News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 229
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 224
Total: 224
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#556
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hoz-e-Kosar)
August 23, 2014, 11:36:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein Hoz-e-Kosar per tum logun ka pesh-khema honga aur tum mein se kuch log Meri taraf ayengy jab Mein inhein (Hoz ka pani) deny ke lye jhukunga to inhein Mery samny se khench lya jyega. Mein kahunga Aye Mery Rab! Ye to Meri ummat ke log hein. Allah farmyega! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko maloom nhi ke inhun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke baad deen mein kya nai nai batein nikal li thein. [7049: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#557
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Saleh Khwab)
August 22, 2014, 09:54:48 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saleh khwab Allah ki taraf se hoty hein aur bury khwab shaitan ki taraf se pas jo shaks koi bura khwab daiky to apny bayen (left) taraf kerwat le ker teen (3) martaba thu thu kery aur shaitan se Allah ki panah mangy wo khwab-bad isko nuqsan nhi dega aur shaitan kabhi Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Shakal mein nhi aa skta. [6995: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah]
#558
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khwab Mein Daikhna)
August 21, 2014, 09:43:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko) khwab mein daikha to kisi din Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko) baidari mein bhi daikhyga. [6993: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#559
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Acha Khwab)
August 20, 2014, 09:46:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Acha khwab Allah ki taraf se hota ha aur bura khwab shaitan ki taraf se. Pas agr koi bura khwab daikhy to usy us (khwab) se Allah ki panha mangni chahye aur bayein (left) taraf thukna chahaye. Ye khwab usy koi nuqsan nhi pohancha skyga. [6986: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah]
#560
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khwab)
August 19, 2014, 11:06:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi aisa khwab daikhy jisy wo pasand kerta ho to wo Allah ki taraf se hota ha. Is per Allah ki Hamd kry aur usy bta dena chahye lakin agr koi iske siwa koi aisa khwab daikhta ha jo usy na-pasand ha to ye shaitan ki taraf se hota ha. Pas iske sherr se panha mangy aur kisi se aisy khwab ka zikar na kry. Ye khwab isy kuch nuqsan nhi pohancha skyga. [6985: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#561
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khwab)
August 18, 2014, 09:33:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Achy) khwab Allah ki taraf se hoty hein aur bury khwab shaitan ki taraf se hoty hein. [6984: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah]
#562
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Waba)
August 17, 2014, 11:35:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tumhein maloom ho ke kisi sar-zameen mein waba pheli hui ha to usmein dakhil mat ho, lakin agr kisi jaga waba phoot pary aur tum wahein majood ho to waba se bhagny ke lye tum wahan se niklo bhi mat. [6973: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Khitab]
#563
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein tumhara hi jaisa insan hun aur baaz-oqat jab tum bahimi jhagra laty ho to mumkin ha ke tum mein se baaz apny fareeq mukhalif ke muqabla mein apna muqadma pesh kerny mein zyada chalaki se bolny wala ho aur is tarhan Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) iske mutabiq faisla ker dun jo Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tum se sunta hun. Pas jis shaks ke lye bhi uske bhai ke haq mein se kisi cheez ka faisla ker dun to wo usy na le. Kyun ke is tarahn Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) usy jahanum ka aik (1) tukra deta hun. [6967: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Um-e-Salma]
#564
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her dhoka deny waly ke lye Qiyamat ke din aik (1) jhanda hoga jis ke zarya wo pehchana jyega. [6966: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#565
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum kuch khareeda karo to keh dya kro ke isme koi dhoka nhi hona chahye. [6964: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#566
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chitkubra Azdaha)
August 13, 2014, 10:40:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din tum mein se kisi ka khazana chitkubra azdaha ban ker ayega us ka malik us se bhagy ga lakin wo usy talash ker rha hoga aur kahyega ke mein tumhara khazana hun. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wa-Allah! Wo musalsal talash kerta rhyga yahan tak ke wo shaks apna hath phela dega aur azdaha usy luqma bnayga. [6957: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#567
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Niyyat)
August 12, 2014, 08:56:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! A'maal ka daro-madar niyyatun per ha aur her shaks ko whi milyga jiski wo niyyat kryga pas jiski Hijrat Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki taraf ho usy Hijrat (ka sawab milyga) aur jis ki Hijrat ka maqsad dunya hogi ke jisy wo hasil kerly ya koi aorat hogi jis se wo shadi ker ly to uski Hijrat usi ke lye hogi jis ke lye usne Hijrat ki ha. [6953: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Khitab]
#568
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bhai Ki Madad Kerna)
August 11, 2014, 10:46:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny bhai ki madad kro, khwah wo zalim ho ya mazloom. Aik (1) Sahabi ne arz kya! Ya Rasool Allah! Jab wo zalim ho to Mein uski madad krunga lakin Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka kya khyal ha ke jab wo zalim ho ga phir mein uski madad kesy karun? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke us waqat tum usy zulm se rokna kyunke yhi uski madad ha. [6952: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#569
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman musalman ka bhai ha. Na us per zulm kery aur na usy (kisi zalim ke) supurd kry. Aur jo shaks apny kisi bhai ke zarurat puri kerny mein lga hoga Allah uski zarurat aur hajat puri kryga. [6951: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#570
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aorat Se Ijazat Lena)
August 09, 2014, 10:30:05 PM
Hazrat Ayesha ne byan kiya ke mein ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Kiya aoratun se unke nikah ke silsila mein ijazat li jyegi? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan. Mein ne arz kya lakin kanwari larki se agr ijazat li jyegi to wo sharam ki waja se chup saadh legi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke uski khamoshi hi ijazat ha. [6946: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal