News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 229
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 230
Total: 230
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#571
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaan Ki Sheerni)
August 08, 2014, 10:12:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) khasusiyatein aisi hein ke jis me pai jyengi wo Iman ki sheerni pa lega. Awal (1) ye ke Allah aur Us ke Rasool usy sab se zyada aziz hon. Dosry (2) ye ke wo kisi shaks se mohabbat sirf Allah hi ke lye kry. Teesry (3) ye ke usy kufar ki taraf lot ker jana itna na-gawar ho jaisy aag mein phaink dya jana. [6941: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#572
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Iraq)
August 06, 2014, 11:48:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne Iraq ki taraf Hath Mubarak se ishara farmaya ke idhar se aik (1) jamat niklygi ye log Qur'an parhein gy lakin Qur'an in ke halakun se neechy nhi utry ga. Wo Islam se is tarhan bahir ho jyengy jaisy teer shikar ke janwar se bahir nikal jata ha. [6934: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Haneef]
#573
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Allah narmi kerta ha aur her kaam mein narmi ko pasand kerta ha. [6927: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#574
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aag Allah Ka Azab Ha)
August 02, 2014, 10:36:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Aag Allah ka azab ha, tum Allah ke azab se kisi ko mat azab do. [6922: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#575
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bary Gunah)
July 31, 2014, 11:15:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Bary se bara gunah Allah ke sath shirk kerna ha, Maan Baap ko satana (unki na-farmani kerna) aur jhoti gawahi dena ha. [6919: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#576
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi shaks tery ghar mein (kisi sorakh ya jangly waghera se) tum se ijazat lye baghiar jhank rha ho aur tum usy kankri maro jis se uski aankh phoot jye to tum per koi saza nhi ha. [6888: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef]
#577
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Aagy Ummat)
July 29, 2014, 11:47:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Ham akhri ummat hein lakin (Qiyamt ke din) sab se aagy rehny waly hein. [6887: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#578
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Musalman Ka Khoon)
July 28, 2014, 09:56:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi musalman ka khoon jo Kalima La Ilaha Illala Ho Muhammad-ur-Rasool Allah ka manny wala ho halal nhi ha albata teen (3) soortun mein jaiz ha. Jaan ka badla jaan leny wala, shadi shuda ho ker zina kerny wala aur Islam se nikal jany wala (murtad) jamat ko chor deny wala. [6878: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#579
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Jab do (2) musalman talwar khainch ker aik (1) dosry se bhirr jayen to qatil aur maqtool dono dozakh mein jaty hein. Arz kiya Ya Rasool Allah! Aik (1) to qatil tha lakin maqtool ko saza kyun milygi? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo bhi apny qatil ke qatal per amada tha. [6875: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#580
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bary Gunah)
July 26, 2014, 10:37:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se bary gunah Allah ke sath shareek tehrana, kisi ki na-haq jaan lena, waldain ki na-farmani kerna aur jhoot bolna hein ya farmaya ke jhooti gwahi dena. [6871: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#581
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Na-Haq Qatal)
July 25, 2014, 07:53:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Jo jaan na-haq qatal ki jye uske (gunah ka) aik (1) hissa Hazrat Aadam ke pehly bety (qabeel per) perta ha. [6867: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#582
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se pehly (Qiyamat ke din) logun ke darmyan khoon kharaby ke faisla jaat kiye jyengy. [6864: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#583
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Maghfarat Ki Umeed)
July 23, 2014, 10:52:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Momin us waqat tak apny deen ke bary mein baraber kushada rehta ha (usy her waqat maghfarat ki umeed rehti ha) jab tak na-haq khoon na kery jahan na-haq kiya to maghfarat ka darwaza tang ho jata ha. [6862: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#584
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mohlik Gunah)
July 23, 2014, 05:42:33 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) mohlik gunahun se bacho. Sahaba ne arz kiya Ya Rasool Allah! Wo kya kya hein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke sath shirk kerna, jadu kerna, na-haq kisi ki jaan lena jo Allah ne haram kya ha, sood khana, yateem ka maal khana, jang ke din peeth phairna aur paak daman ghafil momin aoratun ko tohmat lagana. [6857: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#585
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin Nhi Rehta)
July 21, 2014, 08:59:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Zina kerny wala jab zina kerta ha to wo momin ni rehta, wo chor jab chori krta ha to wo momin nhi rehta, sharabi jab sharab peeta ha to wo momin nhi rehta, phir in sab aadmiun ke lye toba ka darwaza be-har haal khula hua ha. [6810: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal