News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 21
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 16
Total: 16
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#691
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Gharana ne agr kabhi aik (1) din mein do (2) martaba khana khaya to zarur usmein aik (1) waqat sirf khajurain hoti thein. [6455: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#692
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi maiz per khana nhi khaya, yahan tak ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki wafat hogai aur na wafat tak Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kbhi bareek chapatti tanawal farmai. [6450: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#693
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne Jannat mein jhanka to Us mein rehny waly aksar ghareeb log thy aur Mein ne dozakh mein jhanka to us ki rehny walian aksar aoratein thein. [6449: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hiseen]
#694
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ameeri)
March 21, 2014, 09:48:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ameeri ye nhi ke saman zyada ho, balke ameeri ye ha ke dil ghani ho. [6446: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#695
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr Mery pas Ohad pahar ke baraber bhi sona ho to bhi Mujhy is mein khushi hogi ke teen (3) din bhi mujh per is haal mein na guzrany payen ke is mein se Mery pas kuch bhi baqi bachy. Albata agr kisi ka qarz door kerny ke lye kuch rakh churun to ye aur baat ha. [6445: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#696
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Insan Ka Pait)
March 19, 2014, 09:37:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr insan ke pas maal ki do (2) wadian hon to teesri (3) ka khawahish mand hoga aur insan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nhi bhar skti aur Allah is shaks ki toba qabool kerta ha jo (dil se) sachi toba kerta ha. [6436: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#697
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Naik Log)
March 18, 2014, 09:24:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik log yak-e-baad deegry guzar jyengy iske baad jo (gandum ke) bhusy ya khajoor ke kachry ki tarhan kuch log dunya mein reh jyengy jin ki Allah ko kuch zara bhi parwah na hogi. [6434: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mardaas Aslami]
#698
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se behtar Mera (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka zamana ha, iske baad un logun ka jo iske baad hongy, phir jo unke baad hongy aur uske baad aisy log paida hongy jo qasam se pehly gwahi deingy kbhi gwahi se pehly qasam khayengy. [6429: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#699
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Baad Ka Zamana)
March 16, 2014, 10:28:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se sab se behtar Mera (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka zamana ha, phir un logun ka zamana ha jo iske baad hongy. Imran ne byan kiya ke mujhy nhi maloom Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne irshad ko do (2) martaba dohraya ya teen (3) martaba. Phir iske baad wo log hongy ke wo gawahi deingy lakin inki gawahi qabool nhi ki jyegi, wo khyanat krngy aur unper se aitmaad jata rhyga. Wo nazar (ehad) many gy lakin puri nhi krngy aur un mein mutapa phail jyega. [6428: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Haseen]
#700
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Akhrat mein Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tum se aagy jaunga aur Mein tum per gawah hunga, Wallah, Mein apny Hoz ko is waqat bhi daikh rha hun aur Mujhy zameen ke khazanun ki kunjiyan di gai hein ya (farmaya ke) zameen ki kunjiyan di gai hein aur Allah ki qasam! Mein tumhary motaliq is se nhi darta ke tum Mery baad shirk krogy balke Mujhy tumhary motaliq ye khof ha ke tum dunya ke lye aik (1) dosry se aagy barhny ki koshish krny lgogy. [6426: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Uqbah bin Aamir]
#701
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sabar Kerna)
March 14, 2014, 10:12:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah fermata ha! Mery us momin bandy ka jiski Mein (Allah) koi aziz cheez dunya se utha lu aur wo is per sawab ki niyyat se sabar ker ly, to uska badla Mery (Allah ke) yahan Jannat ke siwa aur kuch ni. [6424: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#702
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi banda jab Qiyamat ke din is halat mein paish hoga ke us ne Kalima "La Ila Ha Illal La Ho" ka iqrar kiya hoga aur us se us ka maqsood Allah ki khushnudi hasil kerna hogi to Allah dozakh ki aag ko us per haram ker de ga. [6423: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Atbaan bin Malik]
#703
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Insaan Ki Umar)
March 12, 2014, 10:32:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Insan ki umar barhti jati ha aur uske sath do (2) cheezain us ke andar barhti jati hein, maal ki muhabbat aur umer ki darazi. [6421: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#704
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Burhy Insaan Ka Dil)
March 11, 2014, 10:22:48 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Burhy insaan ka dil do (2) cheezun ke bary mein hamesha jawan rehta ha, dunya ki muhabbat aur zindagai ki lambi umeed. [6420: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#705
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dunya mein is tarhan ho jao jaisy tu musafir ya rasta chalny wala ho. [6416: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
Powered by EzPortal