News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 229
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 128
Total: 128
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#541
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Her Shaks Nagehban Ha)
September 11, 2014, 09:41:38 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agah ho jao, tum mein se her aik (1) nagehban ha aur her aik (1) se uski riaya ke bary mein sawal kiya jyega. Pas Imam (Ameer-ul-Momeneen) logun per nagehban ha aur us se uski riaya ke bary mein sawal hoga. Mard apny ghar walun ka nagehban ha aur us se uski riaya ke bary mein sawal hoga aur aorat apny shohar ke ghar walun aur uske bachun ki nagehban ha aur us se unke bary mein sawal hoga aur kisi shaks ka ghulam apny sardar ke maal ka nagehban ha aur us se us ke bary sawal hoga. Agah ho jao ke tum mein se her aik (1) nagehban ha aur her aik (1) se uski riaya ke bary mein pursish hogi. [7138: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#542
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ata'at Ki)
September 10, 2014, 09:28:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisne Meri ata'at ki usne Allah ki ata'at ki aur jisne Meri na-farmani ki usne Allah ki na-farmani ki aur jisne Mery (muqarar kiye huy) Ameer ki ata'at ki usne Meri ata'at ki aur jisne Mery Ameer ki na-farmani ki usne Meri na-farmani ki. [7137: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#543
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dajjal)
September 09, 2014, 09:32:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dajjal ayega aur Madinah ke aik (1) kinary qiyam kryga. Phr Madinah teen (3) martaba kanpy ga aur iske natijah mein her kafir aur munafiq nikal ker uski taraf chala jyega. [7124: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#544
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dajjal)
September 08, 2014, 11:19:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dajjal dahni (right) aankh (eye) se kana hoga uski aankh kya ha goya phula hua angoor. [7123: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#545
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sony Ka Khazana)
September 07, 2014, 10:33:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Anqareeb darya-e-farat se sony ka aik (1) khazana niklyga pas jo koi wahan mojood ho wo usme se kuch na le. [7119: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#546
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Qaim Na Hogi)
September 06, 2014, 09:53:48 PM
119.   Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat qaim na hogi yahan tak ke aik (1) shaks dosry ki qabar ke pas se guzry ga aur kahy ka kaash! Mein bhi isi ki jagah hota. [7115: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
[Zamana ke halat itny kharab ho jyengy ke log zindagi se tang aa ker moa't ki arzu krngy. Arzu krngy ke kaash ham bhi mar ker qabar mein gir gye hoty ke ye aftein aur balaein na daikhty]
#547
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qoam Per Azab)
September 05, 2014, 09:53:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Allah kisi qoam per azab nazil kerta ha to azab un sab logun per ata ha jo us qoam mein hoty hein phir unhein unke a'maal ke mutabiq uthaya jyega. [7108: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#548
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kufar Ki Taraf Lotna)
September 05, 2014, 12:01:44 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery baad kufar ki taraf na lot jana ke aik (1) dosry ki gardany marny lago. [7077: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#549
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Fasaq Aur Gali)
August 30, 2014, 09:27:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman ko gali dena fasaq ha aur usko qatal kerna kufar ha. [7076: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#550
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks apny kisi deeni bhai ki taraf hathyar se ishara na kry, kyunke wo nhi janta mumkin ha shaitan usy uske hath se churwa de aur phir wo kisi musalman ko maar ker iski waja se jahanum ke garhy mein gir pary. [7072: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#551
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ham Se Nhi Ha)
August 28, 2014, 09:37:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisne ham musalmanun per hathyaar uthaya wo Ham se nhi ha. [7070: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#552
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sabar Karo)
August 27, 2014, 09:03:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sabar karo kyunke tum per jo dor bhi ata ha to uske baad any wala dor us se bhi bura hoga yahan tak ke tum apny Rab (Allah) se ja milo. [7068: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#553
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad-Bakht Tareen Log)
August 26, 2014, 10:50:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo bad-bakht tareen logun mein se hongy jinki zindagi mein Qiyamat ayegi. [7067: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Masood]
#554
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Se Pehly)
August 25, 2014, 10:03:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat se pehly aisy din ayengy jin mein ilm utha lya jyega aur jahalat utar parygi aur harj (qatal) ki kasrat ho jyegi aur harj qatal ha. [7064: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#555
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zamana qareeb hota jyega aur amal kam hota jyega aur lalach dilun mein daal dya jyega aur fitny zahir hony lgngy aur harj ki kasrat ho jyegi. Logun ne sawal kya, Ya Rasool Allah! Ye harj kya cheez ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke qatal! qatal!. [7061: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal