News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 49
Total: 49
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#1066
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ki sab se pehli nishani aik aag hogi jo insanun ko mashriq se maghrib ki taraf jama ker laye gi. Ahly Jannat ki dawat mein jo khana sab se pehly pesh kiya jyega wo machli (fish) ke jigar ka barha hua hisa hoga aur jab mard ka pani aorat ke pani per ghalba ker jata ha to bacha baap ki shaqal per hota ha aur jab aorat ka pani mard ke pani per ghalba ker jata ha to bacha maan ki shakal per hota ha. [4480: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#1067
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
January 02, 2013, 09:44:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne na darham chory thy, na denar, na koi ghulam na baandi, siwa apny safaid khachar ke jis per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam sawar hua kerty thy aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka hathyar aur kuch zameen jo Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne apni zindagi mein Mujahidun aur musafirun ke lye waqaf kar rakhi thi. [4461: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Umro bin Haris]
#1068
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apny Marz-ul-Moat me farmaya! Allah ne yahudiun ko apni Rehmat se door kar dya ke unhun ne apny Anmbia ki qabrun ko sajda gah bana liya tha. [4441: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1069
Hadees / Re: Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Ayesha)
December 31, 2012, 09:49:22 PM
Please Correct the Reference :[3895: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1070
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Anmbia aur Siddeqeen)
December 31, 2012, 09:47:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam apny Marz-ul-Moat mein bar bar farmaty thy, Aye Allah! Mujhy Mery Rufqa (Anmbia aur Siddeqeen) mein pohancha de (jo aa'la Illeyeen mein rehty hein). [4436: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1071
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko (Khaibar se wapis hoty huy) Ohad Paharr dikhai diya to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ye Paharr Ham se mohabbat rakhta ha aur Ham Is se mohabbat rakhty hein. Aye Allah! Hazrat Ibrahim ne Makkah ko hurmat wala shehar qarar diya tha aur Mein in do (2) pathreely maidanun ke darmayan ilaqy (Madina Manawarah) ko hurmat wala shehar qarar Deta hun. [4084: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Malik]
#1072
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Ayesha)
December 28, 2012, 09:13:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum (Hazrat Ayesha) Mujhy do (2) martaba dikhai gai ho. Mein ne dakha ke Tum (Hazrat Ayesha) aik rashmi kapry mein  lipti hui ho aur kaha jar ha ha ke ye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki bivi hein, in ka chehra kholye. Mein ne chehra khol ker dakha to Tum (Hazrat Ayesha) thein, Mein ne socha ke agr ye khwab Allah ki janib se ha to Wo (Allah) khud isko pura farmayega. [3893: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1073
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Badtareen Makhloq)
December 27, 2012, 09:54:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se aik girjy ka zikar kiya gya jisy unhun ne Habsha mein dakha tha uske andar taswerain thein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab in mein koi naik mard-o-saleh hota aur uski wafat ho jati to uski qabar ko log masjid banaty aur phir usme uski taswerain rakhty. Ye log Qiyamat ke din Allah ki bargah mein badtareen makhloq hon gy. [3873: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ume Salma & Ume Habibah]
#1074
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahiliyat ki aadatun mein se ye aadatein hein, nasab ke mamly mein ta'na marna aur mayyat per noha kerna, teesri aadat ke motaliq (Obaid-ul-Allah Ravi) bhol gye thy aur Sufyan ne bayan kiya ke log kehty hien ke wo teesri baat sitarun ko barish ki illat samajhna ha. [3850: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Obaid-ul-Allah]
#1075
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 25, 2012, 10:13:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya Haan! Ager kisi ko kasam khani hi ho to Allah ke siwa aur kisi ki qasam na khaye. Kuraish apny baap dada ki kasam khaya kerty thy is lye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne inhein farmaya ke apny baap dada ke naam ki kasam na khaya karo. [3836: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#1076
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 24, 2012, 08:50:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mardun mein to bohat se kamil paida huy lakin aortun mein Maryam bint-e-Imran, fir'on ki bivi Asia ke siwa aur koi kamil paida nhi hui aur Hazrat Ayesha ki fazilat aortun per aisi ha jaisy Sareed (khany ka naam) ki fazilat baqya tamam khanun per ha. [3769: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#1077
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Husn-e-Khulq)
December 22, 2012, 09:04:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Zuban Mubarak per koi bura Kalma nhi ata tha aur na Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Zaat se ye mumkin tha aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya tha ke tum mein sab se zyada aziz mujhy wo shaks ha jis ki adaat-o-Akhlaq sab se umdah hun. [3759: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1078
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Hasan)
December 20, 2012, 09:43:50 PM
Hazrat Hasan, Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Kandhy Mubarak per thy aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ye farma rhy thy ke Aye Allah! Mujhy Is se Muhabbat ha Tu bhi Is se Muhabbat rakh. [3749: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bra'a]
#1079
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Hasan)
December 19, 2012, 08:51:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Minber per Tashreef farma thy aur Hazrat Hasan Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pehlu mein thy. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam kabhi logun ki taraf motawajja hoty aur phir Hazrat Hasan ki taraf aur farmaty, Mera ye beta Sardar ha aur umeed ha ke Allah Is ke zarya Musalmanun ki do (2) jamatun mein sulha karaye ga. [3746: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#1080
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 18, 2012, 09:52:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her Ummat ke amen hoty hein aur is Ummat ke amen Abu Ubaidah bin Jarah hein. [3744: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Malik]
Powered by EzPortal