News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 23
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 16
Total: 16
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#736
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aal-o-Olad)
February 07, 2014, 09:26:20 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein agr koi shaks sadqa lata to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam farmaty ke Aye Allah! Falan ki aal-o-olad pe apni Rehmatain nazil farma. [6332: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin abi oofa]
#737
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua)
February 06, 2014, 07:50:17 PM
"Wala Tajhar Bis-salateka wala takhafat beha" (Ye Ayat) Dua ke bary mein nazil hui (ke na bohat zor zor se aur na bilkul ahista ahista) balke darmyani rasta ikhtiyar kro. [6327: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#738
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Mein Parhny Ki Dua)
February 05, 2014, 10:01:25 PM
Hazrat Abu Bakkar ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se kaha ke Mujhy aisi Dua sikha dijye jisy Mein Apni Nimaz mein parha krun. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke ye kaha ker "Aye Allah! Mein ne apni jaan per bohat zulm kya ha aur gunahun ko Tery (Allah ke) siwa aur koi maaf nhi kerta, pas meri maghfarat ker, aisi maghfarat jo Tery (Allah ke) pas se ho aur mujh per Reham ker bilashuba Tu (Allah) bara maghfarat wala, bara Reham kerny wala ha". [6326: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakkar]
#739
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
February 04, 2014, 10:17:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab sony ka irada kerty to kehty "Tery naam ke sath Aye Allah! Mein marta aur Tery hi naam se jeeta hun" aur jab baidar hoty to ye Dua parhty. "Tama ta'reefain Us Allah ke lye hein Jis ne hamein mo'at ke baad zindagi bakhshi aur Usi ki taraf ham ko lotna ha". [6324: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
#740
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Astaghfar)
February 03, 2014, 09:29:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se umdah Astaghfar ye ha! "Aye Allah! Tu mera palny wala ha Tery siwa koi ma'bood nhi, Tu ne mujhy paida kya aur mein Tera banda hun aur mein Tery ehad per qaim hun aur Tery wady per. Jahan tak mujhse mumkin ha, Teri Naimat ka talib ho ker Teri panha mein aata hun aur apny gunahun se Teri panha chahta hun, pas Tu meri maghfarat farma kyun ke Tery siwa gunah aur koi nhi maa'f kerta. Mein Teri panha mangta hun apny bury kamun se, agr kisi ne raat hoty hi ye keh liya aur usi raat uska intiqal ho gya to wo Jannat mein jyega, ya (farmaya ke) wo Ahl-e-Jannat mein hoga aur agr ye Dua subha ke waqat parhi aur usi din uski wafat hogai to bhi aisa hi hoga. [6323: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Shadad bin Aos]
#741
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aasman Se Zameen Per)
February 02, 2014, 10:37:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hamara Rab (Allah) her raat aasman se dunya ki taraf nazol fermata ha, us waqat jab raat ka akhri tehai hissa baqi reh jata ha aur farmata ha kon ha jo mujh se Dua kerta ha ke Mein (Allah) uski Dua qabool krun, kon ha jo mujhse mangta ha ke Mein (Allah) usy dun, kon ha jo mujhse bakhshish talab kerta ha ke Mein (Allah) uski bakhshish krun. [6314: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#742
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
February 01, 2014, 10:45:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab raat mein bistar per lait'ty to Apna Haath Apny Rukhsaar Mubarak ke neechy rakhty aur ye kehty "Aye Allah! Tery Naam ke saath Merta Hun aur Zinda Hota Hun" aur jab baidar hoty to kehty "Tamam Ta'reefain Us Allah ke lye hein Jis ne hamein zinda kya aur uske baad ke hamein mo'at (murad neend ha) de di thi aur Teri (Allahi ki) hi taraf jana ha". [6314: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
#743
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
January 31, 2014, 11:20:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab Apny bistar per let'ty to ye kehty "Tery (Allah ke) hi Naam ke sath Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Murdah aur Zinda rehta hun aur jab baidar hoty to kehty Usi Allah ke lye tamam Ta'reefain hein jis ne hamein zinda kya. Is ke baad Us (Allah) ne Moat taari ker di thi aur Usi (Alla) ki taraf lotna ha". Qur'an Shareef mein jo lafz "Nunshezuhaa" ha is ka bhi yhi ha ke Ham (Allah) isko nikal ker uthaty hein. [6312: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa bin Yaman]
#744
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat Wazu Kerna)
January 30, 2014, 08:52:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tu sony lgy to Nimaz ki tarhan Wazu ker phir dayein (right) karwat lait ja aur ye Dua parh. "Aye Allah! Mein ne apny aapko Teri (Allah ki) ata'at mein de diya, apna sab kuch Tery (Allah ke) supurd ker dya. Apny mamlat Tery (Allah ke) hawaly ker dya. Khof ki waja se aur Teri (Allah ki) (Rehmat aur Sawab ki) umeed mein koi panha gah koi mukhlis Tery (Allah ke) siwa nhi. Mein Teri (Allah ki) kitab per Imaan laya jo Tu (Allah) ne nazil ki ha aur Tery (Allah ke) Nabi Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jo Tu (Allah) ne bheja". Iske baad agr tum mar gye to fitrat (Deen Islam per marogy) pas in Kalmat ko (raat ki) sab se akhri baat bnao jinhein tum apni zuban se ada kro. [6311: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bara' bin Aazib]
#745
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Toba)
January 30, 2014, 06:56:48 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah apny bandy ki toba se tum mein se us shaks se bhi zyada khush hota ha jis ka oont mayusi ke baad achanak usy mil gya ho halan ke wo aik (1) chatyal maidan mein gum hua tha. [6309: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#746
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Astaghfar)
January 28, 2014, 09:51:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ki Qasam Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) din mein sattar (70) martaba se zyada Allah se astaghfar aur Us (Allah) se toba kerta hun. [6307: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#747
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Syed-ul-Astaghfar)
January 27, 2014, 08:56:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Syed-ul-Astaghfar ye ha ke yun kahy. Aye Allah! Tu mera Rab ha, Tery siwa koi Ma'bood nhi. Tu ne hi mujhy paida kya aur mein Tera hi banda hun, mein apni taqat ke mutabiq Tujhse kiye huy ehad aur wada per qaim hun. Un buri harkatun ke azab se jo mein ne ki hein, Teri panha mangta hun mujh per naimatein Teri hein aur iska iqrar kerta hun. Meri maghfarat ker dy ke Tery siwa aur koi bhi gunah nhi mua'f kerta. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jis ne is Dua ke ilfaz per yaqeen rakhty huy dil se inko keh lya aur usi din uska intiqal hogya, shaam hony se pehly wo Janati ha aur jis ne is Dua ke ilfaz per yaqeen rakhty huy raat mein inko parh lya aur phir uska subha hony se pehly intiqal hogya to wo Janati ha. [6306: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat  Shadad bin Aos]
#748
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ummat Ki Shafa't)
January 26, 2014, 09:26:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her Nabi ko aik (1) Dua hasil hoti ha (jo qabool ki jati ha) aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) chahta hun ke Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Apni Dua ko Akhrat mein Apni Ummat ki Shafa't ke lye mehfoz rakhun. [6304: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#749
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Paanch (5) chezain fitrat se hein. Khatna kerna, zair-e-naaf ke baal banana, baghal ke baal saaf kerna, moonch choti karana aur nakhun katna. [6297: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#750
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
January 24, 2014, 08:30:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab raat mein sony lgo to charagh bujha diya kro aur darwazy band ker liya kro aur mashkeezun ka munh baandh diya kro aur khany peeny ki cheezain dhak diya kro. [6296: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir]
Powered by EzPortal