News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 77
Total: 77
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#151
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi kisi se jhagra kery to chehry per marny se perhaiz kery. [2559: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#152
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her shaks hakim ha aur uski ri'aya ke bary mein sawal hoga, pas logun ka waqai ameer aik (1) hakim ha aur us se uski ri'aya ke bary mein us se sawal hoga, dosry (2) her admi apny ghar walun per hakim ha aur us se uski ri'aya ke bary mein sawal hoga, teesri (3) aorat apny shohar ke ghar aur uske bachun per hakim ha us se uski ri'aya ke bary mein sawal hoga, chotha (4) ghulam apny aaqa ke maal ka hakim ha aur us se uski ra'yat ke bary mein sawal hoga, pas jaan lo ke tum mein se her aik (1) hakim ha aur her aik (1) se uski ra'yat ke bary mein (Qiyamat ke din) pooch hogi. [2554: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#153
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Apny Aaqa Ka Khair-Khwah)
December 20, 2015, 08:07:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghulam jo apny aaqa ka khair-khwah bhi ho aur apny Rab ki ibadat bhi achi tarhan kerta ho to usy do (2) guna sawab milta ha. [2546: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#154
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Amaal ka madar niyyat per ha aur her shaks ko uski niyyat ke motabiq phal milta ha, pas jis ki hijrat Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke lye ho, wo Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke lye smjhi jye gi, aur jis ki hijrat dunya ke lye hogi ya kisi aorat se shadi kerny ke lye to ye hijrat mehaz usi ke lye hogi jis ki niyyat se us ne hijrat ki. [2529: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umar bin Khitab]
#155
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne Meri Ummat ke diloun mein paida hony waly waswasun ko maaf ker dya ha jab tak wo unhein amal ya zuban per na layein. [2528: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#156
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kuch muddat tehra ker aik (1) yahoodi se ghalla kharida aur Apni zirah iske pas girvi rakhi. [2513: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesah]
#157
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Girvi Janwar Ka Doodh)
December 16, 2015, 10:06:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Girvi janwar per iska kharch nikalny ke lye sawari ki jye, doodh wala janwar girwi ho to uska doodh piya jye. [2511: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#158
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ki hadood per qaim rehny waly aur is mein ghus jany waly (yani khilaf kerny waly) ki misaal aisy logun ki si ha jinhun ne aik (1) kashti ke silsily mein qur'a dala. Jis ke nateejah mein baaz logun ko kashti ke upper ka hissa mila aur baaz ko neechy ka, pas jo log neechy waly thy, unhein (darya se) pani leny ke lye upper walun ke upper se guzarna parta, unhun ne socha ke kyun na ham apny hi hissa mein aik (1) sorakh ker lein ta ke upper walun ko ham koi takleef na dein, ab agr upper waly neechy walun ko man-mani kerny dein gy to kashti waly tamam halak ho jyengy aur agr upper waly neechy walun ka hath pakar lein to ye khud bhi bachein gy aur sari kashti bhi bach jyegi. [2493: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Noman bin Basheer]
#159
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya ke koi shaks apny sathiyun ki ijazat ke baghair (dastarkhuwan per) do do (2) khajoor aik (1) sath mila ker khaye. [2489: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#160
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Wo Shaheed Ha)
December 13, 2015, 09:06:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks apny maal ki hifazat kerty huy qatal ker diya gya, wo shaheed ha. [2480: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umro]
#161
111.   Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak Ibn-e-Maryam ka nazol aik (1) adil hukam-raan ki hasiyat se tum mein na ho le, wo saleeb ko torr deingy, su'arun ko qatal ker deingy aur jizya qabool nhi krngy (is dor mein) maal-o-dolat ki itni kasrat ho jyegi ke koi isy qabool nhi kryga. [2476: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#162
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin Rehty Huy)
December 10, 2015, 09:03:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zani momin rehty huy zina nhi ker skta, sharab-khor momin rehty huy sharab nhi pee skta, chor momin rehty huy chori nhi ker skta, aur koi shaks momin rehty huy loot aur ghaarat-giri nhi ker skta ke logun ki nazrain uski taraf uthi hui hon aur wo loot rha ho. [2475: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#163
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne loot maar kerny aur maslah kerny se mana farmaya ha. [2474: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Yazeed] (Maslah: Jang mein maqtool ke hath, pair, kaan, naak kaat ker alag alag ker dena. Islam ne is harkat se sakhti se mana farmaya ha)
#164
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rasty Per Kanty-Dar Dali)
December 08, 2015, 09:38:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks rasty per chal rha tha ke us ne wahan kanty dar dali dakhi, us ne usy utha liya to Allah ne us ka ye amal qabool kiya aur uski maghfarat ker di. [2472: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#165
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks rasty mein safar ker rha tha ke usy piyas lgi, phir usy rasty mein aik (1) kun'an mila aur wo uske andar utar gya aur pani piya, jab bahir aya to uski nazar aik (1) kutty pe pari jo hanp rha tha aur piyas ki sakhti se keechar chaat rha tha, us shaks ne socha ke is waqat ye kutta bhi piyas ki itni hi shiddat mein mubtala ha jis mein mein tha, chunache wo phir kun'ein mein utra aur apny jooty mein pani bhar ker usne kutty ko pilaya. Allah ke Haan uska ye amal maqbool hua aur uski maghfarat ker digai. Sahaba ne poocha, Ya Rasool Allah! Kya janwarun ke silsaly mein bhi hamein ajar milta ha? To Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke haan! Her jaandar ke silsaly mein ajar milta ha. [2466: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal