News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 44
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 44
Total: 44
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#286
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jinazah le kar jald chala karo kyun ke agr wo naik ha to tum us ko bhalai ki taraf nazdeek kar rhy ho aur agr is ke siwa ha to aik sher ha jisy tum apni gardanoun se utarty ho. [1315: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#287
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab mayyat char-pai per rakhi jati ha aur mard isy kaandhun per uthaty hein to agr wo naik ho to kehta ha ke mujhy agy le chalo, lakin agr naik nhi hota to kehta ha hye barbadi! Mujhy kahan le ja rhy ho, is awaz ko insan ke siwa tamam Makhlooq-e-Khuda sunti ha, agr insan kahein sun pay to be-hosh ho jye. [1314: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#288
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum jinazah daikho to khary ho jao aur khary raho yahan tak ke jinazah tum se agy nikal jye. [1307: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Aamir bin Rabiya]
#289
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sabar To Whi Ha)
June 12, 2015, 10:40:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sabar to whi ha jo sadma ke shorow mein kiya jye. [1302: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#290
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo aoratein (kisi ki moat per) apny chehrun ko peet'ti aur gireban chaak ker leti hein aur jahiliyyat ki batein baktein hein wo ham mein se nhi hein. [1294: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#291
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery motaliq koi jhooti baat kehna aam logun se motaliq jhoot bolny ki tarhan nhi ha jo shaks bhi jaan boojh ker Mery upper jhoot boly wo apna thikana jahanum mein bana le aur farmaya ke kisi mayyat per agr noha-o-matam kiya jye to us noha ki wajah se bhi is (mayyat) per azab hota ha. [1291: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mogheerah bin Sho'ba]
#292
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mayyat per ghar walun ke rony se azab hota ha. [1286: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#293
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi bhi aorat jo Allah aur Yom-e-Akhrat per Imaan rakhti ho uske lye shohar ke siwa kisi murdy per bhi teen (3) din se zyada sog manana jaiz nhi ha, haan shohar per chaar (4) maheeny das (10) din tak sog manay. [1281: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umme Habibah]
#294
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi musalman ke agr teen (3) bachy mar jyen jo balooghat ko na pohanchy hun to Allah us Rehmat ke nateejy mein jo un bachun se wo rakhta ha musalman (bachy ke baap aur maan) ko bhi Jannat mein dakhil kryga. [1248: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#295
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman ke musalman per paanch (5) Haq hein. Salam ka jawab dena, mareez ka mizaj maloom kerna, jinazy ke sath chalna, da'wat qabool kerna aur cheenk per (uske Al Hamdolillah ke jawab mein) "Yar Hamakullah" kehna. [1240: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#296
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne saat (7) kamun ka hukam dya aur saat (7) kamun se roka. Hamein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hukam dya tha Jinazy ke sath chalny, mareez ki mizaj pursi, da'wat qabool kerny, mazloom ki madad kerny ka, qasam puri kerny ka, salam ka jawab deny ka, cheenk per "Yar Hamakullah" kehny ka aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein mana kya tha chandi ka bartan (istimal mein lany) se, sony ki anghoti pehanny se, resham aur debaaj (ke kaprun ke pehanny) se, qassi se, istabraq se. [1239: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bra'a bin Aazib] [Debaaj, qassi aur istabraq reshmi kaprun ki qismein hein]
#297
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks is halat mein mary ke kisi ko Allah ka shareek therata tha to wo Jahanum mein jyega aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ye Kehta Hun ke jo is haal mein mara ke Allah ka koi shareek na therata ho wo Jannat mein jyega. [1238: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#298
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Ke Khwab mein) Mery pas Mery Rab (Allah) ka aik (1) any wala (Farishta) aya. Usne Mujhy khabar di, ya Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Us ne Mujhy khush-khabri di ke Meri Ummat mein se jo koi is haal mein mary ke Allah ke sath usne shareek na theraya ho to wo Jannat mein jye ga. Is per Mein (Hazrat Abu Zar Ghaffari) ne poocha agar-che usne zina kya ho, agar-che usne chori ki ho? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan! Agar-che zina kya ho agar-che chori ki ho. [1237: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Zar Ghaffari]
#299
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny gharun mein bhi Nimazein parha kro aur unhein bilkul qabrain na bna lo (ke jahan Nimaz hi na parhi jati ho). [1187: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umar]
#300
Hazrat Abu Hurairah ne farmaya! Mujhy mery Jani Dost (Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ne teen (3) cheezun ki wasiyat ki ha ke moa't se pehly inko na chorun. Her mahina mein teen (3) din rozy, chaasht ki Nimaz aur witar parh ker sona. [1178: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal