News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 258
Most Online Ever: 258
(Today at 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 19
Total: 19
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#796
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks bhi ya koi cheez bhi takleef bardasht kerny wali, jo usy kisi cheez ko sun ker hui, Allah se zyada nhi ha. Log Is (Allah) ke lye olad tehraty hein aur wo unhein tandarusti deta ha balke unhein Rozi bhi deta ha. [6099: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#797
Hadees / Saheeh Bukhari Shareef (Jhoot)
November 30, 2013, 08:40:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) pas guzishta raat khwab mein do (2) admi aye, jisy Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne daikha ke uska jabra cheera ja rha ha wo bara hi jhoota tha, jo aik (1) baat ko leta aur sari dunya mein phela deta tha, Qiyamat tak usko yhi saza milti rhygi. [6096: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Samrah bin Jandab]
#798
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Munafiq)
November 29, 2013, 09:42:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Munafiq ki teen (3) nishanian hein, jab bolta ha jhoot bolta ha, jab wa'da kerta ha khilaf kerta ha, aur jab usy ameen banaya jata ha to khyanat kerta ha. [6095: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#799
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sach Aur Jhoot)
November 28, 2013, 10:44:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bila-shuba sach admi ko naiki ki taraf bulata he aur naiki Jannat ki taraf le jati he aur aik (1) shaks sach bolta rehta ha yahan tak ke wo sadeeq ka laqab aur martuba hasil ker leta ha aur bila-shuba jhoot burai ki taraf le jata ha aur burai jahanum ki taraf aur aik (1) shaks jhoot bolta rehta ha, yahan tak ke wo Allah ke yahan bohat jhoota likh diya jata ha. [6094: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Mas'ood]
#800
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Walima)
November 27, 2013, 08:28:43 PM
(Jab Abd-ur-Rehman bin Aof ne nikah kiya to) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Walima kr khwah aik (1) bakri ka ho. [6082: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#801
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi shaks ke lye jaiz nhi ke apny kisi bhai se teen (3) din se zyada ke lye mulaqat chory, is tarhan ke jab dono ka samna ho jye to ye bhi mun phair le aur wo bhi mun phair le aur in dono mein behtar wo he jo salam mein pehal kry. [6077: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Ayub Ansari]
#802
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apas mein bughz na rakho aur aik (1) dosry se hasad na kro, peeth peachy kisi ki burai na kro, balke Allah ke bandy aur apas mein bhai bhai ban ker raho aur kisi musalman ke lye jaiz nhi ke kisi bhai se teen (3) din se zyada tak baat cheet band kry. [6076: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#803
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kiya Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein Jannat walun ki khabar na dun? Her kamzor-o-tawaza' kerny wala agr wo (Allah ka naam le ker) qasam kha le to Allah uski qasam ko puri ker dega. Kiya Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhien dozakh walun ki khabar na dun? Her tand-khu, akar ker chalny wala aur motakabbir. [6071: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harisa bin Wahb]
#804
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ke Pardy Ko Kholna)
November 23, 2013, 08:57:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri tamam Ummat ko maaf kiya jyega siwa gunahun ko khullam khulla kerny walun ke aur gunahun ko khullam khulla kerny mein ye bhi shamil ha ke aik (1) shaks raat ko koi (gunah ka) kaam kry aur iske bawajood ke Allah ne uske gunah ko chupa diya he magr subha hony per wo keny lgy ke Aye falan! Mein ne kal raat falan falan bura kaam kiya tha. Raat guzar gai thi aur uske Rab ne uska gunah chupaye rakha, lakin jab subha hui to wo khud Allah ke pardy ko kholny lga. [6069: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#805
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad-gumani, Hasad, Bughz)
November 22, 2013, 08:25:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad-gumani se bachty raho, bad-gumani aksar tehqeeq ke baad jhooti baat sabit hoti ha aur kisi ke ayub dhondny ke peachy na paro, kisi ka aib khwah makhwah mat tatolo aur kisi ke bhao per bhao na barhao aur hasad na kro, bughz na rakho, kisi ki peeth peechy burai na kro balke sab Allah ke bandy apas mein bhai bhai ban ker raho. [6066: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#806
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apas mein bughz na rakho, hasad na kro, peeth peachy kisi ki burai na kro, balke Allah ke bandy apas mein bhai bhai ban ker raho aur kisi musalman ke lye jaiz nhi ke aik (1) bhai kisi bhai se teen (3) din se zyada salam kalam chor ker rhy. [6065: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#807
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad-gumani, Hasad)
November 20, 2013, 09:34:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad-gumani se bachty raho kyunke bad-gumani ki batein aksar jhooti hoti hein, logun ke ayub talash kerny ke peachy na paro, apas mein hasad na kro, kisi ki peeth peachy burai na kro, bughz na rakho, balke sab Allah ke bandy apas mein bhai bhai ban ker raho. [6064: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#808
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad-tar Shaks)
November 19, 2013, 09:48:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum Qiyamat ke din Allah ke Haan us shaks ko sab se bad-tar paogy jo kuch logun ke samny aik (1) rukh se ata ha aur dosrun ke samny dosry rukh se jata ha. [6058: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#809
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Roza Ki Halat Mein)
November 18, 2013, 08:30:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks (Roza ki halat mein) jhoot baat kerna aur faraib kerna aur jahalat ki batun ko na chory to Allah ko uski koi zarurat nhi ke wo apna khana peena chory. [6057: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#810
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chughal Khor)
November 17, 2013, 09:10:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein chughal khor nhi jyega. [6056: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
Powered by EzPortal