News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 18
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 8
Total: 8
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#376
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Masjid Mein thookna gunah ha aur iska kuffara isy (zameen mein) chupa dena ha. [415: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#377
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Na Thuka Kro)
March 13, 2015, 09:00:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum apny samny ya apni dayein (right) taraf na thuka kro, albata bayein (left) taraf ya bayein (left) qadam ke neechy thuk sakty ho. [412: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#378
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Mein Thookna)
March 12, 2015, 10:51:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks Nimaz mein ho to apny mun ke samny na thooky kyunke Nimaz mein mun ke samny Allah Azwajal Hota Ha. [406: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#379
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sajda Sehav)
March 11, 2015, 10:14:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne (bholy se) Zuhar ki Nimaz (aik (1) martaba) paanch (5) raka't parhi. Abdullah bin Masood ne farmaya ke phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apny Paun Mubarak morr lye aur (Sehav ke) do (2) Sajdy kiye. [404: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#380
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Maan Ke Pait Mein)
March 10, 2015, 10:28:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Reham-Madar mein Allah ne aik (1) Farishta muqarar kya ha, Wo kehta ha Aye Rab! Ab ye nutfa ha, Aye Rab! Ab ye alq'a ho gya ha, Aye Rab! Ab ye mazgh'a hogya ha, phir jab Khuda chahta ha ke iski khalqat puri kry to (Farishta) kehta ha ke mozakkar (male) ya moanas (female), bad-bakht ha ya naik-bakht, rozi kitni muqaddar ha aur umar kitni, pas Maan ke pait hi mein ye tamam batein Farishta likh deta ha. [318: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#381
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghusal)
March 09, 2015, 10:11:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab ghusal farmaty to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pehly Apny dono (2) Hath Mubarak dohty phir isi tarhan Wazu kerty jaisa Nimaz ke lye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Wazu kiya kerty thy, phir pani mein Apni Unglian Mubarak dakhil farmaty aur Unse balun ki jarrun (darrhi) ka khalal kerty, phir Apny Hathun se teen (3) chullu Sir Mubarak per dalty phir tamam Badan Mubarak per pani baha lety. [248: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#382
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum apny bistar per laitny aao to is tarhan wazu kro jis tarhan Nimaz ke lye kerty ho. Phir dahni karwat per lait ker yun kaho "Aye Allah! Mein ne apna chehra Teri taraf jhuka diya, apna muamla Tery hi sapurd ker dya, Mein ne Tery sawab ki tawaqo aur Tery azab ke dar se Tujhy hi pusht panah bana lya. Tery siwa kahein panah aur nijat ki jagah nhi. Aye Allah! Jo Kitab Tune nazil ki Mein us per imaan laya, jo Nabi Tune bheja Mein us per imaan laya." to agr is halat mein isi raat mar gya to fitrat per mary ga aur is Dua ko sab batun ke akheer mein parh. [247: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bra' bin Aazib]
#383
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Miswak)
March 07, 2015, 08:57:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab raat ko uthty to Apny Mun Mubarak ko maswak se saaf kerty. [245: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Huzaifa]
#384
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nasha Lany Wali)
March 06, 2015, 08:07:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Peeny ki her wo cheez jo nasha lany wali ho, haram ha. [242: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#385
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her zakham jo Allah ki rah mein musalman ko lgy wo Qiyamat ke din isi halat mein hoga jis tarhan wo laga tha. Is mein khoon behta hoga, jis ka rang (to) khoon ka sa hoga aur khusbu mushk ki si hogi. [237: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#386
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) dafa Madinah ya Makkah ke aik (1) baagh mein tashreef le gye. (wahan) Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne do (2) shaksun ki awaz suni jinhein unki qabrun mein azab kiya ja rha tha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke in per azab ho rha ha aur kisi bohat bary gunah ki wajah se nhi phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya baat ye ha ke aik (1) shaks in mein se peeshab ke cheentun se bachny ka ehtamam nhi kerta tha aur dosra shaks chughal khori kiya kerta tha. Phir Aap Sallalah Ho Alaihe ne (khajoor ki) aik (1) dali mangwai aur usko tor ker do (2) tukry kiya aur in mein se (aik (1) aik (1) tukra) her aik (1) qabar per rakh diya. Logun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke Ya Rasool Allah! Ye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kyun kiya! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Is lye ke jab tak ye dalian khusk hon shaid us waqat tak in per azab kam ho jye. [216: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#387
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum Nimaz mein onghny lago to so jana chahye, phir us waqat Nimaz parhy jab jaan le ke wo kya parh rha ha. [213: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#388
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks ne aik (1) kutty ko daikha, jo pyas ki wajah se geeli matti kha rha tha, to us shaks ne apna moza liya aur us se pani bhar ker pilany lga, hatta ke usko khoob sairab ker dya. Allah ne us shaks ke is kaam ki qadar ki aur usy Jannat mein dakhil ker dya. [173: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#389
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Joota pehanny, kanghi kerny, wazu kerny aur apny her kaam mein dahni taraf se kaam ki ibtida kerny ko pasand farmaya kerty thy. [168: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#390
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghusal Dahni Taraf Se Do)
February 26, 2015, 10:14:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghusal dahni taraf se do aur aa'z-e-wazu se ghusal ki ibtida kro. [167: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ume Atiya]
[Mayyat ko ghusal dahni taraf se do]
Powered by EzPortal