Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Sidra-tul-Muntaha tak le jaya gya to wahan Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ne chaar (4) nehrain dakhein. Do (2) zahiri nehrain aur do (2) batni. Zahiri nehrain to Neel aur Farat hien aur batni nehrain Jannat ki nehrain hien, phir Mery (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) pas teen (3) piyaly lye gye, aik piyaly mein doodh tha, dosry mein shahad tha, aur teesry mein sharab ti. Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ne wo piyala liya jis mein doodh tha aur piya. Is per Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) kaha gya ke Tum (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ne aur Tumhari (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ummat ne asal fitrat ko paa liya. [5610: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]