News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 62
Total: 62
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#961
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) aur yateem ki parwarish kerny wala Janat mein is tarhan hongy aur Aaap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne shahadat ki Ungli aur beech ki Ungli se ishara kiya ur un Ungliun ke darmyan thori si jagah khuli rakhi. [5304: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Sehal]
#962
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jumma Ki Ghari)
May 25, 2013, 09:57:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jumma mein aik (1) ghari aisi ati he jo musalman bhi us waqat khara Nimaz parhy aur Allah se koi khair mangy to Allah usy zarur dega. Aap sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne (is saa't ki wazahat kerty huy) apny Dast-e-Mubarak se ishara kiya aur apni Ungliun ko darmayani Ungli aur choti Ungli ke beech mein rakha jis se ham ne samjha ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is saa't ko bohat mukhtasir hony ko bta rhy hein. [5294: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#963
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khayalat Fasid)
May 24, 2013, 10:26:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Ummat ko khayalat fasid ki had tak maaf kiya ha, jab tak ke us per amal na kry ya usy zuban se ada na kery. [5269: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#964
Aik sahib ne apni bivi ko teen (3) talaq de di thein, unki bivi ne dosri (2nd) shadi ker li, phir dosry shohar ne bhi (hambistari se phly) unhein talaq de di. Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Salam se sawal kiya gya ke kya pehla shohar ab unke lye halal ha (ke wo dobara unse shadi ker lein), Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nahi, yahan tak ke wo yani shohar sani (2nd) uska maza chakhy jaisa ke pehly ne maza chakha tha. [5261: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#965
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi aorat kisi aorat se milny ke baad apny shohar se uska hulya na byan kery, goya ke wo usy dakh rha ha. [5240: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#966
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se kisi ki bivi Masjid mein (Nimaz parhny ke lye) jany ki ijazat mangy to usy na roko balke ijazat de do. [5238: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#967
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhein (aoratun ko) ijazat di gai ha ke tum apni zaruriyaat ke liye bahir nikal sakti ho. [5237: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#968
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mehram)
May 19, 2013, 09:10:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mehram ke siwa koi mard kisi aorat ke sath tanhai mein na bethy. Is per aik (1) Sahabi ne arz kya Ya Rasool Allah! Meri bivi Haj kerny gai ha aur Mera naam falan Ghazwa mein likha gya ha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Phir tu wapis jaa aur apni bivi ke sath Haj ker. [5233: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#969
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aoratun mein jany se bachty raho is per qabila Ansaar ke aik (1) Sahabi ne arz kiya Ya Rasool Allah! Dewar ke motaliq Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki kiya raye ha? Wo apni bhawaj ke sath ja skta ha ya nhi? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Salam ne farmaya ke dewar ya (jaith) ka jana hi to halakat ha. [5232: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Uqbah bin Amir]
#970
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ki nishaniun mein se ye bhi ha ke Qur'an-o-Hadith ka Ilm utha lya jyega aur jahalat barh jyegi. Zina ki kasrat ho jyegi aur sharab log zyada peeny lgngy. Mard kam ho jyengy aur aoratun ki ta'dad zyada ho jyegi. Halat ye ho jyegi ke pachaas (50) pachaas (50) aoratun ka sanbhalny wala (khabar geer) aik (1) mard hoga. [5231: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Anas]
#971
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ko ghairat ati ha aur Allah ko ghairat us waqat ati ha jab banda momin wo kaam kery jisy Allah ne Haram kiya ha. [5222: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#972
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zina)
May 15, 2013, 09:27:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Ummat-e-Muhammad! Allah se barh ker ghairat mand aur koi nhi ke wo apny banda ya bandi ko zina kerty huy daikhy. Aye Ummat-e-Muhammad! Ager tumhein wo maloom hota jo mujhy maloom ha to tum hansty kam aur aur roty zyada. [5221: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#973
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks pehly se shadi shudah bivi ke majudgi mein kisi kanwari aorat se shadi kery to us ke sath saat (7) din tak qiyam kery aur phir bari moqarar kery aur jab kisi kanwari bivi ki majudgi mein pehly se shadi shudah aorat se nikah kery to uske sath teen (3) din tak qiyam kery aur phir bari moqarar kery. [5214: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#974
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum me koi shaks apni bivi ko ghulamun ki tarhan na mary ke phir dosry din us se ham-bistar hoga. [5204: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Zam'a]
#975
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne Jannat mein jhank ker daikha to uske aksar rehny waly ghareeb log thy aur Mein ne dozakh mein jhank ker daikha to uske andar rehny wali aksar aoratein thein. [5198: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran]
#976
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein Jannat ke darwazah per khara hua to usmein dakhil hony walun ki aksiryat ghareebun ki thi. Maaldar (Jannat ke darwazy per hisab ke lye) rok liye gye thy, albata jahanum walun ko jahanum mein jany ka hukam de diya gya tha aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) jahanum ke darwazy per khara hua to usme dakhil hony wali zyada aoratein thein. [5196: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usama]
#977
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aorat ke lye jaiz nhi ke apny shohar ki majudgi mein uski ijazat ke bagheir (nafli) Roza rakhy aur aorat kisi ko uske ghar mein uski marzi ke bagheir any ki ijazat na de aur aorat jo kuch bhi apny shohar ke maal mein se uski sareeh ijazat ke bagheir kharch ker dy to usy bhi us ka aadha sawab mily ga. [5195: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#978
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab shohar apni bivi ko apny bister per bulaye aur wo any se (narazgi ki waja se) inkar ker dy to Farishty subha tak us per la'nat bhejty hien. [5193: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#979
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager shohar ghar per majood ha to koi aorat uski ijazat ke baghair (nafli) Roza na rakhy. [5192: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#980
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her aik (1) hakim ha aur her aik (1) se (us ki rai'yat ke bary mein) sawal hoga. Pas Imam hakim ha, us se sawal hoga. Mard apni bevi bachun ka hakim ha aur us se sawal hoga. Aorat apny shohar ke ghar ki hakim ha aur us se sawal hoga. Ghulam apny sardar ke maal ka hakim ha aur us se sawal hoga, haan pas tum mein se her aik (1) hakim ha aur her aik (1) se sawal hoga. [5188: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
Powered by EzPortal