News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 57
Total: 57
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#136
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) tarhan ke log aisy hein ke Allah inse baat bhi na kryga na inki taraf nazar utha ker Daikhyga aur na inhein paak Kryga bal-ke inhein sakht dard-naak azab hoga. Aik (1) wo shaks jo safar mein zarurat se zyada pani lye ja rha ha aur kisi musafir ko (jisy pani ki zarurat ho) na de. Dosra (2) wo shaks jo kisi (Khalifat-ul-Muslemeen) se bait kry aur sirf dunya ke lye bai't kry ke jis se usne bai't ki agr wo is ka maqsad pura ker de to ye bhi wafa-dari se kaam le, werna iske sath bai't-o-ehad ke khilaf kry, teesra (3) wo shaks jo kisi se asar (ke waqat) ke baad kisi saman ka bhao kry aur Allah ki qasam kha le ke isy is ka itna itna ropayya mil rha tha aur khareedar is saman ko (uski qasam ki wajah se) le le, halanke wo jhoota ha. [2672: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#137
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhooti Kasam)
January 09, 2016, 06:37:14 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne koi aisi qasam khai, jis mein wo jhoota tha, kisi musalman ka maal cheenny ke lye, to wo Allah se is tarhan milyga ke Allah is per ghazabnak hoga. [2666: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#138
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghusal Wajib Ha)
January 08, 2016, 08:35:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her baaligh per Jumma ke din ghusal wajib he. [2665: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saeed Khudri]
#139
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dosry Shaks Ki Ta'reef)
January 07, 2016, 10:13:48 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne suna ke aik (1) shaks dosry ki ta'reef ker rha tha aur mubalgha se kaam le rha tha to Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke tum logun ne us shaks ko halak ker dya, uski pusht torr di. [2663: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ra]
#140
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kisi Ki Ta'reef Kerna)
January 06, 2016, 09:47:10 PM
Aik (1) shaks ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke samny dosry shaks ki ta'reef ki, to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Afsoos! Tu ne apny sathi ki garden kaat dali, tu ne apny sathi ki gardan kaat dali, tu ne apny sathi ki gardan kaat dali, kai martaba (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne isi tarhan farmaya) phir farmaya ke agr kisi ke lye apny kisi bhai ki ta'reef kerni zaruri ho jye to yun khy ke mein flan shaks ko aisa samjhta hun, agy Allah khoob Janta Ha, mein Allah ke samny kisi ko be-aib nhi keh sakta, mein samjhta hun wo aisa aisa ha agr uska haal janta ho. [2662: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abd-ul-Rehman bin Abi Bakrah]
#141
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aorat Ki Gawahi)
January 05, 2016, 09:59:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kiya aorat ki gawahi mard ke aadhy ke baraber nhi ha? Sahaba ne arz kiya kiyun nhi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya yhi to in ki aql ka nuqsan ha. [2658: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#142
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kabira Gunah)
January 04, 2016, 09:42:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se kabira gunahun ke bary mein poocha gya to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ke sath kisi ko shareek tehrana, Maan Baap ki nafarmani kerna, kisi ki jaan lena aur jhooti gawahi dena. [2653: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#143
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Behtar Log)
January 03, 2016, 09:01:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se behtar Mery zamany ke log hein, phir wo log jo uske baad hongy, phir wo log jo us ke baad hongy aur is ke baad aisy logun ka zamana ayega jo kasam se pehly gawahi deingy aur gawahi se pehly kasam khaein gy. [2652: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#144
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ham musalman ko buri missal na ikhtiyar kerni chahye, us shaks ki si jo apna diya hua hadya wapis le le, wo us kutty ki tarhan ha jo apni ke'a (vomit) khud chat'ta ha. [2622: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abas]
#145
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hadya Wapis Lena)
December 30, 2015, 10:24:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya!  Apna diya hua hadya wapis leny wala aisa ha jesy apni ki hui ke'a ka chatny wala. [2621: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abas]
#146
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jis Ka Darwaza Qareeb Ho)
December 28, 2015, 10:54:48 PM
Hazrat Ayesha ne biyan kiya ke mein ne arz kya, Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Meri do (2) Parosi hein, to mujhy kis ke ghar hadya bhejna chahye? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jis ka darwaza tum se qareeb ho. [2595: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#147
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kharch Kiya Kero)
December 27, 2015, 06:48:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kharch kiya ker, gina na ker, ta ke tumhein bhi gin ke na mily, aur jorr ke na rakho, ta ke tum se bhi Allah (Apni naimatun ko) na chupa le. [2591: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Asm'a]
#148
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa Kro)
December 26, 2015, 06:13:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sadqa kro, jorr ke na rakho, kahein tum se bhi (Allah ki taraf se na) rok lya jye. [2590: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Asm'a]
#149
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khushbu Wapis Na Kerna)
December 25, 2015, 09:38:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam khusbu ko wapis nhi farmaya kerty thy. [2582: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Samama bin Abdullah]
#150
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye musalman aorato! Hargiz koi parosan apni dosri parosan ke lye (mamooli hadya ko bhi) haqeer na samjhy, khwah bakri ke khur ka hi kyun na ho. [2566: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal