News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 177
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 101
Total: 101
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#586
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ko ye kehty suna ke Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi ya yun farmaya ke Qiyamat ki nishaniyun mein se ye ha ke Ilm-e-deen dunya se uth jyega aur jihalat phail jyegi, sharab ba-kasrat pee jany lgy gi aur zina phail jyega. Mard kam ho jyengy aur aoratun ki kasrat hogi. Halat yahn tak pohanch jyegi ke pachas (50) aoratun per aik (1) hi khabar leny wala mard reh jyega. [6808: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#587
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Mujy apny dono paun ke darmyan yani (sharamgah) ki aur apny dono jabrun ke darmyan (yani zuban) ki zamanat de di to Mein usy Jannat mein jany ka bharosa dilate hun. [6807: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#588
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) aadmi aisy hein jinhein Allah Qiyamat ke din Apny Arsh ke neechy Saya dega jabke Is (Allah) ke Arsh ke Saya ke siwa aur koi Saya nhi hoga. Aadil hakim, no-jawan jis ne Allah ki ibadat mein jawani pai, aisa shaks jisne Allah ko tanhai mein yaad kya aur uski ankhon se ansu nikal pry, wo shaks jiska dil Masjid mein lga rehta ha, wo do (2) aadmi jo Allah ke lye mohabbat kerty hein. Wo shaks jisy kisi buland martaba aur khobsurat aorat ne apni taraf bulaya aur usne jawab diya ke mein Allah se darta hun aur wo shaks jis ne itna posheeda sadqa kiya ke iske byen hath ko bhi pata na chal ska ke dayein ne kitna aur kya sadqa kya ha. [6806: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#589
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko jab bhi do (2) cheezun mein se aik (1) ke ikhtiyar kerny ka hukam diya gya to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne in mein se asaan hi ko pasand kiya, ba-shartiyake is mein gunah ka koi pehlu na ho, agr is mein gunah ka koi pehlu hota to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is se sab se zyada door hoty. Allah ki qasam! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kbhi Apny Zati mamla mein kisi se badla nhi lya, albata jab Allah ki hurmatun ko tora jata to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Allah ke lye badla lety thy. [6786: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#590
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shirk, Chori, Zina)
July 16, 2014, 08:36:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) majlis mein bhety thy to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Mujh se ehad kro Allah ke sath koi shareek nhi tehrao gy, chori nhi krogy aur zina nhi krogy aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat puri parhi "Pas tum mein se jo shaks is ehad ko pura kryga uska sawab Allah ke Yahan ha aur jo shaks in mein se ghalti ker guzra aur us per isy saza hui to wo iska kafara ha aur jo shaks in mein se koi ghalti ker guzra aur Allah ne iski pardah-poshi ki to agr Allah chahy ga to isy muaaf ker dyga aur agr chahy ga to is per azab dega". [6784: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abadah bin Saamat]
#591
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chor Per La'nat)
July 15, 2014, 08:36:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne chor per la'nat bheji ha ke aik (1) anda churata ha aur uska hath kaat lya jata ha, aik (1) rassi churata ha uska hath kaat lya jata ha. [6783: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#592
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin Nhi Rehta)
July 14, 2014, 08:39:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab zina kerny wala zina kerta ha to wo Momin nhi rehta aur isi tarhan jab chor chori kerta ha to wo Momin nhi rehta. [6782: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#593
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sharab peeny per chari (stick) aur jooty se mara tha aur Hazrat Abu Bakar ne chalees (40) kory mary. [6773: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#594
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne apny baap ke siwa kisi aur ke bety hony ka da'wa kiya ye janty huy ke wo iska baap nhi ha to Jannat is per haram ha. [6766: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad]
#595
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Waris)
July 11, 2014, 08:42:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman baap kafir bety ka waris nhi hota aur na kafir beta musalman baaf ka. [6764: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usama bin Zaid]
#596
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Warisun Ka Hissa)
July 09, 2014, 08:47:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) mominun ka khud inse zyada haq-dar hun. Pas in mein se jo koi qarz-dar mry ga aur adaigi ke lye kuch na chory ga to Ham (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) per iski adaigi ki zima-dari ha aur jis ne koi maal chora hoga wo uske warisun ka hissa ha. [6731: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#597
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad-Gumani)
July 08, 2014, 08:08:20 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad-gumani se bachty raho, kyunke guman (bad-zani) sab se jhoti baat ha. Apas mein aik (1) dosry ki burai ki talash mein na lgy raho na aik (1) dosry se bughz rakho aur na peeth peachy kisi ki burai kro, balke Allah ke bandy bhai bhai ban ker raho. [6724: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#598
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kabhi tum hakumat ka ohdah talab na kerna kyunke agr bila mangy tumhein ye mil jyega to usme tumhari manjanib Allah ki madad ki jyegi. Lakin agr mangny per mila to sara bojh tumheen per daal diya jyega aur agr tum koi qasam kha lo aur uske siwa koi aur baat behtar nazar aye to whi kro jo behtar ho aur qasam ka kaffara ada kro. [6722: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abd-ur-Rehman bin Samrah]
#599
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne kisi musalman Ghulam ko azad kiya to Allah uske aik (1) aik (1) tukry ke badly azad kerny waly ka aik (1) aik (1) tukra jahanum se azad kryga. Yahan tak ke Ghulam ki sharam-gah ke badly azad kerny waly ki sharam-gah bhi dozakh se azad ho jyegi. [6715: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#600
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Eid Ke Din Roza)
July 02, 2014, 08:14:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Bakar-Eid aur Eid ke din Rozy nhi rakhty thy aur na in dinun mein Rozy ko jaiz samjhty thy. [6705: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
Powered by EzPortal