News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 37
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 23
Total: 23
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#316
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jumma ke din aik (1) aisi ghari ati ha jis mein agr koi musalman bandah khara Nimaz parh rha ho aur koi cheez Allah se mangy to Allah usy wo cheez zarur deta ha. Hath Mubarak ke ishary se Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne batlaya ke wo sa'at bohat thori si ha. [935: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#317
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Imam Jumma ka khutba de rha ho aur tu apny pas bethy huy admi se khy ke "chup reh" to tu ne khud aik (1) laghw harkat ki. [934: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#318
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya ha ke koi shaks apny musalman bhai ko utha ker uski jagah khud baith jye (Jumma aur ghair-jumma sab ke lye yhi hukam ha). [911: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#319
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jumma Ke Din)
May 13, 2015, 10:17:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Jumma ke din ghusal kiya aur khoob paki hasil ki aur tail (oil) ya khusbu istimal ki, phir Jumma ke lye chala aur do (2) admiun ke beech mein na ghusa aur jitni uski qismat mein thi, Nimaz parhi, phir jab Imam bahir aya aur khutba shorow kiya to khamosh ho gya, uske is Jumma mein se dosry Jumma tak ke tamam gunah bakhsh diye jayengy. [910: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salman Farsi]
#320
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Nimaz ke lye Takbeer kahi jye to dorty huy mat aao balk e (apni mamoli rafter se) aao pury itminan ke sath phir Nimaz ka jo hissa (imam ke sath) paa lo usy parh lo aur jo reh jye to usy baad mein pura kro. [908: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#321
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jiske qadam Allah ki Rah mein ghubar-alood ho gye Allah usy dozakh per Haram ker dega. [907: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Abs]
#322
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Miswak)
May 10, 2015, 10:45:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr Mujhy Apni Ummat ya logun ki takleef ka khyal na hota to Mein her Nimaz ke lye inko Miswak ka hukam de deta. [887: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#323
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se jab koi shaks Jumma ki Nimaz ke lye ana chahy to usy ghusal ker lena chahye. [879: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#324
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jumma ke din her baligh ke lye ghusal zaruri ha. [858: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#325
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sajdah mein aitadaal ko malhooz rakho aur apny bazu kuttun ki tarhan na phelaya kro. [822: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#326
Hazrat Huzaifa bin Yamaan ne aik (1) shaks ko daikha ke na Raku puri tarhan kerta ha na Sajda, is lye Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se kaha ke tum ne Nimaz hi nhi parhi aur agr tum mar gye to tumhari moat is sunnat per nhi hogi jis per Allah ne Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko paida kya tha. [791: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Zaid bin Wehab]
#327
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi tum mein se Ameen khy aur Farishtoun ne bhi usi Waqat Asman per Ameen khi, is tarhan aik (1) ki Ameen dosry ki Ameen ke sath mil gai to uske pichly tamam gunah maaf ho jty hein. [781: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#328
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Imam Ameen khy to tum bhi Ameen kaho, kyunke jiski Ameen Malaika ki Ameen ke sath hogi uske tamam gunah maaf ker dye jyengy. [780: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#329
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Na Hui)
May 03, 2015, 09:27:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne Surah Fatiha na parhi uski Nimaz nhi hui. [756: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibadah bin Samat]
#330
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se Nimaz mein idhar udhar daikhny ke bary mein poocha gya, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke ye to daaka ha jo shaitan bandy ki Nimaz per dalta ha. [751: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal