News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 231
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 211
Total: 211
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#616
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qasam Khana)
June 15, 2014, 08:56:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny baap daadaun ki qasam na khao. [6648: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Denaar]
#617
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ki Qasam)
June 14, 2014, 09:57:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Khabardar tehqeeq Allah ne tumhein baap daadaun ki qasam khany se mana kiya ha, jisy qasam khani ha usy (ba-shart sidaq) chahye ke Allah hi ki qasam khaye warna chup rhy. [6646: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#618
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (In Sha Allah)
June 13, 2014, 10:16:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hazrat Suleman ne aik (1) din kaha ke aaj mein raat mein apni nawwy (90) biviun ke paas jaunga aur her aik (1) ke yahan aik (1) ghorr sawar bacha paida hoga jo Allah ke rasty mein Jihad kryga. Is per unke sathi ne kaha In Sha Allah!. Lakin Hazrat Suleman ne In Sha Allah nhi kaha, chunacheh wo apni tamam biviun ke paas gye lakin aik (1) aorat ke siwa kisi koi hamal nhi hua aur us se bhi naqis bacha paida hua aur US Zaat Ki Qasam Jis Ke Haath Mein Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Jaan ha! Agr unhun ne In Sha Allah keh diya hota to (tamam biviun ke yahan bachy paida hoty) aur sab ghorun per sawar ho ker Allah ke rasty mein Jihad kerny waly hoty. [6639: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#619
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki qasam! Jis Ke Haath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki jaan ha agr tum bhi aakhrat ki wo mushkilaat janty jo Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) janta hun to tum zyada roty aur kam hansty. [6637: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#620
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Hazrat Umer bin Khitab ka hath pakry huy thy. Hazrat Umer ne arz kiya, Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam mujhy her cheez se zyada aziz hein, siwa meri apni jaan ke. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya nahi, Us Zaat ki qasam jiske hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Jaan ha, (Imaan us waqat tak muqamal nhi ho skta) jab Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein tumhari apni jaan se bhi zyada aziz na ho jaun. Hazrat Umer ne arz kiya phir Wallah! Ab Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam mujhy meri apni jaan se bhi zyada aziz hein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya, Haan, Umer! Ab tera Imaan pura hua. [6632: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Hashaam]
#621
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Ummat Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam)! Wallah, agr tum wo janty jo Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) janta hun to zyada roty aur kam hansty. [6631: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#622
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qasam Torna)
June 09, 2014, 08:52:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wa-Allah (basa oqat) apny ghar walun ke mamla mein tumhara apni qasmun per israr kerty rehna Allah ke nazdeek is se zyada gunah ki baat hoti ha ke (qasam tor ker) uska wo kaffara ada ker dya jye jo Allah ne usper faraz kya ha. [6625: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef]
#623
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aakhri Ummat)
June 08, 2014, 09:21:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ham akhri Ummat hein aur Qiyamat ke din Jannat mein sab se pehly dakhil hongy. [6624: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#624
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Abd-ur-Rehman bin Samrah! Kabhi kisi hakumat ke ohdeh ki darkhwast na kerna kyunke agr tumhein ye mangny ke baad mily ga to Allah Apni Madad tujhse utha lega. Tu jaan, tera kaam jany aur agr wo ohdah tumhein baghair mangy milgya to isme Allah ki taraf se tumhari a'anat ki jyegi aur jab tum koi qasam kha lo aur uske siwa kisi aur cheez mein bhalai daikho to apni qasam ka kaffara de do aur wo kaam kro jo bhalai ka ho. [6622: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abd-ur-Rehman bin Samrah]
#625
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah se panah manga karo azmaish ki mushaqat, bad-bakhti ki pasti, bury khatmy aur dushman ke hansany se. [6616: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#626
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zina)
June 05, 2014, 10:58:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne insaan ke lye zina ka koi na koi hissa likh dya ha jis se usy la-mahala guzarna ha, pas aankh ka zina (ghair-mehram ko) daikhna ha, zuban ka zina ghair-mehram se guftagu kerna ha, dil ka zina khwahish aur shehwat ha aur sharam-gah iski tasdeeq ker deti ha ya isy jhutla deti ha. [6612: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#627
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Masoom)
June 04, 2014, 09:27:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab bhi koi shaks hakim hota ha to uske salah-kaar aur masheer do (2) tarhan ke hoty hein aik (1) to wo jo usy naiki aur bhalai ka hukam dety hein aur us per ubharty rehty hein aur dosry wo jo usy burai ka hukam dety rehty hein aur us per usy ubharty rehty hein aur masoom wo ha jisy Allah mehfooz rakhy. [6611: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#628
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Ka Khazana)
June 04, 2014, 12:24:36 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! Apny aap per reham kro, kyunke tum kisi behry ya ghair mojud ko nhi pukarty balke tum Us Zaat ko pukarty ho jo bohat zyada Sunny Wala Bara Daikhny Wala Ha. Phir farmaya Aye Abdullah bin Qais (Abu Musa Asha'ra)! Kiya Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein aik (1) Kalima na sikha du jo Jannat ke khazanun mein se ha. (wo kalima ha) "La Haula Wala Quwwata Illah Billah (Taqat-o-Quwat Alah ke siwa aur kisi ke pas nhi)". [6610: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Asha'ra]
#629
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mannat, Taqdeer)
May 31, 2014, 08:58:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nazar (mannat) insan ko koi cheez nhi deti jo Mein (Allah) ne uski taqdeer mein na likhi ho balke wo taqdeer deti ha jo Mein (Allah) ne uske lye muqarar ker di ha, albata iske zarya Mein (Allah) bakheel ka maal nikalwa leta hun. [6609: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#630
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mannat)
May 30, 2014, 10:14:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne nazar manny se mana kiya tha aur farmaya tha ke nazar kisi cheez ko nhi lotati, nazar sirf bakheel ke dil se paisa nikalti ha. [6608: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umar]
Powered by EzPortal