News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 177
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 102
Total: 102
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#601
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nazar (Mannat))
July 01, 2014, 11:36:14 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nazar (Mannat) insan ko koi aisi cheez nhi deti jo uske muqadar mein na ho, albata Allah iske zarya bakheel se uska maal nikalwata ha aur is tarhan wo cheezain sadqa ker deta ha jiski is se pehly iski umeed ni ki ja skti. [6694: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#602
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nazar (Mannat))
June 30, 2014, 08:15:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nazar (Mannat) kisi cheez ko na aagy ker skti ha na peachy, albata iske zarya bakheel ka maal nikala ja skta ha. [6692: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#603
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Niyyat)
June 29, 2014, 11:41:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bila-shuba amal ka daro-madar niyyat per ha aur insan ko whi milyga jiski wo niyat kryga pas jis ki hijrat Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke lye hogi to waqai wo inhi ke lye hogi aur jis ki hijrat dunya hasil kerny ke lye ya kisi aorat se shadi kerny ke lye hogi to uski hijrat isi ke lye hogi jis ke lye usne ki. [6689: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Khitab]
#604
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks is haal mein mar jyega ke Allah ke sath kisi ko shareek tehrata hoga to wo jahanum mein jyega. [6683: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#605
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Do (2) Kalmy jo Zuban per halky hien lakin Tarazu per (Aakhrat mein) bhari hien aur Allah ke Yahan pasandedah hein wo ye hein "Subhan Allahe Wa Be-Hamdehi Subhan Allah-hil-Azeem". [6682: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#606
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kasam Khana)
June 26, 2014, 09:41:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne jhoti qasam is tor se khai ke is ke zarya kisi musalman ka maal na-jaiz tariqa se hasil kry to wo Allah se is haal mein milyga ke Allah is per nihayat hi gussa hoga. [6676: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#607
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kabirah Gunah)
June 25, 2014, 11:03:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kabeerah gunah Allah ke sath shirk krn, waldain ki nafarmani kerna, kisi ki na-haq jaan lena aur yameen-ghamoos (qasadan jhoti qasam khany ko kehty hien). [6675: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#608
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Roza rakha ho aur bhool ker kha lya ho to usy apna Roza pura ker lena chahye kyun ke usy Allah ne khilaya pilaya ha. [6669: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#609
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne Meri Ummat ki un ghaltiun ko mua'f kiya ha jin ka sirf dil mein waswasa guzry ya dil mein uske kerny ki khwahish paida ho mgr uske mutabiq amal na ho aur na baat ki ho. [6664: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#610
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahanum)
June 22, 2014, 09:20:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum baraber yhi kehti rhygi ke kiya kuch aur ha kiya kuch aur ha? Aakhir Allah Apna Qadam Mubarak is mein rakh dega to wo keh uthygi bas bas mein bhar gai. Teri Izzat ki qasam! Aur iska baaz hissa baaz ko khany lgyga. [6661: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#611
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhooti Qasam)
June 21, 2014, 10:59:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne jhooti qasam is maqsad se khai ke kisi musalman ka maal uske zarya na-jaiz tareeqy per hasil kry to wo Allah se is haal mein milyga ke wo is per ghazab-naak hoga. Phir Allah ne iski tasdeek nazil ki (Qur'an Majeed mein ke) bila-shubah wo log jo Allah ke Ehad ke zarya kharidty hein. [6659: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#612
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kon Log Achy Hein)
June 20, 2014, 10:32:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha gya ke kon log achy hein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Mera (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka zamana, phir wo log jo us se qareeb hongy phir wo log jo us se qareeb hongy. Uske baad aik (1) aisi qoam paida hogi jiski gawahi qasam se pehly zuban per aa jaya krygi aur qasam gawahi se pehly. [6658: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#613
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dozakhi Log)
June 19, 2014, 09:05:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tum ko batlaun behishti kon log hein? Her aik (1) ghareeb natawan jo agr Allah ke bharosy per qasam kha bhethy to Allah usko sacha kry (uski qasam puri ker dy) aur dozakhi kon log hein her aik (1) mota (fat), laraka, maghroor, fasadi. [6657: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harsa bin Wahb]
#614
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis musalman ke teen (3) bachy mar jyen to usko dozakh ki aag nhi chuygi magr sirf qasam utarny ke lye. [6656: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#615
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo Islam ke siwa kisi aur mazhab per qasam khaye pas wo aisa hi ha jaisi ke usne qasam khai ha aur wo shaks apny nafs (apni jaan) ko kisi cheez se halak kery wo dozakh mein usi cheez se azab diya jata rhyga aur Momin per la'nat bhejna usko qatal kerny ke baraber ha aur jis ne kisi Momin per kufar ka ilzam lagaya pas wo bhi uske qatal kerny ke baraber ha. [6652: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sabit bin Zahaaq]
Powered by EzPortal