Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Beshak acha khwab Allah ki taraf se hota ha, aur hilm (bura khwab jis mein ghabrahat ho) shaitan ki taraf se hota ha, is lye jab tum mein se ki shaks koi aisa khwab daikhy jo bura ho to jaagty hi teen (3) martaba bayen (left) taraf thu thu kery aur is khwab ki burai se Allah ki panah mangy, is tarhan khwab ka isy nuqsan nhi hoga. [5747: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatada]