cheez ka) kahrch kiya to usy Jannat ke Darogha bulayein gy, Jannat ke her Darwazy ka Darogha (apni taraf) bulaye ga ke Aye falan! is Darwazy se aa. [2841: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#93
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne Allah ke rasty mein aik (1) (jora: pair) (kisi cheez ka) kahrch kiya to usy Jannat ke Darogha bulayein gy, Jannat ke her Darwazy ka Darogha (apni taraf) bulaye ga ke Aye falan! is Darwazy se aa. [2841: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#94
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Allah ke rasty mein (Jihad kerty huy) aik (1) din bhi roza rakha Allah usy jahanum se sattar (70) saal ki musafat ki dori tak door ker dy ga. [2840: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#95
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Shaheed paanch (5) qism ke hoty hein. Ta'un mein halak hony wala, pait ki bimari mein halak hony wala, doob ker marny wala, dab ker mar jany wala aur Allah ke rasty mein Shahadat pany wala. [2829: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#96
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Qiyamat ke din) Allah aisy do (2) admiun per hans de ga ke in mein se aik ne dosry ko qatal kiya tha aur phir bhi dono Jannat mein dakhil hogye. Pehla wo jis ne Allah ke rasty mein Jihad kiya wo Shaheed ho gya, us ke baad Allah ne qatil ko toba ki tofeeq di aur wo bhi Allah ki rah mein shaheed hua. Is tarhan dono qatil-o-maqtul bil-akhir Jannat mein dakhil ho gye. [2826: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#97
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya!  Makkah fatha hony ke bad (ab Makkah se Madinah ke lye) Hijrat baqi nhi ha, lakin khalos niyyat ke sath Jihaad ab bhi baqi ha is lye jab tumhein Jihaad ke lye bulaya jye to nikal khary ho. [2825: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#98
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Panha Mangta Hun)
February 21, 2016, 07:31:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam faramaya kerty thy "Aye Allah! Mein Teri panha mangta hun aajzi aur susti se, buzdili aur burhapy ki zalil hadood mein pohanch jany se aur Mein Teri panha mangta hun zindagi aur moa't ke fitnun se aur Mein Teri panha mangta hun qabar ke azab se." [2823: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#99
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Ke Baad Ke Kalmat)
February 20, 2016, 08:32:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Nimaz ke baad in kalmat ke zarya Allah se panha mangty thy "Ay Allah! Buzdili se Mein Teri panha mangta hun, is se Teri panha mangta hun ke umar ke sab se zalil hissay mein pohancha diya jaun aur Teri panha mangta hun Mein dunya ke fitnun se aur Teri panha mangta hun qabar ke azab se". [2822: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad bin Abi Waqas]
#100
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Yaqeen jano Jannat talwarun ke saye ke neechy ha. [2818: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umar bin Abdullah]
#101
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shahadat Ki Izzat)
February 18, 2016, 10:13:32 PM
1.   Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks bhi aisa na hoga jo Jannat mein dakhil hony ke baad dunya mein dobara ana pasand kry, khwah usy sari dunya mil jye siwaye Shaheed ke, uski ye tamanna hogi ke dunya mein dobara wapis ja ker das (10) martaba aur qatal ho (Allah ke rasty mein) kyunke wo Shahadat ki izzat wahan daikhta ha. [2817: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#102
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis bandy ke bhi qadam Allah ke rasty mein ghubaar aalud ho gye, unhein (jahanum) ki aag chuhy? (ye na-mumkin ha). [2811: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdul-ur-Rehman bin Jabar]
#103
Aik Sahabi (Lahaq bin Zameerah) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein hazir huy aur arz kiya ke aik (1) shaks jang mein shirkat kerta ha, ghaneemat hasil kerny ke lye, aik (1) shaks jang mein shirkat kerta ha namwari ke lye, aik (1) shaks jang mein shirkat kerta ha ta ke uski bahaduri ki dhaak bheith jye to un mein se Allah ke rasty mein kon larta ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks is irada se jang mein shareek ho ta ke Allah hi ka Kalima buland rhy, sirf whi Allah ke rasta mein larta ha. [2810: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa bin Ash'ara]
#104
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke kuch bandy hein ke agr wo Allah ka Naam le ker qasam kha lein to Allah Khud unki qasam puri ker deta ha. [2806: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Nazar]
#105
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki qasam Jis ke Hath mein Meri Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Jaan he jo shaks bhi Allah ke rasty mein zakhmi hua aur Allah khoob janta ha ke Uske rasty mein koi zakhmi hua ha, wo qiyamat ke din is tarhan se ayega ke us ke zakhmun se khoon beh rha hoga, rang to khoon jaisa hoga lakin us mein khushbu mushk jaisi hogi. [2803: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal