News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 258
Most Online Ever: 258
(Today at 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 11
Total: 11
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#361
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne aik (1) rakat Nimaz (ba-jamat) paa li usne Nimaz (ba-jamat ka sawab) paa liya. [580: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#362
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Isha (Nimaz) se pehly sony aur Uske bad baat cheet kerny ko na-pasand farmaty thy. [568: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Barzah Aslama]
#363
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab garmi taiz ho jye to Nimaz ko thandy waqat mein parho, kyun ke garmi ki taizi Jahanum ki aag ki bhaap se hoti ha. [533, 534: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#364
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Mein Thookna)
March 26, 2015, 10:23:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum me se koi Nimaz mein hota ha to wo apny Rab se sargoshi kerta rehta ha is lye apni dahni (right) janib na thookna chahye lakin bayein (left) paun ke neechy thook sakta ha. [531: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#365
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz)
March 25, 2015, 10:10:14 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr kisi shaks ke darwazy per nehar jari ho, aur wo rozana is mein paanch (5) dafa nahaye to tumhara kya guman ha, kiya iske badan per kuch bhi mail baqi reh skta ha? Sahaba ne arz ki ke nahi Ya Rasool Allah! Har-giz nhi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke yahi haal paanchun (5) waqat ki Nimazun ka ha, Allah Paak Inke zarya se gunahun ko mita Deta ha. [528: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#366
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mehboob Amal)
March 24, 2015, 10:05:24 PM
Hazrat Abdullah bin Masood ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se sawal kya ke Allah ki Bar-Gah mein konsa amal zyada mehboob ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke apny waqat per Nimaz parhna, phir poocha, iske baad, farmaya Waaldain ke sath naik mamla rakhna. Poocha iske baad, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ki Rah mein Jihad kerna. [527: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Shaibani]
#367
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr Nimazi ke samny se guzarny wala janta ha ke iska kitna bara gunah ha to uske samny se guzarny per chalees (40) tak wahein khary rehny ko tarjeeh deta. Abu Al-Nasar ne kaha ke mujhy yaad nhi ke Basar bin Saeed ne chalees (40) din kaha ya maheena ya saal. [510: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Jaheem]
#368
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) momin dosry momin ke lye amarat ki tarhan ha ke iska aik (1) hissa dosry hissa ko quwat pohanchata ha aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik (1) Hath Mubarak ki ungliun ko dosry Hath Mubarak ki ungliun mien dakhil kya. [481: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#369
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sharab Ki Tijarat)
March 21, 2015, 10:23:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sharab ki tijarat haram ha. [459: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#370
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tak tum apny musally per jahan tum ne Nimaz parhi thi, bhety raho aur riyah kharij na kro to Malaika tum per baraber Darood bhejty rehty hein. Kehty hein "Aye Allah! Iski maghfarat kijye, Aye Allah! Is per reham kijye". [445: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#371
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum me se koi shaks Masjid mein dakhil ho to bhetny se pehly do (2) raka't Nimaz parh le. [444: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah Salma]
#372
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mujhy paanch (5) aisi cheezain ata ki gai hein jo Mujh se pehly Anbiya ko nhi di gaein thein. (1) Aik (1) maheeny ki rah se Mera ro'ab daal ker Meri madad ki gai. (2) Mery liye tamam zameen mein Nimaz parhny aur paki hasil kerny ki ijazat ha, is lye Meri Ummat ke jis aadmi ki Nimaz ka waqat (jahan bhi) aa jye usy (wahein) Nimaz parh leni chahye. (3) Mery liye maal-e-ghaneemat halal kiya gy. (4) Pehly Anbiya khas apni qoamun ko hadayat ke lye bhejy jaty thy, lakin Mujhy dunya ke tamam insanun ki hadayat ke lye bheja gya ha. (5) Mujhy Shafa't ata ki gai ha. [438: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#373
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Yahudiun per khuda ki la'nat ho, unhun ne apny Anbiya ki qabrun ko Masajid bana liya. [437: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#374
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Azab Walun Ke Asaar)
March 16, 2015, 09:32:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Un azab walun ke asaar (jaghun) se agr tumhara guzar ho to roty huy guzro, agr tum is moqa per ro na sako to unse guzro hi nhi, aisa na ho ke tum per bhi in ka sa azab aa jye. [433: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#375
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Apny tamam kamun mein jahan tak mumkin hota dayein (right) taraf se shorow kerny ko pasand farmaty thy. Taharat ke waqat bhi, kangha kerny aur joota pehnny mein bhi. [426: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal