News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 54
Total: 54
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#981
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aorat)
May 01, 2013, 09:27:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aorat mis'l pasli ke ha, ager tum isy seedha kerna chahogy to tor logy aur ager is se faida hasil kerna chahogy to iski tairrh ke sath hi faida hasil karogy. [5184: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#982
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasweer Sazi)
April 30, 2013, 09:13:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tasweerun ke (banany walun ko) Qiyamat ke din azab diya jyega aur unse kaha jyega ke jo tum ne tasweer sazi ki ha isy zinda bhi karo, jin ke gharun mein tasweerain hein un mein (Rehmat ke) Farishty nhi aty. [5181: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#983
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aoratun aur bachun ko kisi shadi se aty huy daikha to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam khushi ke mary jaldi se khary ho gye aur farmaya! Allah! (Tu gawah reh) tum log sab logun se zyada Mujh ko mehboob ho. [5180: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#984
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Walima Ka Khana)
April 28, 2013, 10:01:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Walima ka wo khana bad-tareen khana ha jis mein sirf maaldarun ko uski taraf dawat di jye aur mohtajun ko na khilaya jye aur jis ne walima ki dawat qabool kerny se inkaar kiya us ne Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki nafarmani ki. [5177: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#985
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein saat (7) kamun ka hukam diya aur saat (7) kamun se mana farmaya. Hamein, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne bemar ki ayadat, jinazah ke peechy chalny, cheekny waly ke jawab deny, qasam ko pura kerny, mazloom ki madad kerny, sab ko salam kerny aur dawat kerny waly ki dawat qabool kerny ka hukam diya tha aur hamein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sony ki anghoti pehan'ny, chandi ke bartan istimal kerny, reshmi gaddy, qisya (reshmi kapra), astabraq (mota reshmi kapra), aur debaaj (reshmi kapra) ke istimal se mana farmaya ha. [5175: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bara' bin aazib]
#986
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bemar Ki Ayadat)
April 26, 2013, 10:12:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qaidi ko churao, dawat kerny waly ki dawat qabool karo aur bemar ki ayadat kro. [5174: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#987
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dawat-e-Walima)
April 25, 2013, 09:47:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se kisi ko dawat walima per bulaya jye to usy ana chahye. [5173: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#988
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hambistari Ki Dua)
April 24, 2013, 09:06:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks apni bivi ke pas ham-bistari ke lye jab aye to ye Dua parhy "Allah ke naam se shurow kerta hun, Aye Allah! Shetan ko mujhse door rakh aur shetan ko us cheez se bhi door rakh jo (olaad) hamein Tu (Allah) ata kery, phir is arsa mein unke lye koi olad nasib ho to usy shetan kabhi zarar na pohancha skyga". [5165: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#989
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Guzishta Anbia mein se aik (1) Nabi (Hazrat Yush'a ya Hazrat Daood) ne Ghazwah kiya aur (Ghazwah se pehly) apni qoam se kaha ke Mery sath koi aisa shaks na chaly jis ne kisi nai aorat se shadi ki ho aur uske sath sohbat kerny ka irada rakhta ho aur abhi sohbat na ki ho. [5157: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#990
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi aorat ke lye jaiz nhi ke apni kisi (sokan) behan ki talaq ki shart is lye lgaye ta ke uske hissy ka pyala bhi khud undail le kyun ke usy whi milyga jo uske moqaddar mein hoga. [5152: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#991
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nikah Ki Shartein)
April 21, 2013, 11:14:38 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tamam shartun mein wo shartein sab se zyada puri ki jany ke laiq hein jin ke zarya tum ne sharam gahun ko halal kiya ha. Yani nikah ki shartein zarur puri kerni hongi. [5151: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Uqbah]
#992
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad Gumani)
April 20, 2013, 11:31:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad gumani se bachty raho kyunke bad gumani sab se jhooti baat ha (aur logun ke razun ki) khod kuraid na kiya karo aur na (logun ki nijji guftagun ko) kaan lga ker suno, apas mein dushmani na paida karo bal ke bhai bhai ban ker raho. [5143: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#993
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya ha ke Ham (Sahaba) kisi ke bhao per bhao lgayein aur kisi shaks ko apny kisi (Deeni) bhai ke pegham nikah per pegham na bhejna chahye, yahn tak ke pegham bhejny wala apna irada badal de ya usy pegham nikah bhejny ki ijazat de de to jaiz ha. [5142: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#994
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bewah aorat ka nikah us waqat tak na kiya jye jab tak uski ijazat na li jye aur kanwari aorat ka nikah us waqat tak na kiya jye jab tak uski ijazat na mil jye. Sahaba ne arz kya ke Ya Rasool Allah (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam)! Kanwari aorat az'n kyun ker de gi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us ki surat ye ha ke wo khamosh reh jye. Ye khamoshi uska az'n samjhi jyegi. [5136: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#995
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shig'aar)
April 17, 2013, 08:53:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne "Shig'aar" se mana farmaya ha. Shig'aar ye ha ke koi shaks apni larki ya behan ka nikah is shart ke sath kery ke wo dosra shaks apni (beti ya behan) usko bayah de aur kuch mehar na tehry. [5112: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#996
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi aorat ko uski phuppi ya uski khala ke sath nikah mein jama na kiya jye. [5109: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#997
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aoratun Ka Fitna)
April 15, 2013, 09:47:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne Apny baad mardun ke lye aoratun ke fitna se barh ker nuqsan deny wala aur koi fitna nhi chora ha. [5096: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#998
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager nahusat kisi cheez mein ho to aorat mein, ghar mein aur ghory mein ho skti ha. [5095: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#999
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Behtareen Orat)
April 13, 2013, 09:16:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Oont per sawar hony wali (Arab) oratun mein behtreen orat Quraish ki saleh orat hoti ha jo apny bachy se bohat zyada mohabbat kerny wali aur apny shohar ke maal asbab mein uski bohat umdah nighban-o-nigran sabit hoti ha. [5082: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1000
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Ayesha! Mujhy Khwab mein do (2) martaba Tum (Hazrat Ayesha) dikhai gaein. Aik shaks (Hazrat Jibrail) Tumhari surat hareer ke aik tukry mein uthay huy ha aur kehta ha ke ye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Bivi hein, Mein ne jo us kapry ko khola to us mein Tum (Hazrat Ayesha) thein. Mein ne khayal kiya ke agr ye Khawab Allah ki taraf se ha to Wo (Allah) usy zarur pura ker ke rhyga. [5078: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal