News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 81
Total: 81
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#1006
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Surah Bakrah)
April 05, 2013, 09:44:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Surah Bakrah ki akhir ki do (2) Ayatun ko jo shaks raat mein parh lega wo uske lye kafi hongi. [5041: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Mas'ud Ansari]
#1007
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bohat bura ha kisi shaks ka ye kehna ke mein falan falan Ayat bhool gya balke yun (kehna chahye) ke mujhy bhula diya gya aur Qur'an Majeed ka parhna jari rakho kiyun ke insaanun ke dilun se door ho jany mein wo oont ke bhagny se bhi barh ker ha. [5032: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#1008
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hafiz-e-Qur'an)
April 03, 2013, 09:09:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hafiz-e-Qur'an ki misaal rassi se bandhy huy oont ke malik jaisi ha aur wo uski nigrani rakhyga to wo usy rok skyga werna wo rassi turwa ke bhaag jyega. [5031: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1009
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum me se sab se behtar wo ha jo Qur'an Majeed parhy aur parhaye. [5027: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usman bin Affan]
#1010
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk to bas do (2) admiun per ho skta ha, aik to us per jisy Allah ne Qur'an Majeed ka ilm diya aur wo uske sath raat ki gharriun mein khara ho ker Nimaz perhta rha aur dosra admi wo jisy Allah ne maal diya aur wo usy mohtajun per raat din khairaat kerta rha. [5025: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1011
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne koi cheez itni tawajhu se nhi suni jitni tawajhu se Us (Allah) ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka Qur'an behtreen awaz ke sath perhty huy suna ha. [5023: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1012
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Uski (Momin ki) misaal jo Qur'an ki tilawat kerta ha Sangtary (orange) ki si ha jiska maza bhi laziz hota ha aur jis ki khusbu bhi behtreen hoti ha aur jo (Momin) Qur'an ki tilawat nhi kerta uski misaal Khajoor ki si ha jiska maza to umdah hota ha lakin usmein khushbu nhi hoti aur us badkar (munafiq) ki misaal jo Qur'an ki tilawat kerta ha Rehana ki si ha ke uski khusbu to achi hoti ha lakin maza kerwa hota ha aur us jo Qur'an ki tilawat bhi nhi kerta Andrain ki si ha jis ka maza bhi kerwa hota ha aur usmein khusbu bhi nhi hoti. [5020: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#1013
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sony Se Pehly)
March 29, 2013, 09:12:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam her raat jab bistar per aram farmaty to Apni hatheliun ko mila ker Surah Ikhlas, Surah Falak, Surah Naas parh ker in per phoonkty aur phir dono hatheliun ko jahan tak mumkin hota Apny Jism Mubarak per phairty thy. Pehly Sir Mubarak aur Chehra Mubarak per haath pherty aur samny ke Badan Mubarak per. Ye amal Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam theen (3) dafa kerty thy. [5017: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1014
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Surah Ikhlas)
March 28, 2013, 10:43:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki Qasam Jis ke Haath mein Meri Jaan ha! Ye Surah (Surah Ikhlas) Qur'an Majeed ke aik tehai (1/3) hissa ke baraber ha. [5013: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed]
#1015
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Surah Bakrah)
March 27, 2013, 08:57:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Surah Bakrah ki do (2) akhri Ayatein raat mein parh lien wo usy her aafat se bachany ke lye kafi ho jyen gi. [5009: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood]
#1016
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (HOZ-E-KOSAR)
March 26, 2013, 09:58:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko Me'raaj hui to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein aik nehar ke kinary per pohancha jis ke dono kinarun per Kholdar Motiun ke dairy lgy huy thy. Mein (Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ne poocha, Aye Jibrail! Ye nehar kesi ha? Unhun ne bataya ke ye HOZ-E-KOSAR ha (jo Allah ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko diya ha). [4964: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#1017
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Taqdeer Per Bharosa)
March 26, 2013, 12:31:14 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein koi aisa shaks nhi jis ka Jahanum ka thikana ya Jannat ka thikana likha na ja chuka ho. Sahaba ne arz kia ke Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! To phir ham kiyun na apni taqdeer per bharosa ker lein aur naik amal kerna chor dein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik amal kro, her shaks ko un amaal ki tofeeq di jati ha jin ke lye wo paida kiya gya ha, jo shaks naik hoga usy naikun ke amal ki tofeeq mili hoti ha aur jo bad-bakht hota ha usy bad bakhtun ke amal ki tofeeq milti ha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat parhi "So jis ne diya aur Allah se dara aur achi baat ko sach samjha, so Ham (Allah) uske lye naik amalun ko asan ker deingy". [4949: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali]
#1018
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis kisi se bhi Qiyamat ke din hisab le lya gya to wo halak ho jyega. Hazrat Ayesha ne kaha Mein ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Allah Mujhy Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per qurban kery, kya Allah ne ye irshad nhi farmaya ke "To jis ka nama'e aamal uske dahny hath mein milyga so us se asan hisab lya jyega".  Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ayat mein jis hisab ka zikar ha wo to peshi hogi. Wo sirf pesh kiye jyengy (aur bghair hisab choot jyengy) lakin jis se bhi puri tarhn hisab le lya gya wo halak hoga. [4939: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1019
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis din log dono jahan ke palny waly (Allah) ke samny hisab deny ke lye khary hongy to kanun ki lu tak pasina mein doob jyengy. [4938: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#1020
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hafiz-e-Qur'an)
March 22, 2013, 09:41:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us shaks ki misaal jo Qur'an parhta ha aur wo uska Hafiz bhi ha, Mokarram aur Naik likhny waly (Farishtun) jaisi ha aur jo shaks Qur'an Majeed baar baar parhta ha, phir bhi Wo (Qur'an) iske lye dushwar ha to usy dugna sawab milyga. [4937: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal