News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 149
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 89
Total: 89
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#241
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Paanch (5) janwar aisy hein jinhein marny mein koi gunah nhi: kawa, cheel, chuha, bichu aur kaat khany wala kuta. [1828: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hafsa]
#242
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jis Ne Haj Kiya Aur)
August 05, 2015, 08:15:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Us Ghar (Ka'ba) ka Haj kya aur na shehwat ki fohash batein kein, na gunah kiya to wo us din ki tarhan wapis hoga jis din uski Maan ne usy jana tha. [1820: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#243
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jis Ne Haj Kiya Aur)
August 04, 2015, 07:56:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne Us Ghar (Ka'ba) ka Haj kya aur is mein na rafs yani shehwat ki baat mun se nikali aur na koi gunah ka kaam kya to wo us din ki tarhan wapis hoga jis din uski maan ne usy jana tha. [1819: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#244
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safar azab ka aik (1) tukra ha, admi ko khany peeny aur sony (her aik (1) cheez) se rok deta ha, is lye jab koi apni zarurat puri ker chuky to foran ghar wapis aa jye. [1804: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#245
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Umrah Aur Haj)
August 02, 2015, 08:14:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) Umrah ke baad dosra Umrah dono ke darmyan ke gunahun ka kaffara ha aur Haj Mabroor ki jaza Jannat ke siwa aur kuch nhi ha. [1773: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#246
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qasai Ki Mazdori)
August 01, 2015, 11:25:17 PM
Hazrat Ali ne byan kya ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hukam dya tha ke Mein (Hazrat Ali) Qurbani ke ounton ki daikh bhal krun aur in mein se koi cheez qasai ki mazdori mein na dun. [1716: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali]
#247
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safa aur Marwah ki Sa'i se pehly bivi ke qareeb bhi na jye. [1646: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#248
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hurmat Wala Shehar)
July 27, 2015, 10:56:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne is shehar (Makkah) ko Hurmat wala banaya ha (yani Izzat di ha) pas is ke (darakhtun ke) kanty tak bhi nhi katy ja sakty, yahan ke shikaar bhi nhi hankaye ja sakty aur in ke ilawa jo ailaan ker ke (malik tak pohanchany ka irada rakhty hon) koi shaks yahan ki giri pari cheez bhi ni utha sakta. [1587: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#249
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha gya ke konsa kaam behtar ha? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah aur Uske Rasool per Imaan lana, poocha gya ke phir iske baad? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ke rasty mein Jihad kerna, phir poocha gya ke iske baad? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haj Mabroor (mabroor = naiki). [1519: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#250
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa Fitar)
July 25, 2015, 11:54:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Sadqa fitar Nimaz-e-Eid ke lye jany se pehly pehly nikalny ka hukam dya tha. [1509: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#251
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Diya Hua Sadqa)
July 24, 2015, 09:12:43 PM
Hazrat Umar ne aik (1) ghorra Allah ke rasta mein aik (1) shaks ko sawari ke lye de dya, lakin us shaks ne ghorry ko kharab ker dya, is lye Hazrat Umar ne chaha ke wo isy khareed lein aur khyal kya ke wo isy sasty damun bech dalyga. Chunache Hazrat Umar ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se is ke motaliq poocha to Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke apna sadqa wapis na lo, khwah wo tumhein aik (1) dharam hi mein kyun na de kyunke diya hua sadqa wapis leny waly ki missal qa' (vomit) ker ke chatny waly ki si ha. [1490: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Zaid bin Aslam]
#252
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hath Phelaye)
July 23, 2015, 11:50:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr tum me se koi shaks apni rassi le ker paharrun mein chala jye phir lakriyan jama ker ke inhein farokht kry, us se khaye bhi aur sadqa bhi kry, ye is ke lye is se behtar ha ke logun ke samny hath phelaye. [1480: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#253
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah teen (3) batein pasand nhi kerta. Bila-wajah gap-shap, fazool-kharchi aur logun se bohat mangna. [1477: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mugheera]
#254
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Maskeen)
July 21, 2015, 11:17:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Maskeen wo nhi jisy aik (1) do (2) luqmy dar dar phirayn. Maskeen to wo ha jis ke pas maal nhi, lakin usy swal se sharam ati ha aur wo logun se chimat ker nhi mangta (maskeen wo jo kmaye magr ba-qadar zarurat na pa sky). [1476: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#255
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hath Phelana)
July 20, 2015, 11:21:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Admi hamesha logun ke samny hath phelata rehta ha yahan tak ke wo Qiyamat ke din is tarhan uthy ga ke uske chehry per zara bhi ghosht na hoga. [1474: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
Powered by EzPortal