News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 28
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 22
Total: 22
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#706
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein aik kory jitni jagha dunya aur is mein jo kuch ha sab se behtar ha aur Allah ke rasty mein subha ko ya sham ko thora sa chalna bhi dunya-o-mafyah se behtar ha. [6415: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal]
#707
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sehat Aur Faraghat)
March 08, 2014, 09:31:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Do (2) naimatein aisi hien ke aksar log inki qadar nhi kerty, Sehat aur Faraghat. [6412: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]
#708
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ninawy (99) Naam)
March 07, 2014, 09:13:21 PM
Allah ke ninanwy (99) Naam hein, aik (1) kam so (100), jo shaks bhi inhein yaad ker lyga Jannat mein jyega. Allah taaq (odd) ha aur taaq (odd) ko pasand kerta ha. [6410: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#709
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ko Yaad Kerna)
March 06, 2014, 08:52:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us shaks ki missal jo apny Rab (Allah) ko yaad kerta ha aur uski misaal jo apny Rab (Allah) ko yaad nhi kerta zinda aur murdah jaisi ha. [6407: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#710
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Do (2) kalmy jo zuban per halky hien Tarazu mein bohat bhari aur Rehman (Allah) ko aziz hein. "Subhan Allah Hil-Azeem Subhan Allahe Wa Be-Hamdehi". [6406: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#711
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne "Subhan Allah Wa Be-Hamdehi" din mein so (100) martaba kaha, uske gunah mu'aaf ker dye jaty hein, khwah sumandar ki jhaag ke baraber hi kyun na hon. [6405: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#712
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasbeeh)
March 03, 2014, 09:20:20 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne ye Kalima ke "Allah ke siwa koi ma'bood nhi, tanha ha Us ka koi shareek nhi, Usi ke lye baadshahi ha aur Usi ke lye ta'reefain hein aur Wo her cheez pe qudrat rakhny wala ha" din mein so (100) dfa parha usy das (10) ghulamun ko azad kerny ka sawab milyga aur uske lye so (100) naikyan likh di jyengi aur us ki so (100) burayan mita di jyengi aur us din wo shaitan ke shar se mehfooz rhyga sham tak ke lye, aur koi shaks us din us se behtar kaam kerny wala nhi smjha jyega, siwa iske jo us se zyada kry. [6403: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#713
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ameen)
March 02, 2014, 09:48:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab parhny wala Ameen khy to tum bhi Ameen kaho kyunke us waqat Malaika bhi Ameen kehty hien aur jis ki Ameen Malaika ki Ameen ke sath hoti ha uske pichly gunah muaaf ker dye jaty hien. [6402: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#714
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jumma ke din aik (1) aisi ghari aati ha jis mein agr koi musalman is haal mein paa le ke wo khara Nimaz parh rha ho to jo bhalai bhi wo mangy ga Allah inayat farmye ga aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apny Hath se ishara farmaya aur ham ne is se ye samjha ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is ghari ke mukhtasir hony ki taraf ishara ker rhy hein. [6400: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#715
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua)
February 28, 2014, 09:17:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ye Dua kiya kerty thy, "Aye Allah! Meri maghfarat farma, Meri khataun mein, Meri nadani mein aur Meri kisi mamly mein zyadti mein, un batun mein jin ka Tu (Allah) Mujhse zyada janny wala ha. Aye Allah! Meri maghfarat ker, Mery hansi mazah aur sanjeedgi mein aur Mery irada mein aur ye sab kuch Meri hi taraf se hein." [6399: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ra]
#716
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ye Dua kerty thy, "Mery Rab! Meri khata, Meri nadani aur tamam mamlaat mein Mery had se tajawuz kerny mein Meri maghfarat farma aur wo gunah bhi jin ko Tu (Allah) mujhse zyada janny wala ha. Aye Allah! Meri maghfarat ker, Meri khataun mein, Mery bala-irada aur bila-irada kamun mein aur Mery hansi mazah ke kamun mein aur ye sab Meri hi taraf se hein. Aye Allah! Meri maghfarat ker un kamun mein jo Mein ker chukka hun aur unhein jo karunga aur jinhein Mein ne chupaya aur jinhein Mein ne zahir kiya ha, Tu (Allah) hi sab se pehly ha, aur Tu (Allah) hi sab se baad mein ha, aur Tu (Allah) hi her cheez per Qudrat rakhny walah ha." [6398: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abi Musa]
#717
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua)
February 26, 2014, 08:53:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki aksar ye Dua hua krti ti, "Aye Allah! Hamein dunya mein bhalai (Hasna) ata ker aur akhrat mein bhi bhalai ata ker aur hamein dozakh se bacha". [6389: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#718
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bivi Ke Paas Jana)
February 25, 2014, 08:49:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi shaks apni bivi ke pas any ka irada kry to ye Dua parhy. "Allah ke Naam se, Aye Allah! Hamein shaitan se door rakh aur jo kuch Tu (Allah) hamein ata farmye usy bhi shaitan se door rakh". To agr us sohbat se koi olad muqadar mein hogi to shaitan usy kuch nuqsan nhi pohancha skyga. [6388: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#719
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Ka Khazana)
February 24, 2014, 08:56:38 PM
Ham Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke sath aik (1) safar mein thy jab ham kisi buland jagha per charhty to Takbeer kehty. Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya logo! Apny upper reham kro, tum kisi behry ya ghaib Khuda ko nhi pukarty ho tum to Us Zaat (Allah) ko pukarty ho Jo Bohat Zyada Sunny Wala, Bohat Zyada Daikhny Wala Ha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kya Mein tumhein aik (1) aisa Kalma na bta dun jo Jannat ke Khazanun mein se aik (1) khazana ha. "La Haula Wala Quwwat'h Illah Billah". [6384: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ra]
#720
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Istakhara Ki Dua)
February 23, 2014, 08:20:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks kisi (mubah) kaam ka irada kry (abhi pakka azam na hua ho) to do (2) raka't (nafal) parhy is ke baad yun Dua kry "Aye Allah! Mein bhalai mangta hun (istakhara) Teri (Allah ki) bhalai se, Tu (Allah) Ilm wala ha, Mujhy ilm nhi aur Tu (Allah) tamam posheedah batun ka janny wala ha. Aye Allah! Agr Tu (Allah) janta ha ke ye kaam Mery lye behtar ha, Mery Deen ke aitbar se, Meri muaash aur Mery anjam kaar ke aitbar se, Tu (Allah) isy Mery lye muqadar ker dy aur agr Tu (Allah) janta ha ke ye kaam Mery lye bura ha, Mery Deen ke lye, Meri zindagai ke lye aur Mery anjam kaar ke lye,Tu (Allah) isy Mujhse phair de aur Mujhy is se phair de aur Mery lye bhalai muqadar ker dy jahan kahein bhi wo ho aur phir Mujhy is se mutmaeen ker dy (ye Dua kerty waqat) apni zarurat ka byan ker dena chahye". [6382: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat jabir]
Powered by EzPortal