News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 121
Total: 121
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#76
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Taant Ka Gandda)
March 15, 2016, 07:58:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik safar mein apna aik qasid (Hazrat Zaid bin Harsa) ye ailan kerny ke lya bheja ke jis shaks ke oont ki garden mein taant ka gandda ho ya yun farmaya ke jo gandda (haar) ho wo isy kaat daly. [3005: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef]
[Hazrat Abu Basheer Ansari] [Kisi janwar ke galy mein mehaz zeenat aur tafakhar ke lye ghanti ya koi aur bajy ki kisam ka latkana mana ha]
#77
Aik (1) Sahabi Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se Jihad mein shirkat ki ijazat chahi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Us Sahabi se daryaft kiya, kiya Tumhary Maan Baap zinda hein? Unhun ne kaha ke ji haan! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Phir unhein mein Jihad karo. [3004: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umro]
#78
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Safar Azab Ka Tukra)
March 13, 2016, 08:45:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safar kya ha goya azab ka aik (1) tukra ha, aadmi ki neend, khany peeny sab me rukawat paida kerta ha. Is lye jab musafir apna kaam pura ker le to usy jaldi ghar wapis aa jana chahye. [3001: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#79
Jab ham bulandi per charty to Allah-o-Akbar kehty aur nashaib mein utarty to Subhan-Allah kehty thy. [2994: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Jabir]
#80
Hazrat Umer bin Khitab ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se farmaya, mein ne Allah ke rasty mein (Jihad ke lye) apna aik (1) ghora aik (1) shaks ko sawari ke lye diya tha, phir mein ne dekha ke (bazar mein) whi ghora bik rha ha. Mein ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke mein isy kharid skta hun? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke is ghory ko tum na kharido aur apna sadqa (khuwah kharid ker hi ho) wapis na lo. [2970: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Zaid bin Aslam]
#81
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ham log go' dunya mein sab se peechy aye lakin (aakhrat mein) Jannat mein sab se agy hungy. [2956: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#82
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Khalifa-e-waqat ke ehkam) sun'na aur unhein baja lana (her musalman ke lye) wajib ha, jab tak ke gunah ka hukam na diya jye. Agr gunah ka hukam diya jye to phir na usy sun'na chahye aur na us per amal kerna chahye. [2955: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Umar]
#83
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak tum turkun se jang na ker lo gy, jin ki ankhein choti hongi, chehry surkh hongy, naak moti pehli hui hogi, un ke chehry aisy hongy jaisy teh band chamrra lagi hui hti ha aur Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak tum aik aisi qoam se jang na ker lo gy jin ke jooty baal ke bny huy hongy. [2928: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#84
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Aik dor aye ga jab) tum yahudiun se jang karo gy. (Aur wo shikast kha ker bhagty phiren gy) koi yahudi agar pathar ke peachy chup jyega to wo pathar bhi bol uthy ga ke "Aye Allah ke bandy! Ye yahudi mery peachy chupa bheta ha isy qatal ker daal. [2925: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#85
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Abdur Rehman bin Aof aur Hazrat Zubair ko kharish ke marz ki waja se reshmi kurta pehan'ny ki ijazat de di ti, jo in dono ko lahiq hogai thi, jo is marz mein mufeed ha. [2919: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Malik]
#86
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum log sirf apny kamzor ma'zoor logun ki Duaun ke natija mein Allah ki taraf se madad pohnchaye jaty ho aur un hi ki Duaun se Rizq diye jaty ho. [2896: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad bin Abi Waqas]
#87
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke rasty mein dushman se mili hui sarhad per aik (1) din ka pehra dunya-o-mafiyah se barh ker ha, Jannat mein kisi ke lye aik (1) kurry jitni jagha dunya-o-mafiyah se barh ker ha aur jo shaks Allah ke rasty mein sham ko chaly ya subha ko to wo dunya-o-mafiyah se behtar ha. [2892: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#88
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rozana insan ke her aik (1) jor per sadqa lazim ha aur agr koi shaks kisi ki sawari mein madad kry ke usko sahara de ker uski sawari per sawar kra de ya uska saman us per utha ker rakh de to ye bhi sadqa ha, acha aur paak lafaz bhi (zuban se nikalna) sadqa ha, her qadam jo Nimaz ke lye uthta ha wo bhi sadqa ha aur (kisi musafir ko) rasta bta dena bhi sadqa ha. [2891: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#89
Hazrat Ayesha ne bayan kiya ke Mein ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se Jihad ki ijazat chahi to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke tumhara Jihad Haj ha. [2875: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#90
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nahusat sirf teen (3) hi cheezun mein hoti ha, ghorry mein, aorat mein, aur ghar mein. [2858: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef]
Powered by EzPortal