News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 133
Total: 133
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#1051
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zakat)
January 25, 2013, 09:24:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhara khazana jis mein se Zakat na di gai ho, Qiyamat ke din ganjy naag ki shakal ikhtiar kery ga. [4659: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1052
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat)
January 24, 2013, 09:01:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us waqat tak Qiyamat qaim na hogi, jab tak Suraj maghrib se talu' na ho le. Jab log isy dakhein gy to Imaan layengy lakin ye waqat hoga jab kisi aisy shaks ko uska Iman koi naf'a na dega jo pehly se Imaan na rakhta ho. [4635: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1053
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Behayai)
January 23, 2013, 09:39:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah se zyada aur koi ghairat mand nhi, yhi wajah ha ke US (Allah) ne behayai ko haram qarar diya ha, khuwah wo zahir hon khuwah posheedah aur Allah ko Apni tareef se zyada aur koi cheez pasand nhi, yhi wajha he ke US (Allah) ne Apni Khud Madah (Tareef) ki ha. [4634: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#1054
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Murdah Janwar)
January 22, 2013, 10:29:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah yahudiun ko gharat kry, jab Allah ne in per murdah janwarun ki charbi haram ker di to iska tail nikal ker isy bechny aur khany lgy. [4633: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#1055
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghaib ke khazany)
January 20, 2013, 09:06:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghaib ke khazany paanch hein, jaisa ke Irshad-e-bari ha. "Beshak Allah hi ko Qiyamat ki khabar ha aur whi janta ha ke rehmun mein kya ha aur koi bhi ni jaan skta ke wo kal kya amal kery ga aur na koi ye jaan skta ha ke wo kis zameen per mary ga, beshak Allah hi Ilam wala ha, khabar rakhny wala ha". [4627: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1056
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! Tum Allah ke pas jama kiye jaogy, nangy paun, nangy jism aur baghair khatna ke, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat parhi " Jis tarhan Ham ne awal baar paida kerny ke waqat ibtida ki thi, is tarhan usy dobara zinda ker dengy, Hamary zima wada ha, Ham zaroor isy poora ker ke hi rhyngy", phir farmaya Qiyamat ke din tamam makhlooq mein sab se pehly Hazrat Ibrahim ko kapra pehnaya jyega. Haan aur Meri ummat ke kuch logun ko laya jyega aur unhein jahanum ki bayeen taraf le jaya jyega. Mein Arz karun ga, Mery Rab! Ye to mery ummati hein? Mujhse kaha jyega, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko nhi maloom ha ke inhun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke baad nai nai batein shariyat mein nikali thein. Us waqat bhi whi kahunga jo abad saleh Hazrat Esa ne kaha hoga ke "Mein inka haal dakhta raha jab tak mein inke darmayan raha, phir jab tu (Allah) ne mujhy utha liya (jab se) tu (Allah) hi in per nigran ha" Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) bataya jyega ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki judai ke baad ye log deen se phir gye thy. [4625: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#1057
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sharab)
January 18, 2013, 10:03:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! Jab sharab ki hurmat nazil hui to wo panch (5) cheezun se tayar ki jati thi. Angoor, khajoor, shehad, geehun aur 'jo' se, aur sharab wo peeny ki cheez ha jo aqal ko zail ker dy. [4619: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1058
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zakat)
January 16, 2013, 09:05:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisy Allah ne maal dya aur phir usne uski Zakat nhi ada ki to (Akhrat mein) uska maal nihayat zehreela sanp ban ker jiski ankhun ke upper do (2) nuqty hongy, uski garden mein toq ki tarhan pehna diya jayga, phir wo sanp uske dono jabrun ko pakar ker kahy ga ke mein (saanp) hi tera maal hun, mein hi tera khazana hun. [4565: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurarah]
#1059
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Ibrahim)
January 15, 2013, 09:13:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Hazrat Ibrahim ko aag mein dala gya to akhri Kalma jo aapki zuban mubarak se nikla wo ye tha 'Meri madad ke lye Allah kafi ha aur Whi behtreen kaam banany wala ha'. [4564: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#1060
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her bacha jab paida hota ha to shetan usy paida hoty hi choota ha, jis se wo bacha chillata ha, siwa Hazrat Maryam aur Hazrat Eesa ke. [4523: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurarah]
#1061
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhagrralu Shaks)
January 10, 2013, 09:45:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke nazdeek sab se zyada na-pasandidah shaks wo ha jo sakht jhagrralu ho. [4523: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1062
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dua)
January 08, 2013, 09:55:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Dua kerty thy! Aye Perwardigar! Ham ko dunya mein bhi behtri de aur Akhrat mein bhi behtri de aur Ham ko dozakh ke azab se bachayo. [4522: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#1063
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aashora ka Roza)
January 07, 2013, 08:53:01 PM
Aashora ka Roza, Ramzan ke Rozun ke Hukam se pehly rakha jata tha, phir jab Ramzan ke Rozun ka Hukam nazil hua to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! jis ka jee chahy Aashora ka Roza rakhy aur jis ka jee chahy na rakhy. [4502: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1064
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shirk)
January 06, 2013, 09:53:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks is halat mein mar jye ke wo Allah ke siwa aurun ko bhi Uska shareek tehrata rha ho to wo jahanum mein jata ha. [4497: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#1065
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
January 04, 2013, 09:05:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Irshad farmata ha, Ibn-e-Adam ne Mujhy jhutlaya halan ke uske lye ye munasib na tha. Usne mujhy gali di, halan ke uske lye ye munasib na tha. Uska Mujhy jhutlana to ye ha ke wo kehta ha ke Mein usy dobara zinda kerny per qadir nhi Hun aur us ka Mujhy gali dena ye ha ke Mery lye olad batata ha, Meri Zaat Is se Paak ha ke Mein Apny lye bivi ya olad banaun. [4482: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Abbas]
Powered by EzPortal