Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Khareedny aur bechny waly jab tak aik (1) dosry se alag alag na ho jyen inhein ikhtiyar rehta ha, ab agr dono ne sachai ikhtiyar ki aur her baat saaf saaf byan aur wazeh ker di, to unki khareed-o-farokht mein barkat hoti ha, lakin agr unhun ne koi baat chupai ya jhoot bola to unki khareed-o-farokht mein se barkat mita di jati ha. [2110: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hakeem bin Hazzam]