News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 44
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 42
Total: 42
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#301
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Jumma ka khutba dety huy farmaya! Jo shaks bhi (Masjid mein) aye aur Imam khutba de rha ho ya khutba ke lye nikal chukka ho to wo do (2) raka't Nimaz (Tahayyat-al-Masjid ki) parh le. [1166: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari]
#302
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi tum mein se Masjid mein aye to na bhethy jab tak do (2) rakat (Tahayyat-al-Masjid ki) na parh le. [1163: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah]
#303
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhein sirf utna hi amal kerna chahye jitny ki tum mein taqat ho, kyun ke Allah to (swab deny se) Thakta hi nhi tum hi amal kerty kerty thak jaogy. [1151: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#304
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hamara Parwardigaar (Allah) Buland Barkat Wala her raat ko us waqat asman-dunya per Aata ha jab raat ka akhri tihaai hissa reh jata ha. Wo (Allah) kehta ha koi Mujh (Allah) se Dua kerny wala ha ke Mein (Allah) uski Dua qabool karun, koi Mujh (Allah) se mangny wala ha ke Mein (Allah) usy dun, koi Mujh (Allah) se bakhshish talab kerny wala ha ke mein isko bakhsh dun. [1145: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#305
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke samny aik (1) shaks ka zikar aya ke wo subha tak para sota rha aur Farz Nimaz ke lye bhi ni utha, is per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke shatan ne iske kaan mein peeshab ker dya ha. [1144: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#306
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne khwab byan kerty huy farmaya ke jis ka sir pathar se kuchla ja rha tha wo Qur'an ka Hafiz tha magr wo Qur'an se ghafil ho gya tha aur Farz Nimaz parhy baghair so jaya kerta tha. [1143: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Samrah bin Jandab]
#307
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Shetan admi ke sar ke peachy raat mein soty waqat teen (3) girhein lga deta ha aur her girah per ye afsooun phoonk deta ha ke so ja abhi raat bohat baqi ha phir agr koi baidar ho ker Allah ki yaad kerny lga to aik (1) girah khul jati ha phir jab wazu kerta ha to dosri (2) girah khul jati ha, phir agr Nimaz (farz ya nafal) parhy to teesri (3) girah bhi khul jati ha, is tarhan subha ke waqat admi chaaq-o-chuband khush mizaaj rehta ha, warna sust aur bad-baatin rehta ha. [1142: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#308
Mein ne (Masrooq) Hazrat Ayesha se poocha ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko konsa amal zyada pasand tha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne jawab diya ke jis per hameshgi ki jye (khwah wo koi bhi naik kaam ho). [1132: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Masrooq]
#309
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) raat jagy to farmaya "Subhan Allah"! Aaj raat kya kya balayein utri hein aur sath hi (Rehmat aur Inayat ke) kesy khazany nazil huy hein. In hujry waliun (Azwaj Motaharat) ko koi jagany wala ha, afsoos! Ke dunya mein bohat si kapry pehanny wali auratein akhrat mein nangi hongi. [1126: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umme Salma]
#310
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Khary ho ker Nimaz parhna Afzal ha lakin agr koi beth ker Nimaz parhy to khary ho ker parhny waly se usy adha swab mily ga aur lait ker parhny waly ko beth ker parhny waly se adha swab milyga. [1114: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hisseen]
#311
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko agr safar mein jaldi chalna manzor hota to Maghrib aur Isha aik (1) sath mila ker parhty. [1106: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam safar mein Zuhar aur Asar ki Nimaz aik (1) sath mila ker parhty, isi tarhan Maghrib aur Isha ki bhi aik (1) sath mila ker parhty thy. [1107: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam agr Suraj dhalny se pehly safar shorow kerty to Zuhar ki Nimaz Asar tak na parhty phir Zuhar aur Asar aik (1) sath parhty aur agr Suraj dhal chukka hota to pehly Zuhar parh lety phir sawar hoty. [1111: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#312
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Suraj aur Chand mein garehan kisi shaks ki moat se nhi lgta, ye dono to Allah ki Qudrat ki Nishaniyan hein. Is lye isy daikhty hi khary ho jao aur Nimaz parho. [1041: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood Ansari]
#313
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghaib ki panch (5) kunjian hein jinhein Allah ke siwa aur koi nhi janta, kisi ko nhi maloom ke kal kya hony wala ha, koi nhi janta ke Maan ke pait mein kya ha (larka ya larki), kal kya kerna hoga is ka kisi koi lm nhi. Na koi ye janta ha ke isy moat kis jagah ayegi aur na kisi ko ye maloom ke barish kab hogi. [1039: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#314
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak na aye gi jab tak Ilm-deen na uth jyega aur zalzalun ki kasrat na ho jyegi aur zamana jaldi jaldi na guzry ga aur fitny fasaad phoot parein gy aur "harj" ki kasrat ho jyegi aur harj se murad qatal ha. Qatal aur tumhary darmyan dolat-o-maal ki itni kasrat hogi ke wo ubal pryga. [1036: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#315
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Eid ke din aik (1) rasty se jaty phir dosra rasta badal ker aty. [986: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir]
Powered by EzPortal