Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein dakhil hony waly sab se pehly garoh ke chehry aisy roshan hongy jaisy chudwein ka chand roshan hota ha. Na us mein thukein gy, na unki naak se koi aalaish ayegi aur na peshab, pekhana krngy. Un ke bartan sony ke hongy. Khanghy sony chandi ke hongy. Ingethyun ka endhan oud ka hoga. Pasina mushk jaisa khusbudar hoga aur her shaks ki do (2) bivian hongi. Jin ka husan aisa hoga ke pindliun ka guda gosht ke upper se dikhai dega. Na jannatiun mein apas mein koi ikhtilaf hoga aur na bughz-o-anad. Unke dil aik hongy aur wo subha-o-shaam Allah Paak ki tasbeeh-o-tehlil mein mashgul rha krngy. [3245: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]