News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 72
Total: 72
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#941
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Meetha Aur Shehad)
June 15, 2013, 10:55:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meethi cheez aur shehad pasand kiya kerty thy. [5431: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#942
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Safar)
June 14, 2013, 09:51:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safar azab ka aik tukra ha, jo insanun ko sony aur khany se rok deta ha. Pas jab kisi shaks ki safri zarurat hasb-e-mansha puri ho jye to usy jald hi ghar wapis aa jana chahye. [5429: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#943
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us momin ki misal jo Qur'an parhta ho sangtary jaisi ha jis ki khusbu bhi pakiza ha aur maza bhi pakiza ha aur us momin ki missal jo Qur'an nhi parhta khajoor jaisi ha jis mein koi khushbu nhi hoti lakin maza meetha hota ha aur munafiq ki missal jo Qur'an parhta ho, rehana (phool) jaisi ha jiski khushbu to achi hoti ha lakin maza karwa hota ha aur jo munafiq Qur'an bhi nhi parhta uski missal andarain jaisi ha jis mein koi khusbu nhi hoti aur jis ka maza bhi karwa hota ha. [5427: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#944
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Auratun Mein Kamil)
June 12, 2013, 09:08:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mardun mein to bohat se kamil huy lakin aoratun mein Hazrat Maryam bint-e-Imran aur fir'on ki bivi Hazrat Asia ke siwa aur koi kamil nhi hua aur Hazrat Ayesha ki fazilat tamam aoratun per aisi ha jaisy tamam khanun per "Sareed" ki fazilat ha. [5418: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#945
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi kisi khany mein koi aib nhi nikala. Agr pasand hua to kha lya aur agr napasand hua to chor dya. [5409: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#946
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne pakti hui handya mein se adh (1/2) kachi boti nikali aur usy khaya phir Nimaz parhai aur naya Wazu nhi kya. [5405: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#947
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Taik Lga Ker Khana)
June 09, 2013, 09:48:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein taik lga ker nhi khata. [5398: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hajeefa]
#948
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Momin aik (1) aant mein khata ha aur kafir saatun (7) aantein bhar leta ha. [5396: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#949
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jahan tak mumkin hota Paki hasil kerny mein, joota pehan'ny aur khanga kerny mein dahni taraf se ibtida kerty. [5380: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#950
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khany Ke Adab)
June 06, 2013, 10:41:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bismillah parh liya karo, dahny hath se khaya kro aur bartan mein wahan se khaya kro jo jaga tujhse nazdeek ho. [5376: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Abi Salma]
#951
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bhooky ko khilao pilao, bemar ki mizaj pursi karo aur qaidi ko churao. [5373: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#952
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghar Ke Kaam Kerna)
June 04, 2013, 10:41:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ghar ke kaam kiya kerty thy, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab Azan ki awaz sunty to bahir chaly jaty. [5363: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#953
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasbeeh Fatima)
June 03, 2013, 08:57:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum (Hazrat Fatima) raat ke waqat bister per lait jao to 33 martaba Subhan Allah, 33 martaba Al Hamd-o-lillah aur 34 martaba Allah-Ho-Akbar parh liya karo, ye tumhary lye londi ghulam se behtar ha. [5362: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali]
#954
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Behtreen Khairaat)
June 02, 2013, 09:03:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Behtreen khairaat wo ha jisy deny per admi maaldar hi rhy aur ibtida unse karo jo tumhari nigrani mein hein jin ke khilany pehnany ke tum zimadar ho. [5356: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#955
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bewaun aur maskeenun ke kaam any wala Allah ke rasty mein Jihad kerny waly ke baraber ha, ya raat bhar ibadat aur din ko rozy rakhny waly ke baraber ha. [5353: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#956
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah fermata ha ke Aye ibn-e-adam! Tu kharch kar to Mein (Allah) tujh ko diye jaunga. [5352: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#957
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab musalman apny ghar mein apny juru (bivi) baal bachun per Allah ka hukam ada kerny ki niyyat se kharch kery to us mein bhi usko sadqy ka sawab milta ha. [5351: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Mas'ood Ansari]
#958
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne godny wali aur gudwany wali, suud khany waly aur suud khilany waly per la'nat bheji ha aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kutty ki qeemat aur zania ki kamai khany se mana farmaya aur tasweer banany walun per la'nat ki. [5347: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Aon bin Abi Hajifa]
#959
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haram Ki Kamai)
May 28, 2013, 11:58:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kutty ki qeemat, kahin ki kamai aur zania aorat ke zina ki kamai khany se mana kiya ha. [5346: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Mas'ood]
#960
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aorat Ke Lye Sog)
May 27, 2013, 10:22:48 PM
Hazrat Zainab ne byan kiya ke Mein Umm-ul-Momeneen Zainab bint-e-Habsh ke yahan us waqat gai jab unke bhai ka intiqal hua. Unhun ne bhi khushbu mangwai aur istimal ki aur kaha ke Wallah! Mujhy khushbu ke istimal ki koi khuwahish nhi thi lakin mein ne Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko barsar-e-minber ye farmaty suna ha ke aorat ke liye jo Allah aur aakhrat ke din per imaan rakhti ho ye jaiz nhi ke kisi mayyat per teen (3) din se zyada sog manaye, sirf shohar ke lye chaar (4) maheeny das (10) din ka sog ha. [5335: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Zainab]
Powered by EzPortal