News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 54
Total: 54
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#181
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne tum per Maan (aur Baap) ki na-farmani, larkiyun ko zinda dafan kerna (wajib haqooq ki) adaigi na kerna aur (dosrun ka maal na-jaiz tareeqa per) daba lena haram qarar dya ha aur fazool baqwas kerny, aur kasrat se sawalat kerny aur maal zaiya kerny ko maqrooh qarar dya ha. [2408 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mogheerah bin Sha'ba]
#182
Aik shaks ne arz kiya ke kharid-o-farakht mein usy dhoka de dya jata ha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab kharid-o-farokht kiya kery, to keh dya ker ke koi dhoka na ho. Chonachye phr wo shaks isi tarhan kaha kerta tha. [2407:  Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umar]
#183
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Maal-daar ki taraf se (qarz ki adaigi mein) taal-matol kerna zulm ha. [2400 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#184
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qarz Se Panah)
November 13, 2015, 10:22:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Nimaz mein Dua kerty to ye bhi kehty "Aye Allah! Mein gunah aur qarz se Teri panah mangta hun". Kisi ne arz kya, Ya Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Qarz se itni panah kyun mangty hein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne jawab diya ke jab aadmi maqrooz hota ha to jhoot bolta ha, aur wada ker ke uski khilaf warzi kerta ha. [2397 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Ayesha]
#185
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein behtar admi wo ha jo qarz ada kerny mein bhi sab se behtar ho. [2393 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#186
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qarz-Darun Ka Qarz)
November 11, 2015, 10:31:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik shaks ka intiqal hua, (qabar mein) us se sawal hua. Tumhary pas koi naiki ha? Us ne kaha ke mein logun se kharid-o-farokht kerta tha. (Aur jab kisi per mera qarz hota) to mein maaldarun ko mohlat diya kerta tha aur tangdastun ke qarz ko maaf ker diya kerta tha, is per us ki bakhshish ho gai. [2391 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Huzaifa]
#187
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr Mery pas Ohad ke paharr ke baraber bhi sona ho tab bhi Mujhy ye pasand nhi ke teen (3) din guzar jyen aur us (sony) ka koi bhi hissa Mery pas reh jye. Siwa is ke jo Mein kisi qarz ke deny ke lye rakh chorun. [2389 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#188
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qarz Leny Ki Niyyat)
November 09, 2015, 09:23:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo koi logun ko maal qarz ke tor per ada kerny ki niyyat se leta ha to Allah bhi uski taraf se ada keryga aur jo koi na deny ke lye le, to Allah bhi usko tabah ker dega. [2387 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#189
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rehan Rakh Dena)
November 08, 2015, 08:43:25 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik (1) yahoodi se ghalla aik (1) khas muddat (ke qarz per) khareeda, aur Apni lohy ki zirah uske pas rehan rakh di. [2386 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Ayesha]
#190
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Oont Ka Haq)
November 07, 2015, 06:30:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Oont ka haq ye ha ke unka doodh pani ke pas doha jye. [2373 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#191
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi shaks rassi le ker lakriyun ka ghatta laye, phir isy bechy aur is tarhan Allah is ki aabru mehfooz rakhy to ye is se behtar ha ke wo logun ke samny hath phelaye aur (bheek) isy di jye ya na di jye iski bhi koi umeed na ho. [2373 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Zubair bin Awam]
#192
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Ke Din)
November 05, 2015, 09:24:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki Qasam! Jis ke Hath mein Meri Jaan ha, Mein (Qiyamat ke din) apny Hoz se kuch logun ko is tarhan hank dunga jaisy ajnabi oont Hoz se hank dye jaty hein. [2367 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#193
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Billi Ki Wajah Se Azab)
November 04, 2015, 07:06:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) aorat ko azab, aik (1) billi ki waja se hua jisy usne itni dair tak bandhy rakha tha ke wo bhook ki waja se mar gai. Aur wo aorat is waja se dozakh mein dakhil hui. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ne us se farmaya tha... aur Allah Hi Zyada Jan'ny Wala Ha ke jab tu ne us billi ko bandhy rakha us waqat tak na tu ne usy kch khilaya pilaya aur na chora ke wo zameen ke keery makory hi kha ker apna pait bhar leti. [2365 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#194
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) tarhan ke log wo hongy jin ki taraf Qiyamat ke din Allah nazar bhi nhi uthaye ga aur na unhein paak kryga, balke unke lye dard-naak azab hoga. Aik (1) wo shaks jiske pas rasty mein zarurat se zyada pani ho aur usne kisi musafir ko uske istimal se rok dya. Dosra (2) wo shaks jo kisi hakim se bai't sirf dunya ke lye kry agr wo hakim usy kuch de to wo razi rhy warna khafa ho jye. Teesry (3) wo shaks jo apna (bechny ka) saman asar ke baad le ker khara ho aur kehny lga ke Us Allah ki Qasam jiske siwa koi sacha ma'bood nhi, mujhy is saman ki qeemat itni itni mil rhi thi, is per aik (1) shaks ne isy sach samjha (aur uski batai hui qeemat per us saman ko khareed lya) phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is Ayat ki tilawat farmai "Jo log Allah ko darmyan mein de ker aur jhooti qasmein kha ker dunya ka thora sa maal mol lety hein". [2358 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#195
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jis Shaks Ne Kutta Rakha)
November 02, 2015, 10:45:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne koi kutta rakha, usne rozana apny amal se aik keraat ki kami ker li. Albata khaiti ya mowaishi (ki hifazat ke lye) kutty is se alag hein. [2322 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal