News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 37
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 15
Total: 15
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#331
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logun ka kya haal ha jo Nimaz mein apni nazrain asman ki taraf uthaty hein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se nihayat sakhti se roka. Yahan tak Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke log is harkat se baaz aa jyen warna unki benaai uchak li jyegi. [750: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#332
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safain baraber ker lo, Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein Apny peachy se bhi daikhta rehta hun aur ham mein se her shaks ye kerta ke (Saf mein) apna mondha apny sathi ke mondhy se aur apna qadam uske qadam se mila deta tha. [725: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#333
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safain baraber rakho kyun ke safun ka baraber rakhna Nimaz ke qaim kerny mein dakhil ha. [723: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#334
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shaheed Hein)
April 28, 2015, 09:56:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Doobny waly, pait ki bemari mein marny waly, ta'un mein marny waly aur dab ker marny waly Shaheed hein. [720: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#335
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safain seedhi ker lo, Mein Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam tumhein apni peeth ke peachy se daikh rha hun. [718: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#336
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nimaz mein apni safun ko braber ker lo, nhi to Khuda-wand tala tumhary mun ulat dega. [717: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Nouman bin Basheer]
#337
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se aik (1) shaks ne kaha ke Ya Rasool Allah! Mein Fajar ki Nimaz mein ta-kheer ker ke is lye shareek hota hu ke falan sahib Fajar ki Nimaz bohat taweel ker dety hein. Is per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is qadar ghusa huy ke mein ne naseehat ke waqat us din se zyada ghazabnak Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko kbhi nhi daikha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logo tum mein baaz log (Nimaz se logun ko) door kerny ka bais hein pas jo shaks imam ho usy halki Nimaz parhni chahye is lye ke uske peachy kamzor, burhy aur zarurat waly sab hi hoty hein. [704: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood Ansari]
#338
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi tum mein se logun ko Nimaz parhye to takhfeef kry, kyunke jamat mein zaeef bemaar aur burhy (sab hi) hoty hein, lakin akela parhy to jis qadar jee chahy tool de sakta ha. [703: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#339
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se kuch log ye chahty hein ke (awam ko ibadat se ya deen se) nafrat dila dein, khabar-dar tum mein logun ko jo shaks bhi Nimaz parhaye to halki parhaye, kyun ke Nimaziun mein kamzor burhy aur zarurat waly sab hi qisam ke log hoty hein. [702: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#340
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imam)
April 22, 2015, 09:47:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Imam logun ko Nimaz parhaty hein, pas agr Imam ne theek Nimaz parhai to uska sawab tumhein milyga aur agr ghalti ki to bhi (tumhari Nimaz ka) sawab tum ko milyga aur ghalti ka wabal un per rhyga. [694: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#341
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Apny Hakim Ki Suno)
April 21, 2015, 10:39:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Apny hakim ki) suno aur ata'at kro, khawah aik (1) aisa habshi (Ghulam tum per) kyun na hakim bana dya jye, jis ka sar sookhy huy angoor ke baraber ho. [693: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#342
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr tum mein se koi khana kha rha ho to jaldi na kry balke puri tarhan kha le go Nimaz khari kyun na ho gai ho. [674: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#343
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se kisi ka sham ka khana tyar ho chukka ho aur Takbeer bhi kahi ja chuki to pehly khana kha lo aur Nimaz ke lye jaldi na kro, khany se faraghat ker lo. [673: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#344
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab sham ka khana hazir kiya jye to Maghrib ki Nimaz se pehly khana kha lo aur khany mein be-mazah bhi na hona chahye aur apna khana chorr ker Nimaz mein jaldi mat kro. [672: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#345
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr sham ka khana samny rakha jye aur udhar Nimaz ke lye Takbeer bhi hony lgy to pehly khana kha lo. [671: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal