News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 75
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 75
Total: 75
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#856
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne husan ke lye goodny waliun, gudwany waliun per aur chehry ke baal ukharny waliun per aur dantun ke darmyan kushadgi paida kerny waliun per, jo Allah ki khalqat ko badlein un sab per la'nat bheji ha. [5931: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#857
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Roza Daar)
September 17, 2013, 09:05:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Allah ne farmaya!) Ibn-e-Adam ka her amal uska ha siwa Roza ke ye Mera (Allah ka) ha aur Mein (Allah) Khud iska badla Dunga aur Roza dar ke mun ki khushbu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi barh ke ha. [5927: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#858
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dahni (Right) Taraf Se)
September 16, 2013, 10:13:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam her kaam mein jahan tak mumkin hota dahni (right) taraf se shorow kerny ko pasand farmaty thy, kangha kerny aur Wazu kerny mein bhi. [5926: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#859
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke baal mondhun tak pohanchty thy. [5904: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#860
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khazab Lagana)
September 13, 2013, 09:38:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Yahood-o-Nasara khazab nhi lagaty, tum un ke khilaf kro yani khazab kiya kro. [5899: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
(Laal ya zard khazab kerna ya mehndi aur wasm ka khazab jis se balun mein kalak aur surkhi ati ha jaiz ha lakin bilkul kala khazab kerna mamnu' ha, kehty hein kala khazab pehly Fir'on ne kya tha.)
#861
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mushrekeen Ke Khilaf Karo)
September 12, 2013, 09:18:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mushrekeen ke khilaf kro, darhi chor do aur moonchein kutarwao. [5892: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#862
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Padaishi Sunnatein)
September 11, 2013, 09:06:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Paanch (5) chezain khatna karana, zair-e-naaf mundna, baghal ke baal nochna, nakhun tarshwana aur moonch kam kerna pedaishi sunatun mein se ha. [5889: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#863
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Moonch Ke Baal Kutarwana)
September 10, 2013, 11:32:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Moonch ke baal kutarwana pedaishi sunnat ha. [5888: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#864
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chaal Chalan)
September 10, 2013, 01:10:57 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne un mardun per la'nat bheji jo aoratun jaisa chaal chalan ikhtiyar karein aur un aoratun per la'nat bheji jo mardun jaisa chaal chalan ikhtiyar karein. [5885: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#865
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Muhammad Rasool Allah)
September 08, 2013, 09:21:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne chandi ki aik anghuti banwai aur us per ye naqsh khudwaya "Muhammad Rasool Allah" aur logun se keh dya ke Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ne chandi ki aik (1) anghuti banwa ker is per "Muhammad Rasool Allah" naqsh karwaya ha, is lye ab koi shaks ye naqsh apni anghuti per na khudwaye. [5877: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#866
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sony (Gold) Ki Anguthi)
September 07, 2013, 09:29:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sony (Gold) ki anghuti ke pehanny se mardun ko mana farmaya. [5864: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#867
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Thora Amal)
September 06, 2013, 09:35:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logo! Amal utna hi kiya kro jitni ke tum mein taqat ho kyun ke Allah nhi thakta jab tak tum (amal se) na thak jao aur Allah ki baargah mein sab se zyada pasand wo amal ha jisy pabandi se hamesha kiya jaye, khwah wo kam hi ho. [5861: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#868
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Joota Pehanna)
September 05, 2013, 09:14:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se koi shaks sirf aik paaun mein joota pehan ker na chaly ya dono paaun nanga rakhy ya dono paaun mein joota pehny. [5856: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#869
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Joota Pehanna)
September 04, 2013, 09:17:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks joota pehany to dayein (right) taraf se shorow kery aur jab utary to bayein (left) taraf se utary ta ke dahni janib pehanny mien awal (first) ho aur utarny mein aakhir (last) ho. [5855: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#870
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Taharat mein, kangha kerny mein aur joota pehanny mein dahni taraf se shorow kerny ko pasand farmaty thy. [5854: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal