News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 28
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 18
Total: 18
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#721
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Allah! Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun dozakh ke azab se, dozakh ki aazmaish se, qabar ke azab se, maaldari ki buri aazmaish se, mohtaji ki buri aazmaish se aur maseeh dajjal ki buri aazmaish se. Aye Allah! Mery gunahun ko baraf aur ooly ke pani se dho de, jis tarhan safaid kapra mail se saaf ker dya jata ha aur Mery aur Mery gunahun ke darmyan itna faasla ker dy jitna fasla mashriq-o-maghrib mein ha. [6375: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#722
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Allah! Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun bukhal se, Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun buzdali se, Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun is se ke nakarah umar mein pohancha diya jaun, Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun dunya ki aazmaish se aur Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun qabar ke azab se. [6370: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad bin Abi Waqas]
#723
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Allah! Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun gham-o-alam se, aajzi, susti, buzdali, bukhal, qarz charh jany aur logun ke ghalba se. [6369: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#724
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Allah! Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun aajzi se, susti se, buzdali se aur bohat burhapy se aur Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun azab-e-qabar se aur Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun zindagi aur mo'at ki azmaishun se. [6367: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#725
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Allah! Mein Teri (Allah ki) panha mangta hun bukhal aur buzdali se aur Teri (Allah ki) panha mangta hun is se ke bad-tareen burhapa mujh per aa jye aur tujh (Allah se) panha mangta hun dunya ke fitny se, is se murad dajjal ka fitna ha aur Tujh (Allah se) panha mangta hun qabar ke azab se. [6365: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad bin Abi Waqas]
#726
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bura Bhala Kaha Ho)
February 17, 2014, 10:57:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Allah! Mein ne jis momin ko bhi bura bhala kaha ho to uske lye usy Qiyamat ke din apni qurbat ka zarya bana de. [6361: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#727
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bachy Ka Peeshab)
February 16, 2014, 08:25:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pas aik (1) bacha laya gya aur usne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke kapry per peeshab ker dya. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne pani mangaya aur peeshab ki jagha per usy dala, kapry ko dhoya nhi. [6355: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#728
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mo'at Ki Dua)
February 16, 2014, 12:28:51 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se koi shaks kisi takleef ki waja se jo usy hony lgi ho, mo'at ki tamanna na kery. Agr mo'at ki tamanna zaruri hi ho jye to ye kahy ke Aye Allah! Jab tak mery lye zindagi behtar ha mujhy zinda rakhyo aur jab mery lye mo'at behtar ho to mujhy utha lijyeo. [6351: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#729
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Se Panha Mangna)
February 14, 2014, 09:01:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam museebat ki sakhti, tabahi tak pohanch jany, qaza-o-qadar ki burai aur dushmanun ke khush hony se panha mangty thy. [6347: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#730
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Pareshani Ke Waqat Dua)
February 13, 2014, 10:07:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pareshani ke waqat ye Dua kerty thy "Allah ke siwa koi Ma'bood nhi jo bohat Azmat wala ha aur Burdbar ha, Allah ke siwa koi Ma'bood nhi jo asmanun aur zameen ka Rab aur bary bhari Arsh ka Rab ha". [6345: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#731
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua Ke Lye Hath Uthana)
February 12, 2014, 09:11:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apny Hath (Dua ke lye) itny uthay ke mein ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Baghlun ki safaidi daikhi. [6341: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#732
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua Qabool Nhi Hui)
February 11, 2014, 09:33:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Banda ki Dua qabool hoti ha jab tak ke wo jaldi na kery ke kehny lgy ke mein ne Dua ki thi aur meri Dua qabool nhi hui. [6340: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#733
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Yaqeen Ke Sath Dua)
February 10, 2014, 10:50:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum me se koi shaks is tarhan na khy ke "Aye Allah! Agr Tu (Allah) chahy to mujhy maaf ker dy, meri maghfarat ker dy" balke yaqeen ke sath Dua kry kyunke Allah per koi zabardasti kerny wala nhi ha. [6339: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#734
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Se Mango)
February 09, 2014, 08:47:25 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi Dua kery to Allah se qata'i tor per mangy aur ye na khy ke Aye Allah! Agr Tu (Allah) chahy to mujhy ata farma kyun ke Allah per koi zabardasti kerny wala nhi ha. [6338: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#735
Hazrat Abdullah bin Abbas ne kaha ke logun ko wa'z hafta mein sirf aik (1) din Jumma ko kya kero, agr tum is per tyar na ho to do (2) martaba agr tum zyada hi krna chahty ho to bas teen (3) din aur logun ko is Qur'an se ukta na dena, aisa na ho ke tum kuch logun ke pas pohancho, wo apni batun mein masroof hon aur tum pohanchty hi in se apni baat (ba-shakal wa'z) byan kerny lgo aur unki apas ki guftagu ko kaat do ke is tarhan wo ukta jayen, balke (aisy muqam per) tumhein khamosh rehna chahye. Jab wo tum se kahein to phir tum unhein apni batein sunao. Is tarhan ke wo bhi is taqreer ke khwahish-mand hon aur Dua mein kafia bandi se perhaiz kerty rehna, kyun ke mein (Hazrat Abdullah bin Abbas) ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Sahaba ko daikha ha ke wo hamesha aisa hi kerty thy. [6337: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]
Powered by EzPortal