News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 44
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 27
Total: 27
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#871
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Za'fran Ka Rang)
September 02, 2013, 09:55:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya ke koi mard za'fran ke rang ka istimal kery. [5846: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#872
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aakhrat Mein Nanga Hona)
September 01, 2013, 11:46:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam raat ke waqt bedar huy aur kaha! Allah ke siwa koi ma'bood nhi kesi kesi balaein is raat nazil ho rhi hein aur kya kya Rehmatein Us (Allah) ke khazanun se utar rhi hein, koi ha jo in hujrun waliun ko bedar ker dy, dakho bohat si dunya mein pehanny orhany walian aakhrat mein nangi hungi. [5844: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umme Salma]
#873
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Resham)
August 30, 2013, 11:09:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein sony (gold) aur chandi ke bartan mein peeny aur khany se mana farmaya tha aur resham aur debaj pehanny aur us per bhetny se mana farmaya tha. [5837: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Huzaifa]
#874
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Reshami Libas)
August 29, 2013, 09:07:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo mard reshmi libas dunya mein pehny ga wo aakhrat mein usy hargiz nhi pehan skyga. [5832: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#875
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Yamni Sabaz Chadar)
August 28, 2013, 09:40:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko tamam kaprun mein yamni sabaz chadar pehanna bohat pasand thi. [5813: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#876
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Takhnun Se Neechy)
August 27, 2013, 09:46:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tehmad ka jo hissa takhnoun se neechy latka ho wo jahanum mein hoga. [5787: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#877
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gharoor-o-Takabur)
August 26, 2013, 09:45:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah uski taraf Qiyamat ke din Nazar-e-Rehmat nhi kryga jo apna kapra takabur-o-gharoor ke sabab se zameen per ghaseet ker chalta ha. [5783: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#878
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Makhi)
August 25, 2013, 09:28:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab makhi tum mein se kisi ke bartan mein par jye to puri makhi ko bartan mein dabo de aur phir usy nikal ker phaink de kyun ke uske aik par mein shifa ha aur dosry mein bemari ha. [5782: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#879
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne her daant se khany waly darindah janwar (ke gosht) se mana farmaya. [5780: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Sulba Khashni]
#880
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khud-Kushi)
August 23, 2013, 09:30:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne pahar se apny aap ko gira ker khud-kushi ker li wo jahanum ki aag mein hoga aur us mein hamesha para rhyga aur jis ne zehar pee ker khud-kushi kerli to wo zehar uske haath mein hoga aur jahunum ki aag mein hamesha peeta rhyga aur jis ne lohy ke kisi hathyar se khud-kushi ker li to uska hathyar uske haath mein hoga aur jahanum ki aag mein hamesha ke lye wo usy apny pait mein marta rhyga. [5778: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#881
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne subha ke waqat saat (7) Ajwah khajurain kha lein usy us din na zehar nuqsan pohancha skta ha aur na jaadu. [5769: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad bin Abi Waqas]
#882
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jaadu)
August 21, 2013, 10:24:47 PM
Hazrat Ayesha ne farmaya! Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jaadu ker dya gya tha aur is ka Aap per ye asar hua tha ke Aap ko khayal hota ke Aap ne Azwaj-e-Motharaat mein se kisi ke sath ham-bistri ki ha halanke Aap ne ki nhi hoti. Sufyan Sori ne byan kiya ke jaadu ki ye sab se sakht qisam ha jab is ka ye asar ho, phir Aap ne farmaya Ayesha! Tumhien maloom he Allah se jo baat Mein ne poochi thi us ka jawab Allah ne kab ka de dya ha. Mery pas do Farishty aye aik Mery Sar ke pas khara hogya aur dosra Mery Paun ke pas. Jo Farishta Mery Sar ke pas khara tha usne dosry se kaha in Sahab (Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka kya haal ha? Dosry ne jawab diya ke In per jaadu ker dya gya ha. Poocha kis ne In per Jaadu kya ha? Jawab diya ke Labeed bin Aa'sam ne, ye yahudiun ke haleef Bin Zareeq ka aik shaks tha aur munafiq tha. Sawal kiya ke kis cheez mein in per jaadu kya ha? Jawab diya ke kanghy aur baal mein. Poocha jaadu ha kahan? Jawab diya ke nar khajoor ke khoshy mein jo zarwan ke kunhein ke andar rakhy huy pathar ke neechy dafan ha. Bayan kiya ke phir Aap is kunhein per tashreef le gye aur jaadu andar se nikala. Aap ne farmaya ke yhi wo kunhan ha jo Mujy khawab mein dikhaya gya tha is ka pani mehndi ke arq jaisa rangeen tha aur uske khajoor ke darakhtun ke sar shetanun ke sirun jaisy thy. Bayan kiya ke phir wo jaadu kunhein mein se nikala gya. Hazrat Ayesha ne byan kya ke mein ne kaha ke Aap ne is jaadu ka tor kyun ni karwaya. Aap ne farmaya Allah ne Mujhy Shifa di ab mein logun mein aik shor hona pasand nhi krta. [5765: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#883
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shirk Aur Jaadu)
August 20, 2013, 11:58:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tabah ker deny wali cheez Allah ke sath shirk kerna ha is se bacho aur jaadu kerny karany se bhi bacho. [5764: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#884
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kutty ki qeemat, zina ki ujrat aur kahin (najoomi) ki khanat ki wajah se milny waly Hadya se mana farmaya ha. [5761: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood]
#885
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad Shagooni)
August 18, 2013, 09:35:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad shagoni ki koi asal nhi aur is mein behtar faal naik ha. Sahaba ne arz kiya naik faal kya ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kalma Saleh (naik baat) jo tum me se koi suny. [5755: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal