News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 22
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 9
Total: 9
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#256
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr tumhein koi aisa maal mily jis per tumhara khyal na lga hua ho aur na tum ne usy manga ho to usy qabool ker lya kro, aur jo na mily to uski parwah na kro aur uske peachy na paro. [1473: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umar]
#257
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rizq Kamana)
July 16, 2015, 11:48:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat (Allah) ki qasam Jis ke Hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki Jaan ha, agr koi shaks rassi se lakriyun ka bojh bandh ker apni peeth per jungle se utha laye (phir inhein bazar mein bech ker apna rizq hasil kry) to wo us shaks se behtar ha jo kisi ke pas aa ker sawal kry, phir jis se sawal kiya gya ha wo isy de ya na de. [1470: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#258
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi din aisa nhi jata ke jab bandy subha ko uthty hein to do (2) Farishty asman se na utarty hon, aik (1) Farishta to ye kehta ha ke Aye Allah! Kharch kerny waly ko uska badla de, aur dosra (2) kehta ha ke Aye Allah! Mumsik aur bakheel ke maal ko talaf ker de. [1442: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#259
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Maal ko) theli mein band ker ke na rakhna werna Allah bhi tumhary lye Apny KHAZANY mein bandish lga de ga. [1434: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Asma bin Abi Bakar]
#260
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khairat Ko Mat Rok)
July 11, 2015, 08:13:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Khairat ko mat rok werna tera rizq bhi rok diya jye ga. [1433: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Asma]
#261
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Upper Wala Hath)
July 10, 2015, 08:13:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Upper wala hath neechy waly hath se behtar ha aur pehly unhen do jo tumhary baal bachy aur aziz hein aur behtareen sadqa wo ha jisy de ker aadmi maaldar rhy aur jo koi sawal se bachna chahy ga usy Allah bhi mehfooz rakhta ha aur jo dosron (ke maal) se be-niyaz rehta ha, usy Allah be-niyaz hi bna deta ha. [1427: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef]
#262
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 10, 2015, 12:12:14 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Behtreen khairaat wo ha jis ke deny ke baad admi maal-dar rhy, phir sadqa pehly unhein do do tumhari zair-e-parwarish hein. [1426: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#263
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr aorat apny shohar ke maal se kuch kharch kry aur uski niyyat shohar ki poonji barbaad kerny ki na ho to usy kharch kerny ka sawab milyga aur shohar ko bhi iska sawab milyga ke isne kamaya ha, aur khazanchi ka bhi yhi hukam ha. Aik (1) ka sawab dosry ke sawab mein koi kami nhi kerta. [1425: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#264
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 07, 2015, 11:55:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sadqa kiya kro pas anqareeb aik (1) aisa zamana any wala ha jab admi apna sadqa le ker nikly ga (koi isy qabool ker le magar jab wo kisi ko de ga to wo) admi khy ga ke agr isy tum kal laye huy hoty to mein le leta lakin aaj mujhy iski hajat nhi rhi. [1424: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harisa bin Wa'hab]
#265
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) qisam ke aadmiun ko Allah Apny (Arsh ke) Saya mein rakhy ga, jis din Us (Allah) ke siwa aur koi Saya na hoga. Insaaf kerny wala hakim, wo no-jawan jo Allah ki ibadat mein jawan hua ho, wo shaks jis ka dil her waqat Masjid mein lga rhy, do (2) aisy shaks jo Allah ke lye mohabbat rakhty hein, isi per wo jama huy aur isi per juda huy, aisa shaks jisy kisi khoobsurat aur izzat-dar aorat ne bulaya lakin usne ye jawab diya ke mein Allah se darta hun, wo insan jo sadqa kry aur usy is darjah chupaye ke bayein (left) hath ko bhi khabar na ho ke dahny (right) hath ne kya kharch kya aur wo shaks jo Allah ko tanhai mein yaad kry aur uski ankhein ansun se behny lag jyen. [1423: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#266
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 05, 2015, 08:29:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki baaz bevioun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke sab se pehly ham mein se Akhrat mein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se kon ja ker milygi to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ka hath sab se lamba hoga, ab ham ne lakri se napna shorow ker dya to Hazrat Sodah sab se zyada lamby hath wali niklein, ham ne baad mein samjha ke lamby hath wali hony se Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki murad Sadqa zyada kerny wali se thy. Aur Hazrat Sodah ham sab se pehly Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se ja ker milein, sadqa kerna aapko bohat mehboob tha. [1420: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#267
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahanum Se Bacho)
July 04, 2015, 11:53:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum se bacho, agr-che khajoor ka aik (1) tukra de ker hi sahi. [1417: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Adi bin Hatim]
#268
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logun per zarur aik (1) zamana aisa aa jye ga ke aik (1) shaks sony ka sadqa le ker nikly ga lakin koi usy leny wala nhi mily ga aur ye bhi ho ga ke aik mard ki panha mein chalees chalees (40) aoratain ho jyen gi kyun ke mardon ki kami ho jye gi aur aoratun ki zyadti ho gi. [1414: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#269
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat aany se pehly maal-o-dolat ki is qadar kasrat ho jye gi aur log is qadar maal-dar ho jyen gy ke us waqat sahib-e-maal ko is ki fikar ho gi k us ki Zakat kon qabool kery aur agr kisi ko dena bhi chahe ga to us ko ye jawab mily ga ke mjy is ki hajat nhi ha. [1412: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#270
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 01, 2015, 06:38:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sadqa karo, aik (1) aisa zamana bhi tum per aany wala ha jab aik shaks apny maal ka sadqa le ker nikly ga aur koi usy qabool kerny wala nhi paye ga. [1411: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harsa bin Wah'b]
Powered by EzPortal