News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 411
Most Online Ever: 948
(January 29, 2025, 05:21:28 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 294
Total: 294
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#751
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
January 23, 2014, 11:02:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Soty waqat) bartan dhak liya kro wrna darwazy band ker lya kro aur charagh bujha liya kro kyun ke ye chuha (rat) baaz-oqat charagh ki batti khainch leta ha aur ghar walun ko jala deta ha. [6295: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#752
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aag tumhari dushman ha islye jab sony lgo to usy bujha diya kro. [6294: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#753
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab sony lago to ghar mein aag na choro. [6293: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salim]
#754
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sargoshi)
January 20, 2014, 09:33:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum teen (3) admi ho to teesry (3) sathi ko chor ker tum apas mein sargoshi na kiya kro. Islye logun ko ranj hoga albata agr dosry (2) aadmi bhi hun to muzaiqa nhi. [6290: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#755
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sargoshi)
January 19, 2014, 10:06:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab teen (3) admi sath hun to teesry (3) ko chor ker do (2) apas mein sargoshi na karein. [6288: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#756
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chitt Ho Ke Letna)
January 18, 2014, 09:15:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko Masjid mein chitt laity daikha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) Paun Mubarak dosry (2) per rakhy huy thy. [6287: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibad bin Tamim]
#757
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein sab se bary gunah ki khabar na dun. Sahaba ne arz kiya! Kyun nhi Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ke sath shirk kerna aur waldain ki nafarmani kerna. [6273: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abd-ul-Rehman bin Abi Bakrah]
#758
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya tha ke kisi shaks ko uski jagha se uthaya jye ta ke dosra (2) uski jagha baithy, albata (aany waly ko majlis mein) jagha de diya kro aur farakhi ker diya kro. [6270: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#759
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks kisi dosry (2) shaks ko uske baithny ki jagha se na uthaye ke khud wahan baith jye. [6269: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#760
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Ahle Kitab tumhein salam karn to tum uske jawab mein sirf "Wa Alaykum" kaho. [6258: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#761
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 13, 2014, 09:58:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab kisi ko salam kerty (aur jawab na milta) to teen (3) martaba salam kerty thy aur jab Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam koi baat farmaty to (zyada se zyada) teen (3) martuba usy dohraty. [6244: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#762
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zina)
January 12, 2014, 08:20:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne insanun ke mamla mein zina mein se is ka hissa likh dya ha jis se wo la mahala dochaar hoga pas aankh ka zina daikhna ha, zuban ka zina bolna ha, dil ka zina ye he ke wo khwahish aur arzu kerta ha phir sharamgah uski khwahish ko sacha kerti ha ya jhutla deti ha. [6243: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah
#763
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 11, 2014, 09:03:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi musalman ke lye jaiz nhi ke wo apny kisi (Musalman) bhai se teen (3) din se zyada ta'luq katy ke jab wo milein to ye aik (1) taraf mun phair le aur dosra (2) dosri taraf aur dono (2) mein acha wo ha jo salam pehly kry. [6237: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Ayub]
#764
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Makhlooq Khuda ko) khana khilao aur salam kro, usy bhi jisy tum pehanchanty ho aur usy bhi jisy nhi pehanchanty. [6236: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#765
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 09, 2014, 09:45:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sawar paidal chalny waly ko salam kry, paidal chalny wala bethy huy ko aur kam ta'dad waly bari ta'dad walun ko. [6232: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal