News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 149
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 57
Total: 57
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#196
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
November 01, 2015, 08:33:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi bhi musalman jo aik darakht ka poda lgaye ya khait mein beej boye, phr us mein se parind ya insan ya janwar jo bhi khaty hein, wo us ki taraf se sadqa ha. [2320 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Anas bin Malik]
#197
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zina Ka Iqrar)
October 31, 2015, 09:39:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ay Anees! Us khatoon ke yahan ja. Agr wo zina ka iqrar ker le, to usy sangsar ker de. [2314 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#198
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qarz Ada Kerna)
October 30, 2015, 11:15:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein sab se behtar wo log hein jo qarz waghera ko puri tarhan ada kerty hein. [2305 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#199
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Maaldaar ki taraf se (qarz ada kerny mein) taal matol kerna zulm ha, aur agar kisi ka qarz kisi maaldaar ke hawala kiya jaye to wo usy qabool kary. [2288 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#200
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne khoon ki qeemat, kutty ki qeemat, bandi ki (na-jaiz) kamai se mana farmaya aur goodny waliun aur gudwany waliun, sood leny walun aur deny walun per la'nat ki aur tasweer banany waly per bhi la'nat ki ha. [2238: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Aon bin Abi Hajeefa]
#201
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kutty ki qeemat, zania ki ujrat aur kahin ki ujrat se mana farmaya. [2237: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood Ansari]
#202
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Teen (3) Tarhan Ke Log)
October 19, 2015, 10:16:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) tarhan ke log aisy hongy jin ka Qiyamat ke din Mein mud'ai banuga, aik (1) wo shaks jisne Mery Naam per ehad kya aur wo torr diya, wo shaks jisne kisi azad insan ko bech ker uski qeemat khai aur wo shaks jisne koi mazdoor ujrat per rakha, us se puri tarhan kaam lya lakin uski mazdori nhi di. [2227: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#203
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sharab Ki Sodagri)
October 18, 2015, 07:11:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sharab ki sodagri haram qarar di ha. [2226: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#204
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne bhi koi murat bnai to Allah usy us waqat tak azab kerta rhyga jab tak wo shaks apni murat mein jaan na daal de aur wo kbhi us mein jaan nhi daal skta. Hazrat Ibn-e-Abbas ne farmaya ke afsos! Agr tum muratein bnani hi chahty ho to us darakhtun ki aur her us cheez ki jis mein jaan nhi ha muratein bna sakty ho. [2225: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#205
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne mana farmaya! Koi shehri kisi dehati ka maal-o-asbab bechy aur ye ke koi (saman khareedny ki niyaat ke bghair dosry asal khareedarun se) barh ker boli na de. Isi tarhan koi shaks apny bhai ke sody mein mudakhlat na kry, koi shaks (kisi aorat ko) dosry ke paigham-e-nikah hoty huy apna paigham na bhejy aur koi aorat apni kisi deeni behan ko is niyyat se talaq na dilwaye ke iske hissa ko khud hasil ker le. [2140: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#206
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mana Farmaya)
October 13, 2015, 07:30:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny ghally ko naap lya karo, is se tumhein barkat hogi. [2128: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Maqdaam bin Ma'di Karb]
#207
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks kisi qisam ka ghalla khareedy to jab tak us per puri tarhan qabza na ker le, usy na bechy. [2126: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#208
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ghalla ko puri tarhan apny qabzy mein kerny se pehly usy bechny se mana farmaya. [2124: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umar]
#209
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke qareeb aik (1) lashkar Kaba per charhai kryga. Jab wo muqam Baid'a mein pohanchy ga, to unhein awal se akhir tak sab ko zameen mein dhansa diya jyega. Hazrat Ayesha ne byan kya ke mein ne kaha, Ya Rasool Allah! Isy shorow se akhir tak kyunker dhansaya jyega jab ke wahein unke bazar bhi hongy aur wo log bhi hongy jo in lashkariyun mein se nhi hongy? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan! Shorow se akhir tak in sab ko dhansa diya jyega, phir in ki niyyatun ke mutabiq wo uthaye jyengy. [2118: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#210
Hazrat Haban bin Manqaz ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se arz kya ke wo aksar khareed-o-farokht mein dhoka kha jaty hein. Is per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jab tum kisi cheez ki khareed-o-farokht kro to yun keh dya kro ke "bhai dhoka aur faraib ka kaam nhi". [2117: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
Powered by EzPortal