Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah fermata ha ke insaan ka her naik amal khud usi ke lye ha mgr roza ke wo khaas Mery (Allah) ke lye ha aur Mein (Allah) hi iska badla dunga aur roza gunahun ki aik (1) dhaal ha, agr koi rozy se ho to usy fehash-goi na kerni chahye aur na shor machaye. Agr koi shaks usko gali de ya larna chahy to uska jawab sirf ye ho ke mein aik (1) roza-dar admi hun, Us Zaat (Allah) ki qasam jis ke Hath mein Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Jaan ha! Roza-daar ki mun ki bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada behtar ha, roza-daar ko do (2) khushyan hasil hongi (aik (1) to jab) wo iftar kerta ha to khush hota ha aur (dosry (2)) jab wo apny Rab se mulaqat keryga to apny rozy ka sawab paa ker khush hoga. [1904: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]