News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 66
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 44
Total: 44
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#811
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam do (2) qabrun ke pas se guzry aur farmaya ke in dono qabrun ke murdun ko azab ho rha ha aur ye kisi bary gunah ki wajah se azab mein giraftar nhi hein balke ye (aik (1) qabar ka murda) apny peeshab ki cheentun se nhi bachta tha (ya peeshab kerty waqat pardah nhi kerta tha) aur ye (dorsri (2) qabar wala murda) chughal khor tha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik (1) hari shaakh mangai aur usy do (2) tukrun mein phar ker dono qabrun per gaar diya uske baad farmaya ke jab tak ye shakhein sookh na jyen us waqat tak shayed in dono ka azab halka rhy. [6052: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#812
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo islam ke siwa kisi aur mazhab per qasam khaye (ke agr mein ne falan kaam kiya to mein nasrani hun, yahudi hun) to wo aisa ho jyega jaisy ke usne kaha aur kisi insan per in cheezun ki nazar sahee nhi hoti jo uske ikhtiyar mein na hun aur jis ne dunya mein kisi cheez se khud kushi ker li usy usi cheez se akhrat mein azab hoga aur jis ne kisi musalman per la'nat bheji to ye uske khoon kerny ke baraber ha aur jo skhaks kisi musalman ko kafir kahy to wo aisa ha jaisy uska khoon kya. [6047: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sabit bin Zahaak]
#813
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam fehash-go nhi thy, na Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam la'nat malamat kerny waly thy aur na gali dety thy, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko bohat gussa aya to sirf itna keh dety, isy kya hogya ha, iski peshani mein khaq lgy. [6046: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#814
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi shaks kisi shaks ko kafir ya fasiq khy aur wo dar-haqiqat kafir ya fasiq na ho to khud kehny wala fasiq aur kafir ho jyega. [6045: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Zar Ghaffari]
#815
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman ko gali dena gunah ha aur usko qatal kerna kufar ha. [6044: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#816
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kisi ki reeh kharij hony per hansany se mana farmaya aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye bhi farmaya ke tum me se kis tarhan aik shaks apni bivi ko zor se marta ha jaisy oont, halanke uski puri umeed ha ke sham mein usy wo galy lgaye ga. [6042: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Zam'a]
#817
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaan Ki Halawat)
November 09, 2013, 09:06:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks Imaan ki halawat us waqat tak nhi paa skta jab tak wo agr kisi shaks se mohabat kerta ha to sirf Allah ke lye kry aur usko aag mein dala jana acha lgy per imaan ke baad jab Allah ne usy kufar se chura dya phir kafir ho jana usy pasand na ho aur jab tak Allah aur Uske Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se usy Un ke siwa dosri tamam cheezun ke muqably mein zyada mohabat na ho. [6041: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#818
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ka Mehbob Banda)
November 08, 2013, 10:02:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Allah kisi banda se mohabat Kerta ha to Hazrat Jibrail ko awaz deta ha ke Allah falan banda se mohabat Kerta ha tum bhi is se mohabat kro. Hazrat Jibrail bhi us se mohabat kerny lagty hein, phir wo tamam asmaan walun mein awaz dety hein ke Allah falan banda se mohabat Kerta ha, tum bhi is se mohabat kro, phir tamam asman waly is se mohabat kerny lgty hein, iske baad wo zameen mein bhi (bandgan-e-Khuda ka) maqbool aur mehbob ban jata ha. [6040: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#819
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghar Ke Kaam Kerna)
November 07, 2013, 08:12:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Apny Ghar ke kaam kaaj kerty aur jab Nimaz ka waqat ho jata to Nimaz ke lye Masjid tashreef le jaty. [6039: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#820
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Uff Tak Ni Kaha)
November 06, 2013, 08:40:27 PM
Mein ne (Hazrat Anas) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki das (10) saal khidmat ki lakin Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kbhi mujy (Hazrat Anas) uff tak nhi kaha aur na kbhi ye kaha ke falan kaam kyun kiya aur falan kaam kyun nhi kya. [6038: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#821
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zamana jaldi jaldi guzry ga aur Deen ka Ilm dunya mein kam ho jyega aur dilun mein bakheli sama jyegi aur larai barh jyegi. Sahaba ne arz kiya "Harj" kya hota ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qatal khoon raizi. [6037: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#822
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kisi Ki Hajat Puri Kerna)
November 04, 2013, 08:14:30 PM
Kbhi aisa nhi hua ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se kisi ne koi cheez mangi ho aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne iske deny se inkar kiya ho. [6034: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir]
#823
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Badtareen Log)
November 03, 2013, 11:04:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke yahan Qiyamat ke din wo log badtareen hongy jinke shar ke dar se log is se milna chor dein. [6032: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#824
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Akhlaq)
November 02, 2013, 09:58:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein sab se behtar wo admi ha, jis ke akhlaq sab se achy hun. [6029: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Qateebah bin Saeed]
#825
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sifarish)
November 02, 2013, 10:41:50 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pas jab koi mangny wala ya zarurat mand ata to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam farmaty ke logo! Tum sifarish kro ta ke tumhein bhi sawab mily aur Allah Apny Nabi (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki Zuban Mubarak per jo chahyga faisla krayga. [6028: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
Powered by EzPortal