News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 286
Most Online Ever: 948
(January 29, 2025, 05:21:28 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 232
Total: 232
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#1096
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 30, 2012, 10:06:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak do (2) jamatein (musalmanu ki) apas mein jang na ker lein aur dono ka dawa aik hoga (ke wo Haq per hein). [3608: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#1097
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 30, 2012, 12:09:02 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nimazun mein aik aisi Nimaz ha ke jis se wo choot jaye goya uska ghar bahar sab barbad ho gye. ( aur wo Asar ki Nimaz ha). [3602: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Shahab]
#1098
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 28, 2012, 10:06:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Fitnun ka dor jab ayega to us mein bhetny wala khara rehny waly se behtar hoga. Khara rehny wala chalny waly se behtar hoga aur chalny wala dorny waly se behtar hoga jo is mein jhanky ga fitna bhi usy uchak le ga aur us waqat jisy jahan bhi panha mil jye bas wahein panha pakar le ta ke apny deen ko fitnun se bacha saky. [3601: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#1099
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 27, 2012, 09:11:03 PM
Aik martaba Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Madina ke aik buland teela per charhy aur farmaya! Jo kuch Mein dakh rha hun kya tumhein bhi nazar aa rha ha? Mein fitnun ko dakh rha hun ke tumhary gharun mein wo is tarhn gir rhy hein jaisy barish ki bondein gira kerti hein . [3597: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Naeem]
#1100
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 26, 2012, 09:45:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum yahudiun se aik jang karogy aur usme un per ghalib aa jao gy, us waqat ye kafiyat hogi ke (agr koi yahudi jaan bachany ke lye ksi pahaar mein chup jyega to) pathar bolyga ke Aye Musalman! Ye yahudi meri aar mein chupa hua ha, isy qatal ker dy. [3593: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1101
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 25, 2012, 10:25:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak ke tum iraniun ke shehar khooz aur karman walun se jang na ker logy. Chehry unke surkh hongy, naak chipti hogi, aankhein choti hongi aur chehry aisy hongy jaisy teh ba the dhal hoti ha aur unke jooty baalun (hair) waly hongy. [3590: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1102
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 24, 2012, 09:51:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aur tum per aik aisa dor bhi any wala ha ke tum mein se koi apny sary ghar baar aur maal-o-dolat se barh ker mujhko dakh lena zyada pasand kery ga. [3589: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1103
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 23, 2012, 09:34:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak tum aik aisi qoam ke sath jang na ker lo jin ke jooty baal (hair) ke hon aur jab tak tum turkun se jang na ker lo, jin ki ankhein choti hongi, chehry surkh hongy, naak choti aur chipti hogi, chehry aisy hongy jaisy teh ba the dhaal hoti ha. [3587: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1104
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 22, 2012, 09:25:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is qadar tehar tehar ker batein kerty ke agr koi shaks (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke ilfaz) gin lena chahta to gin skta tha. [3567: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1105
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 21, 2012, 09:22:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Dua Istasqa ke siwa kisi Dua mein (zyada unchy) haath nhi uthaty thy. Is Dua mein Aap Sallahlah Ho Alaihe Wa Sallam itny unchy haath uthaty ke Baghal Mubarak ki safaidi dikhai deti thi. [3565: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1106
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 20, 2012, 09:12:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab Sajda kerty to dono haath pait se alag rakhty yahan tak ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki baglein ham log dakh lety. [3564: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1107
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 19, 2012, 09:07:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi kisi khany mein aib ni nikala, agr Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko marghoob hota to khaty werna chor dety. [3563: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1108
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 18, 2012, 09:29:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pardah nasheen kanwari larkiyun se bhi zyada shermily thy. [3562: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1109
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 17, 2012, 09:39:48 PM
Hazrat Abu bakar Asar ki Nimaz se farigh ho ker Masjid se bahir nikly to daikha ke Hazrat Hasan bachun ke sath khail rhy hien. Hazrat Abu Bakar ne inhein apny kaandhy per bitha lya aur farmaya mery baap tum per qurban hun tum mein Nabi Sallam ki shabahat ha, Ali kin hi, ye sun ker Hazrat Ali hans rhy thy (khush ho rhy thy). [3542: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1110
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 16, 2012, 09:21:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery naam per naam rakha karo lakin Meri Kunyat na rakha karo. [3538: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
Powered by EzPortal