News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 21
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 10
Total: 10
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#466
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aakhrat Mein Aagy Hongy)
December 01, 2014, 08:35:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Go dunya mein Ham sab se akhri Ummat hein lakin aakhrat mein sab se aagy hongy. [7495: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#467
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah her raat asman dunya per Ata Ha, us waqat jab raat ka akhri tihai hissa baqi reh jata ha aur (Allah) Kehta Ha ke Mujhy kon bulata ha ke Mein isy jawab dun, Mujh se kon mangta ha ke Mein isy ata karun, Mujhse kon maghfarat talab kerta ha ke Mein iski maghfarat karun? [7494: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#468
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha! Roza khalis Mery (Allay) ke lye hota ha aur Mein hi iska badla deta hun. Banda apni shehwat, khana, peena Meri Raza ke lye chorta ha aur Roza gunahun se bachny ki dhaal ha aur Roza-dar ke lye do (2) khushyan hein. Aik (1) khushi usi waqat jab wo Iftar kerta ha aur aik (1) khushi us waqat jab wo apny Rab se milta ha aur Roza-dar ke mun ki bu Allah ke nazdeek mushk anbar ki khushbu se zyda pakiza ha. [7492: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#469
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zamana Ko Bura Kehna)
November 28, 2014, 11:36:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha! Ibn-e-Adam Mujhy takleef pohanchata ha, zamana ko bura bhala kehta ha, halanke Mein (Allah) hi zamana ka paida kerny wala hun. Mery hi Hath mein tamam kaam hein, Mein Jis tarhan chahta hun raat aur din ko phairta rehta hun. [7491: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#470
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum apny bistar per jao to ye Dua kro. "Aye Allah! Mein ne apni jaan Tery sapurd ker di aur apna rukh Teri taraf mor diya aur apna mamla Tery sapurd ker diya aur Teri panha li, Teri taraf raghbat ki waja se aur Tujh se dar ker. Tery siwa koi panha aur nijat ki jagha nhi, mein Teri kitab per Imaan laya jo Tu ne nazil ki aur Tery Nabi per Iman laya jo Tu ne bhejy". Pas agr tum aaj raat mar gye to fitrat per maro gy aur subha ko zinda uthy to sawab milyga. [7488: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bra bin Aazib]
#471
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Mein Jyega)
November 26, 2014, 10:28:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery pas Hazrat Jibrail aye aur Mujhy ye basharat di ke jo shaks is haal mein mryga ke wo Allah ke sath kisi ko shareek nhi tehrata hoga to wo Jannat mein jyega. Mein ne poocha go usne chori aur zina bhi ki ho? Farmaya ke go usne chori aur zina ki ho. [7487: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Zar]
#472
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhary pas raat aur din ke Farishty yaky-bad-degry aaty hein aur Asar aur Fajar ki Nimazun mein dono waqat ke Farishty ikhaty hoty hein. Phir jab wo Farishty upper jaty hein jinhun ne raat tumhary sath guzari ha to Allah unse poochta ha halanke Wo bandun ke ehwal ka sab se zyada janny wala ha ke tum ne Mery bandun ko kis haal mein chora? Wo jawab dety hein ke ham ne inhein is haal mein chora ke wo Nimaz parh rhy thy aur jab ham inke pas gye jab bhi wo Nimaz parh rhy thy. [7486: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#473
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Allah kisi banda se Mohabbat kerta ha to Hazrat Jibrail ko awaz deta ha ke Allah falan se Mohabbat kerta ha tum bhi is se Mohabbat kro. Chunachy Hazrat Jibrail bhi is se Mohabbat kerty hein, phir wo asman mein awaz dety hein ke Allah falan se Mohabbat kerta ha tum bhi is se Mohabbat kro, chunachy Ahle-Asman bhi is se mohabbat kerny lagty hien aur is tarhan ruy-e-zameen mein bhi isy maqboliyat hasil ho jati ha. [7485: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#474
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah kisi baat ko itna motawajoh ho ker nhi sunta jitna Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka Qur'an parhna motawajoh ho ker sunta ha Jo khush-awazi se isko parhta ha. [7482: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#475
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks is tarhan Dua na kry ke Aye Allah! Agr Tu chahy to meri Maghfarat ker agr Tu chahy to mujh per Reham ker, agr Tu chahy to mujhy Rozi de, balke pukhtagi ke sath sawal kerna chahye kyunke Allah jo chahta ha kerta ha koi Is (Allah) per jabar kerny wala nhi. [7477: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#476
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Apni Ummat Ki Shifa'at)
November 21, 2014, 10:23:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her Nabi ki aik (1) Dua qabool hoti ha to Mein chahta hun agr Allah ne chaha ke Apni Dua Qiyamat ke din Apni Ummat ki Shifa'at ke lye mehfooz rakhun. [7474: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#477
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dajjal)
November 20, 2014, 08:40:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dajjal Madinah tak ayega lakin daikhy ga ke Farishty Iski hifazat ker rhy hein, pas na to Dajjal is se qareeb ho skyga aur na Ta'un, agr Allah ne chaha. [7473: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#478
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua Kro To Azam Ke Sath)
November 19, 2014, 10:03:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum Dua kro to azam ke sath kro aur koi Dua mein ye na khy ke agr Tu (Allah) chahy to falan cheez ata ker, kyunke Allah se koi zabardasti kerny wala ni. [7464: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#479
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Allah ke rasty mein Jihad kya aur apny ghar se sirf is gharz se nikla ke khalis Allah ke rasty mein Jihad kry aur Is (Allah) ke Kalima-e-Toheed ki tasdeeq kry to Allah iski zamanat le leta ha ke isy Jannat mein dakhil kryga ya phir sawab aur ghaneemat ke sath iske ghar wapis kryga. [7463: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#480
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ummat Ka aik (1) Garoh)
November 17, 2014, 10:20:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri Ummat mein se aik (1) garoh hamesha Qur'an-o-Hadith per qaim rhyga, usy jhutlany waly aur mukhalfeen koi nuqsan nhi pohancha skngy, yahan tak ke "Amar Allah" (Qiymat) aa jyegi aur wo isi haal mein hongy. [7460: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Muawiyah]
Powered by EzPortal