News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 22
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 16
Total: 16
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#271
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Halal kamai se aik (1) khajoor ke baraber sadqa kery aur Allah sirf Halal kamai ke sadqy ko qabool kerta ha to Allah usy Apny Dahny Hath se qabool kerta ha, phir sadqa kerny waly ke faidy ke lye is mein ziyadati kerta ha, bilkul isi tarhan jaisy koi apny janwar ke bachy ko khila pila ker barhata ha ta'nk is ka sadqa paharr ke baraber ho jata ha. [1410: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#272
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hasad (Rashk) kerna sirf do (2) hi admiun ke sath jaiz ho skta ha. Aik (1) to us shaks ke sath jisy Allah ne maal dya aur usy haq aur munasib jaghun mein kharch kerny ki tofeeq di. Dosry (2) us shaks ke sath jisy Allah ne Hikmat (Aqal, Ilm Qur'an-o-Hadith aur mamla fehmi) di aur wo apni Hikmat ke mutabiq Haq faisly kerta ha aur logun ko uski ta'leem deta ha. [1409: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Masood]
#273
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Murdon ko bura na kaho kyun ke unhon ne jaisa amal kya us ka badla pa lya. [1393: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#274
Aik (1) shaks ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke meri Maan ka intiqaal hogya aur mera khyal he ke agr unhein baat kerny ka moqa milta to wo kuch na kuch kheraat  kartein, agr mein unki taraf se kuch kheraat ker dun to kya unhein iska sawab milyga? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haan mily ga. [1388: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#275
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis Musalman ke bhi teen (3) nabaligh bachy mar jyen to Allah apny Fazal –o-Rehmat se jo in bachon per kery ga, un ko Jannat mein le jye ga. [1381: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#276
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab jinazah tyar ho jata ha phir mard isko apni gardanun per utha lety hein to agr wo murdah naik ho to kehta ha ke haan aagy lye chalo, mujhy barhaye chalo aur agr naik nhi hota to kehta ha, haaye re kharabi! Mera jinazah kahan lye ja rhy ho. Is awaz ko insaan ke siwa tamam Makhlooq-e-Khuda sunti ha, agr kahein insaan sun payein to be-hosh ho jyen. [1380: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#277
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks mar jata ha to us ka thikana usy subha-o-sham dikhaya jata ha, ager wo Jannati ha to Jannat walun mein aur jo dozakhi ha to dozakh walun mein, phir kha jata ha ye tera thikana ha yahan tak ke Qiyamat ke din Allah tujh ko uthaye ga. [1379: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#278
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Ka Guzar do (2) qabron per hua. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne framaya ke in dono murdon per azab ho rha ha aur ye bi nhi ke kisi bari eham baat per ho rha ha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan! In mein aik shaks to chughal khori kiya karta tha aur dosra peeshab se bachny ke lye ehtiyat nhi karta tha. [1378: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#279
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is tarhan Dua Kerty Thy, Ay Allah! Mein qabar ke azab se Teri panha chahta hun aur dozakh ke azab se aur zindagi aur mo'at ki azmaishon se aur kany dajjaal ki bala se teri panha chahta hun.  [1377: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#280
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis Musalman ki achai per chaar (4) shaks gawahi de dein Allah usy Jannat mein dakhil kryga. Hamne kaha aur agr teen (3) gawahi dein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke teen (3) per bhi, phir ham ne poocha aur agr do (2) musalman gawahi dein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke do (2) per bhi, phir hamne ye nhi poocha ke agr aik (1) musalman gawahi de to kya? [1368: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Al-Aswad]
#281
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is tarhan Dua Kerty Thy, Ay Allah! Mein qabar ke azab se teri panha chahta hun aur dozakh ke azab se aur zindagi aur mo'at ki azmaishon se aur kany dajjaal ki bala se teri panha chahta hun.  [1377: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#282
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Wajib Hogai)
June 19, 2015, 08:11:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis mayyat ki tum logun ne ta'reef ki ha us ke lye to Jannat wajib hogai aur jis ki tum ne burai ki ha uske lye dozakh wajib ho gai. Tum log zameen mein Allah ke gawah ho. [1367: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#283
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khudkushi)
June 18, 2015, 08:22:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks khud apna gala ghont ker jaan de dalta ha wo jahannum mein bhi apna gala ghont'ta rhy ga aur jo barchay ya teer se apny ta'een mary wo dozakh mein bhi is tarhan apny ta'een marta rhy ga. [1365: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#284
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khudkushi)
June 17, 2015, 08:35:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik shaks ko zakham lga, us ne (zakham ki takleef ki wajha se) khud ko maar dala. Is per Allah ne Farmaya! Mery bandy ne jaan nikalny mein Mujh per jaldi ki, is ki saza mein Jannat haram Krta Hun. [1364: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jandab bin Abdullah]
#285
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (KhudKushi)
June 16, 2015, 11:20:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Islam ke siwa kisi aur deen per hony ki jhooti qasam qasadan khaye to wo wesa hi ho jye ga jaisa ke us ne apny lye kha ha aur jo shaks apny ko dhaar dar cheez se zebah (khudkushi) ker le usy jahannum mein usi hathyar se azab hota rhy ga. [1363: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sabit bin Zahaak]
Powered by EzPortal