News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 57
Total: 57
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#121
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi musalman ke lye jis ke pas wasiyat ke qabil koi bhi maal ho, darust nhi ke do (2) raat bhi wasiyat ko likh ker apny pas mehfoz rakhy bgair guzary. [2738: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#122
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke ninway (99) Naam-Mubarak hein yani aik (1) kam so (100). Jo shaks in sab ko mehfooz rakhy ga wo Jannat mein dakhil hoga. [2736: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#123
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi sherhi kisi dehati ka maal tijarat na bechy. Koi shaks najash na kery aur na apny bhai ki lgai hui qeemat per baho barhaye. Na koi shaks apny kisi bhai ke pegham-e-nikah ki majudgi mein apna pegham bhejy aur na koi aorat (kisi mard) se apni behan ki talaq ka mutalba kery (jo us mard ke nikah mein ho) ta ke us ka hissa bhi khud le ly. [2723: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Najash: Dhoka deny ki niyyat se nirkh barhana ta ke wo dosra shaks jald isko kharid le, ya kisi bikti hui cheez ki burai bayan kerna ta ke kharidar is ko chor ker dosri taraf chala jye aur kharidar ko dhoka deny ke lye janwar ka doodh uske thanu mein rok ker rakhna.
#124
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haq Mehar)
January 23, 2016, 06:41:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo shartein (Haq Mehar) jin ke zarya tum ne aortun ki sharamgahun ko Halal kiya ha, puri ki jany ki sab se zyada mustahiq hein. [2721: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Uqbah bin Aamir]
#125
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bai't Kerty Waqat)
January 22, 2016, 10:19:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam sirf Zuban Mubarak se bai't kerty thy. Qasam Allah ki! Bai't kerty waqat Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Hath Mubarak ne kisi bhi aorat ke hath ko kbhi nhi chua, bal-ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam sirf Zuban Mubarak se bai't liya kerty thy. [2713: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#126
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa Wajib Ha)
January 21, 2016, 06:39:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Insaan ke badan ke (300 jorun mein se) her jorr per her us din ka sadqa wajib ha jis mein Suraj tal'u hota ha aur logun ke darmyan insaaf kerna bhi aik sadqa ha. [2707: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#127
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Hamary Deen mein az-khud koi aisi cheez nikali jo is mein nhi thi to wo rad he. [2697: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#128
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhoota Wo Nhi Ha)
January 19, 2016, 10:18:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jhoota wo nhi ha jo logun mein baham sulha karany ki koshish kery aur is ke lye kisi achi baat ki chugli khaye ya is silsila ki aur koi achi baat keh de. [2692: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ume Kalsoom bint Uqbah]
#129
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Azan Aur Saff-e-Awal)
January 18, 2016, 10:33:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr logun ko maloom hota ke Azaan aur saff-e-awal mein kitna sawab ha aur phir (inhein hasil kerny ke lye) qur'a andazi kerni parti, to wo qur'a andazi bhi kerty aur agr inhein maloom ho jye ke Nimaz sawery parhny mein kitna sawab he to log aik dosry se sabqat kerny lagein aur agr inhein maloom ho jye ke Isha aur Subha ki kitni fazilatein hein to agr ghutnun ke bal ana perta to phir bhi aty. [2689: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#130
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Hamary Deen mein az-khud koi aisi cheez nikali jo is mein nhi thi to wo rad he. [2682: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#131
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhoota Wo Nhi Ha)
January 16, 2016, 09:24:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jhoota wo nhi ha jo logun mein baham sulha karany ki koshish kery aur is ke lye kisi achi baat ki chugli khaye ya is silsila ki aur koi achi baat keh de. [2692: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ume Kalsoom bint Uqbah]
#132
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Azaan Aur Saff-e-Awal)
January 15, 2016, 09:14:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr logun ko maloom hota ke Azaan aur saff-e-awal mein kitna sawab ha aur phir (inhein hasil kerny ke lye) qur'a andazi kerni parti, to wo qur'a andazi bhi kerty aur agr inhein maloom ho jye ke Nimaz sawery parhny mein kitna sawab he to log aik dosry se sabqat kerny lagein aur agr inhein maloom ho jye ke Isha aur Subha ki kitni fazilatein hein to agr ghutnun ke bal ana perta to phir bhi aty. [2689: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#133
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Munafiq ki teen (3) nishaniyan hein, jab baat kahi to jhoot kahi, imanat di gai to usne is mein khayanat ki aur wada kiya to usy pura nhi kya. [2682: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#134
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ki Kasam)
January 13, 2016, 10:45:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr kisi ko kasam khani hi ha to Allah hi ki Qasam khaye, warna khamosh rhy. [2679: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#135
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kasam Is Lye Khata Ha)
January 12, 2016, 09:09:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks kasam islye khata ha ta ke iske zarya kisi ka maal (najaiz tor per) hazam ker jye to wo Allah se is haal mein milyga ke Allah is per ghazabnak Hoga. [2673: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
Powered by EzPortal